Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sali ke 2 bar talk ho choki ha 2 shadiya ke us ke laken talak ho Gai kia ab mara us sa nikha jaiz ha jab k Mari biwi b hayat ha

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 20-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar do larka larki apas main nikkah kay pappers sign krty hain or bakaida seegha ada krky nikkah kabool krty haim to kya unka nikkah hojata hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq nikah ki sharait me se hai ke nikah ka seegha (nikah ke bol ada karna) parhna zaroori hay is tarah mard or aurat ka sirf razamand hona or isi tarah nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahin hai. Isi tarah nikah ke liye larka or larki ke raazi hone ke saath saath Larki ke wali (yani baap ya dada) ki ijazat bhi zaroori hai. Lihaaza wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai or agar larki khud mukhtaar ho to us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam alikum, maine aik christan (protestant) virgin larki se mutah kiya hai jo ke khud independent hai ar apne akhrajat khud uthati hai ar apne decision khud leti hai, kya mera kiya hua mutah jaiz hai

Answer: 1: Aqai Sistani(d.b) ke nazdeek wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar (independent) ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina par wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day day. 2: Musalman mard ahl e kitab kafir (christian) aurt se mutah kar sakta hay or Ehtiyaat e lazim ki bina par us se daaimi nikah nah kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2362). [Updated on 29-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai musalmaan hu or Mai hindu ladki se pyar krta hu kya hamari shadi jayaz h jbki hamare beech me sex ho chuka ho

Answer: 1: Muslaman mard ahl e kitab (yahoodi, esai, majoosi) ke alawa kafir aurton ( masalan Hindi Aurat ) se nikah nahin kar sakta. 2: Zina yani shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna Haram or gunah e kabira me se hai isi tarah zina alawa bhi kisi na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2362,2397,2399,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larkey ka rishta pakka hogaya ho or uski do maah baad shadi ho or larka is shadi se na khush ho q k wo kisi or ko pasand karta hy. To aisi surat mai izzat k liye khamosh rehna chaheay ya sach bata kar rishta tor dena Chaheay?

Answer: Nikah ki sharaait men se hai ke zaroori hai ke Nikah ke liye Larka or Larki dono raazi hon, lihaza agar in main se kisi aik ko bhi nikah ke liye majboor kiya jaye to wo nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2339). [Updated on 05-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum maine shia ladki hu mere walid or dada hayat nahi maine ek sunni ladke se mutah kia hai jisme humne ek mahine ka waqt tai kia tha kya hum us mudad ko badha sakte hai plz mere madad ki

Answer: Us aik mahine ki muddat ko to nahin barhaya jaa sakta aur na hi us muddat me dobara nikah kiya jaa sakta hai, Han albatta ye kiya jaa sakta hai ke shohar te shuda muddat me se jo muddat baqi bachi hai wo aap ko bakhsh (muaaf kar) day aur muaaf karne ke bad aap us se dobara mutah kar saktien hain. Aur zaroori hai ke nikah shia tareeqe ke mutabiq hi parha jaye, (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2396). [Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16166
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ایک لڑ کی جو باکرہ نہیں ہے کیا وہ اپنی مرضی سے نکاح کر سکتی ہے

Answer: Jis aurat ki shadi na hui ho or kisi or tareekay se bakarat zaail (khatam) ho gayei ho (yani bakarat baqi na rahi ho) tab bhi wo kunwari shumar hogi or wali (baap ya dada) ki ijazat se hi us ka nikah durust hoga, apni marzi se nikah nahin kar sakti. Han! agar kise larki ka phele sahe nikha hoa ho or larki talaq yaafta ho or us ke saabiqa shohar ne us se hambistari bhi ki ho, to is soorat men Talaq yafta larki ko nikah karne ke liye kisi se ijazart lene ki zaroorat nahin hai, wo apni marzi se iddat guzaarne ke baad nikah kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2341,2342. + https://www.sistani.org/arabic/qa/0734/). [Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16167
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik lrdki ka kanwara pan kesy khatam hota hai wo kb kawari nahi hoti

Answer: Shareet me, Aytullah sistani sahab ke mutabiq Kanware pan se murad woh hai ke jis ke shohar ne is ke sath jima(intercourse) nah kiya ho, lehaza jis ne kisi se shadi ki hai aur is ke shohar ne is ke sath jima(intercourse) karne se pehlay hi faut ho gaya ya jima(intercourse) karne se pehlay use Talaq day day to woh kanwari hi rahe gi, isi tarah woh larki bhi kanwari hi rahe gi jis ne apne kanware pan ko aik lambe qadam chhalang lagane ya is tarah kisi cheez ki wajah se kho diya hai, isi tarah agar kisi ka kanwara pan zina ya watee ba shuba ki wajah se khatam ho gaya ho tab bhi wo kanwari hi shumar hogi. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0734/#4477 ). [Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16181
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aik wife apne husband ki death k baad kisi doosre mard se mutta krr sakti hai aur kia yeh seegha online bhi parha jasakta hai ??

Answer: 1: Shohar ke inteqal ke baad zaroori hai us ki biwi 4 mahine or 10 din wafat ki iddat rakhe yani nikah (daaimi ya muttah) nah kare, isi tarah zeenat wala libas nah pehene, surmah nah lagaye, aur isi tarah dosray aise kaam anjaam nah day jo zeenat mein shumar hote hon, lekin jaise hi Iddat wafaat ka time period khatam ho jaye ga (or wo Aurat hamla bhe na ho)to wo aurat wo tamam kaam anjaam de sakti hai jo iddat ke dauran us par Haram the jaise nikah (daaimi ya muttah) karna ya zeenat karna wagera.... 2: Agar nikah ki saari sharait poori hon to phone pe ya online nikah (daimi ya mutah) ka seegha parha jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482,2334,2335,2341,2364. + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #422). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16183
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: After Engagement (Mangni), can the boy and Girl do their nikah in the presence of their friends as their witnesses?

Answer: Is website per fiqhe jafferia ke mutabiq die jaate hain .Jee nahin, nikah nahin kar sakte, balke Nikah ki chand sharait hain jin me se hai ke 1. Agar larki kunwari ho to nikah larki ke wali (yani baap ya dada) ki ijazat se ho, 2. Larka or larki dono raazi hon, 3. Nikah ke seeghay Sahi arabi me ada kiye jaayen, 4. Nikah main gawah ki zarorat nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2335,2341. + Minhaj us Saleheen, Part #3, masalah #565). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!