Question: Agar aapke sage chacha or sagi khala ki shadi apas m hui vi ho to. unki ladki se nikah karna kaisa h
Answer: Jee, wo aap ke liye na-mehram hai, or na-mehram ke tamaam Ahkaam us ke or aap ke dermiyaan jaari honge, aur us se nikah bhi kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 13-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام وعلیکم! میں اور ایک لڑکی ایک دوسرے سے بہت پیار کرتے ہیں۔ ہم کس طرح نکاح کرسکتے ہیں۔ کسی کو بتائے بغیر۔ آپس میں ہی۔
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Jee nahin, nikah nahin kar sakte, Q ke Nikah ki chand sharait hain jin me se hai ke 1. Agar larki kunwari ho to zaroori hai ke nikah, larki ke wali (yani baap ya dada) ki ijazat se ho. 2. Larka or larki dono raazi hon. 3. Nikah ke seeghay Sahi arabi me ada kiye jaayen. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2335,2341. + Minhaj us Saleheen, Part #3, masalah #565). [Updated on 17-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera magnai howa ha abi mera dil nah karta ha ka mai oc se shadi karo muje kya karna chahahya
Answer: Is me aap ki marzi hai chahen to abhi nikha karen chahen to abhi nah karen, Q ke nikah karne ya nah karne me insaan ki apni razamandi zaroori hai lihaza koi kisi ko nikah par majboor nahin kar sakta. Note : mangni ki sarhe hisiyat nahe hote . (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Engagement khatma karna what say Islam?
Answer: Mangni karne se larka or larki shohar or bhi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai, lehaza jab chahen mangani khatam kar sakte hain lekin jab nikah (daaimi) ho jaye to jab tak talaq na ho tab tak use khatam kar sakte. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328 to 2335, 2462 to 2472). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai aik syed lrki hn Mene non syed sy nikah kr liya tha Lkn ab Mai khula lena chahti hn Lkn wo deny ko tayar Nhi Hai ab mujhy Kia krna chahiye? Mai Shia hn wo lrka Shia Nhi Hai
Answer: 1: Pehli baat ye ke shia syed larki ka sunni gair e syed larke se nikah to ho sakta hai lekin lazim hay ke nikah har soorat main shia tareeqe ke murabiq hi parha jaye Q ke faqat shia tareeqe se parha qaya nikah hi sahi shumar hoga. Is liye ke sunni nikah main wo sharaet nahin hotin jo aik shia nikah ke liye zaroori hoti hain. Aur Sunni nikah karnay ke baad larki halal nahin hoti. 2: Dusri baat ye ke Larkay ko nikah karne ke liye kisi se ijazat lena zaroori nahin hai. Jabke kunwari larki jo khud mukhtar nah ho agar wo nikah karna chahe to us ko nikah karne ke liye baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai. or agar khud mukhtar ho to bhi ehtiyat e wajib ki bina par baap ya dada se ijazat lay. (Note: agar in do masaail ko madde nazar rakhte hue nikah kiya tha to nikah sahi ho ga aur shohar se alag hone ke liye us se talaq leni pare gi. aur jab tak wo apni marzi aur razamandi se sahe talaq nah day day, dono me judaai nahin ho sakti aur aap apne (ya koi bhi aap ke) shohar ko talaq dene par majboor nahin kar saktien. lekin agar in do masaail ko ya in me se kisi aik masale ko bhi madde nazar nahin rakha tha aur nikah kar liya tha to nikah sahi nahin hoga, lihaaza aap dono apas me na mehram hi rahen ge or dono ko alag hona pare ga q ke nikah sahi nahin hua). (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alaikum, meri umar 22 sal ha or ma jsy pasnd krta hn wo mj sy 7 ya 8 sal bari ha to kia ma osy nikah kr skta hn hamara jisa mashara ha wo is bat pr atraz krta ha to kia kro?
Answer: Mard apne se bari umar wali aurat se nikah kar sakta hai, Q ke Shareat me nikah karne ke liye mard ya aurat ki umr ke kam ya ziyada hone ki koi shart nahin hai lihaza aap dono nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2335,2340,2343. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01826/ ). [Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Valima barat 1 hi din 1 hi function Mai karna kesa hai Agar 2no faimly razamand ho or hlf hlf amount mila ky 1 hi program mai 2no faimly 2no karlyn
Answer: 1: Istilaah mein walima ke do manay hain: aik woh dawat jo shadi, zaair ki ziyarat se wapsi, bachay ki paidaiesh aur is tarah ki dosray mauqon par di jati hai. aur dosra woh khana jo dawat mein diya jata hai usay bhi walima kaha gaya hai. 2: Walima khana khilane ko kehte hain lehaza aik hi function men dono faimlies half half amount mila kar bhi aik dawat kar sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #4. + https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D9%84%DB%8C%D9%85%DB%81 ). [Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, janak kya nikkah main larkay ko gawah ki zrooray hay?
Answer: Nikah ki sharait: 1. Agar larki kunwari ho to nikah larki ke wali baap ya dada ki ijazat se ho. 2. Larka or larki dono khud bhi raazi hon. 3. Nikah me seeghay (nikah k bool) parhna zaroori hain, sirf aurat or mard ka razi hona kafi nahin. Isi tarah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina par kaafi nahin hay. 4. Ehtiyaat e wajib ye hai ke Nikah ke seeghay sahi arabi me adaa kiye jaayen. 5. Seegha parhne wala aaqil or agar apne liye parh raha ho to baligh hona bhi zaroori hai. 6. Mard or aurat ya in wakeel sigha parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. lekin nikah me gawahon ka hona zaroori nahin hai. Lehaza niah main gawaho ki zarorat nahi hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2828,2335,2341). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shia ladki aur sunni ladke ka nikah jayiz hai. Aur haan kya shia ladki sunni ladke k sath pehla mutah ka time khatam hone k baad bina intiraz kiye dubara mutah kar sakte hai
Answer: 1: Shia larki ko agar apne shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khauf na ho to wo sunne larke se shadi kar sakti hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khauf ho to jaiz nahin hai. 2: Mard ye kar sakta hai ke jis aurat ke saath is ne pehlay mutah kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na hui ho, us se daaimi aqd kar lay ya dobara mutah kar lay, laikin agar mutah ki muddat mukammal nahin hui hay aur wohi shakhs is aurat ke saath daimi nikah parhay to ye nikah baatil hay, laikin ye kar sakta hay ke baqi manda muddat use bakhsh day aur is kay baad aqd-e-damimi karay. (Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3 , maslah #215,200. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2396). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera Sawal ye hai agr larki ka baap zinda na ho or uska dada fiqa e hanafia sy taluq rkhta ho tou kya is surat e haal mein Mutah krny ke liye dada ki ijazat zaruri hogi ya ijazat ke baghair Muta krskty hain?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee, is surat me bhi apne dada se ijazat lena zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]