Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ek qawa ki mojodgi me nikka ho jata ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah ki sharait me se chand sharait ye hain: 1: Agar larki kunwari ho to nikah larki ke wali yani baap ya dada ki ijazat se ho. 2: Larka aur larki dono khud nikah par raazi bhi hon. 3: Nikah ke seeghay sahi arabi me adaa kiye jaayen. Lekin nikah me gawah ka hona zaroori nahin hai. lehaza agar aik bhi gawa maujood nah ho to nikah phir bhi sahi hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2335,2341). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gair muhrram ko dua m mang sakhte hn?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Na-mehram larkay aur larki ka apas main doosti karna aur piyaar o muhabbat ya mamool se hat kar baten karna jaiz nahin hay. lekin agar aap us ke ghar nikah ka paighaam bhejen aur Allah se dua me manga jaaye to koi harj nahin hai Aur Islam bhi pasand ki shadi se mana nahin karta. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + Mujtahid se pooche gaye sawalaat, part #4, Mafhoom e Sawaal #125). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16353
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ya Ali madad. Mien aik LarKi sy nikah krna chahta hn but us LarKi k walid or dada razi nhe hoty LarKi b nikah k liye tayar hai is bary mien masoomeen kia farmaty hien? Any reference

Answer: Jab tak larki ka wali (yani baap ya dada) raazi nahin hota aur ijazat nahin deta, aap us se nikah nahin kar sakte Q ke wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtar (independent) nah ho, wo us waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day aur jo larki khud mukhtar (independent) ho us ke liye bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hay ke apne baap ya dada se ijazat lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, I have a question. Can a shia girl marry a deoband boy? Boy is respectful to shia philosophy and girl and her family are also respectful to khulfa e rashdin and leave all differences to Allah.

Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif ke anjam dene men rukawat banny ka khouf ho to wo sunni larke se shadi kar sakti hai lekin makrooh hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazife ki bina par anjam nah day sakne ka khouf ho to jaiz nahin hai. Note: Albatta lazim hay ke nikah har surat me shia tareeqe ke murabiq hi parha jaye Q ke shumaar jo hoga wo faqat shia wala nikah hi hoga. Is liye ke sunni nikah main wo sharait nahin hotein jo aik shia nikah ke liye zaroori hain. Aur Sunni nikah karnay ke baad larki halal nahin hoti. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, edition #1443, maslah #215. Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16368
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar qubool ke jagah mai larki se teen baar izajat liya jaye to nikah ho jayegi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Kisi aur zaban me kisi bhi tareeqe se ho bas larki ka raazi hona maloom karna chahe 'qubool hai' bolne se ho ya 'ijazat' lene se ho, Lekin jab nikah parha jaye to us waqt nikah ke seeghay (yani nikah ke bol) ada karna zaroori hain aur ehtiyat e wajib ki bina nikah ka seegha sahi arabi me parha jaye 2: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka sighah parhna chaheb to meher muayyin karne ke bad pehlay aurat kahe: "zawwajtoka nafsi alassidaqil maaloom" yaani mene is meher par jo muayyen ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltut tazweeja" yaani me ne izdewaj ko qubool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahi hai. (sahi arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaaye). 3: Agar woh (aurat aur mard) kisi dusre ko wakeel muqarrar karen ke un ki taraf se seegha e nikaah parh de to agar misaal ke taur par mard ka naam Ahmed aur aurat ka naam fatima ho aur aurat ka wakeel kahe “zawwajto muwakkilaka ahmada muwakkilati fatemata alassidaaqil maloom” aur is ke lamhe bhar bad mard ka wakeel kahe “qabiltut tazweeja le muwakkili ahmada alassidaaqil maloom” to nikah sahi hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2332,2333,2335). [Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat 2 nikkah kr sakti hai? Ya aurat 1 nikkah or aik muta'a kr sakti hai?

Answer: Aurat aik waqt me aik hi nikah kar sakti hai (chahe nikah e daimi ho ya muath) Q ke jab aik aurat kisi nikah me hoti hai to us ke liye kisi dusre mard se nikah (daimi ya mutah) karna Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366). [Updated on 09-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mard or aurat saath hn or gawah phone py or mard kud aurat sy poochy ky tmko nikkah qabool h or gawah gahwahi Dy Dy dyn ky nikkah ho Gaya or dua krwa dyn to nikkah ho jata 2no ki umer 39 or 49 h plz reply jaldi dijy ga

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah me gawahon ka maujood hona zaroori nahin hoti, lehaza gawahon ki gair maujoodgi bhi nikah sahi ho jaye ga. lekin darj zel sharait ka hona zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga. 1: Nikah ki Sharaait: 1. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka sighah (jumla) arabi mein parha jaaye. 2. Nikah parhne (ya parhanay) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se sighah kahay. 3. Nikah parhne (ya parhanay) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 4. Nikah parhne (ya parhanay) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 5. Mard or aurat ke nikah par raazi hon. 6: Kunwari or rasheeda larki ke baap ya dada ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke baap ya dada se ijazat li jaaye. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga. 2: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka sighah parhe to meher muayyen karne ke bad pehlay aurat kahe: "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani mene is meher par jo muayyen ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltut tazwija" yaani me ne izdewaj ko qubool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahi hai. (sahi arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaaye). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2341). [Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Sehra pehnny ki kia haisiyat hai shadi mai ?

Answer: Islam mein nikah aik ba maqsad aur purwaqar amal hai, khud Paighambar Akram(s.a.w.w) ne nikah ko Paighambaron ki sunnat qarar diya hai. aur nikah ko saada aur aasaan rakha gaya hai aur is mein takallufaat aur lawazimaat ko na-pasand qarar diya gaya hai. nikah mein nikah ka qiyam karna aur rukhsati se pehlay ya baad mein walima karna yeh cheezen shariat se saabit hain, is ke alawa jo rasmen aur takallufaat hamaray haan ikhtiyar kiye jatay hain, un se nikah ki sunnat mushkil ho jati hai yahi wajah hai ke buhut se khandanon mein shadian unhi rasmon ke poora nah kar saknay ki wajah se mutakhir (late) ho jati hain . Maslan 'mayon bithanay' ki rasam ki koi sharaei haisiyat nahin, is mein dulhan ko alehda bithaya jata hai aur kisi ko is se mulaqaat karne ki bhi ijazat nahin hoti. lehaza is ko zaroori samjhna aur maharim e sharaei tak se parda kar denaا nihayat be hooda baat hai. isi tarah sehra pehnne ki koi haisiyat nahin hai. isi tarah larki ko mehndi lagana to buraii nahin, lekin is ke liye taqrebaat munaqid karna aur logon ko dawatein dena, jawan larkoon aur larkiyon ka shokh rang aur bharkeelay libaas pehan kar be parwah ho kar aik doosray ke samnay jana be sharmi or be hayaei ka mauqa hai. Mehndi ki rasam jin lawazimaat ke sath ada ki jati hai, yeh bhi jahliat ki rasam hai, neez un rasmon mein kis qadr maal kharch kiya jata hai jab ke Quran e kareem mein israaf or tabzeer ki sarahatan mumanat warid hui hai. irshad e khuda wandi hai: 'aur fuzool kharchi na kiya karo, yaqeenan be fuzool kharchi karne wale shaitanon ke bhai hain, aur shaitan apne rab ka na-shukra hai'. isi bina par Paighambar Akram(s.a.w.w) ne irshad farmaya: yani sab se babarkat nikah woh hai jis mein sab se kam mashaqqat ho (yano kam kharcha aur takalluf nah ho). jab shariat ka hukum israaf or tabzeer se bachne ka aur nikah ko aasaan banane ka hai, to hamaray haan nikah ki taqrebaat jin mein khul kar fuzool kharchiyan hoti hain aur ahkaam e shariat ki dhajiyan urhaei jati hain, in se Paighambar(s.a.w.w) ki khushi kaisay naseeb ho sakti hai? aur jis taqreeb se Allah aur Rasool(s.a.w.w) raazi nah hon, to agar is se poori duniya bhi khush ho jaye, is taqreeb mein barkat nahi aa sakti, is ke barkhilaaf jis taqreeb se Allah aur is ka Paighambar (s.a.w.w) khush ho to wohi babarkat hogi agarche poori duniya naraaz ho jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, edition #1443, maslah #4. + Bihar ul anwar, part #73, pg #135. part #100, pg #277. + Rauzat ul waizeen, part #2, pg #375. + link: https://www.sistani.org/persian/book/26578/5599/ ). [Updated on 13-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alaikum sir ap se Ek question hai k Meri wife Ek larke k sath bhaag gayee thi humare 2 bache b hai ab wo wapis agayee hai apne parents k Ghar hai Kya us se rishta qaim Rakhna aur MN usay wapis apni Zindagi MN Lana sahi hai plz answer me

Answer: Aurat aik waqt me aik hi nikah kar sakti hai Q ke jab aik aurat kisi nikah me hoti hai to us ke liye kisi dusre mard se nikah karna Haram hai. Agar us ne aap ke nikah me hote hue dusre shakhs se nikah kiya hai to ye us ne aik haram kaam kiya hai lekin aisa karne se wo aap ke liye haram nahin hai, lihaza agar aap chahe to apne nikah ko barqar rakh sakte hain aur use apne ghar laa sakte hain ya chahen to aisa na karen is me aap ki marzi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364,2366). [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri shadi kab hoti

Answer: Aap ki marzi hai jab aap karna chahen. [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!