Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ladka aur ladki raazi ho aur ghar walay raaz na ho ladki k aur dono ladka aur ladki apni khawahish per control na ker pa rahe hon aur gunnah se bhi bacha ho tou kya kerna chahiye? Shadi k bhi pese nahi ho tou please rahnumayee kere?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Nikah me darj zel sharait ka hona zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga. Nikah ki Sharaait: 1. Shadi ke liye larkay ko apne ghar walon se ijazat lene ki zarorat nahin hai lekin kunwari aur rasheeda larki (jo apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjaam nahin deti) ko apne wali yani (baap ya dada) se ijaazat lena zaroori hai, yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjaam deti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke wali (baap ya dada) se ijazat li jaaye. 2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka sighah (jumla) arabi mein parha jaaye. 3. Nikah parhne (ya parhanay) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se sighah kahay. 4. Nikah parhne (ya parhanay) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 5. Nikah parhne (ya parhanay) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 6. Mard or aurat ke nikah par raazi hon. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga. 7. Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka sighah parhe to meher muayyen karne ke bad pehlay aurat kahe: "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani mene is meher par jo muayyen ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltut tazwija" yaani me ne izdewaj ko qubool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahi hai. (sahi arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaaye). 2: Gunah se bachne aur jinsi taskeen ka sharaei aur halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise sex e.t.c........) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 3: Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain (us me se aik ye hai ke) jin ki shadi nahin huei hai wo shadi shuda ho jaayen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2341,2407. + Dunya wa Akhirat ki 100 Pareshaniyon ka hal, pg #18). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16430
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ladka aur ladki raazi ho aur ghar walay raaz na ho ladki k aur dono ladka aur ladki apni khawahish per control na ker pa rahe hon aur gunnah se bhi bacha ho tou kya kerna chahiye? Shadi k bhi pese nahi ho tou please rahnumayee kere?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16448
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it halal in islam for men suffering from hypospadiasis to marry a girl who is unmarried

Answer: Agar aurat ko pata ho ke mard me is qisim ki beemari hai aur phir bhi us se nikah karne par razi ho to us se nikah sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #308,309). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16454
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ساس اور بہو جو دونوں ہی بیوہ ہوں ان دونوں سے ایک ہی وقت میں ایک ہی آدمی سے نکاح کر سکتی ہیں یا نہیں Whether mother-in-law and daughter-in-law who are both widows can marry the same man at the same time or not.

Answer: Jee han, yeh dono khawateen aik hi waqt me aik hi na mehram mard se nikah kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349,2350,2351,2352). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dil SE jisy husband man Len nikah nh huwa ho or us se phone p sex krna jaiz hay

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat-e-wajib bina par kaafi nahin hai. Nikah ki Sharaait: 1: Ehtiyat-e-wajib ki bina par nikaah ka seegha (nikaah ke bol) arabi mein parha jaaye. 2: Nikah parhne (ya parhane) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhne ki niyat se seegha kahay. 3: Nikah parhne (ya parhane) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 4: Nikah parhne (ya parhane) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 5: Mard or aurat ke nikah par raazi hon. 6: Kunwari or rasheeda larki jo apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam nah daiti ho, us ke wali (baap ya dada) ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke wali (baap ya dada) se ijazat li jaaye. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga. 7: Larkay ko nikah liye kisi se ijazat lena zarori nahin hai. 8: Nikah me gawah ki zarorat nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 27-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16480
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ولی کیااجازت کے بنا نکہ کر سکتے ہیں

Answer: Wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtar (independent) nah ho, wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day aur jo larki khud mukhtar (independent) ho us ke liye bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hay ke apne wali (baap ya dada) se ijazat lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ولی کے بنا نکاہ کرسکتے ہیں

Answer: Wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtar (independent) nah ho, wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day aur jo larki khud mukhtar (independent) ho us ke liye bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hay ke apne wali (baap ya dada) se ijazat lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam.o.Alaikum Mera sawal yeh hai k kia ek lrka or lrki apsi razamandi sa ghr walon ki razamandi k bagair nikkah kr skty hain kia yeh nikkah Islam main jayz hai.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat-e-wajib bina par kaafi nahin hai. Nikah ki Sharaait: 1. Ehtiyat-e-wajib ki bina par nikaah ka seegha (nikaah ke bol) arabi mein parha jaaye. 2. Nikah parhne (ya parhane) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhne ki niyat se seegha kahay. 3. Nikah parhne (ya parhane) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 4. Nikah parhne (ya parhane) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 5. Mard aur aurat ke nikah par raazi hon. 6. Nikah me gawah ki zarorat nahin hoti. 7. Larkay ko nikah liye kisi se ijazat lena zarori nahin hai, lekin Kunwari or rasheeda larki jo apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam nah daiti ho, us ke wali (baap ya dada) ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke wali (baap ya dada) se ijazat li jaaye. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: IK SAWAL POCHNA THA KYA MAIN APNI CHACHI KE SATH HAMBISTRI KAR SAKTA HO KYA YEH JAIZ HAI

Answer: Agar aap ki chachi aap ke chacha ke nikah me nahin hai (yani bewah ya talaq yafta hai) to un ke iddat guzaarne ke baad aap us se nikah kar sakte hain aur is ke baad us se hambistri kar sakte hain lekin nikah karne se pehle us se hambistri nahin kar sakte, yani nikah se pehle hambistri karna haram hai q ke ye zina shumar hoga aur zina haram aur gunah e kabira hai. Aur agar aap ki chachi aap ke chacha ke nikah me hai to hargiz us se hambistri nahin kar sakte or na he un se nikah karsakte hay , q ke ye haram hai is liye ke ye zina shumar hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16498
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: IK SAWAL POCHNA THA KYA MAIN APNI CHACHI KE SATH HAMBISTRI KAR SAKTA HO KYA YEH JAIZ HAI

Answer: Agar aap ki chachi aap ke chacha ke nikah me nahin hai (yani bewah ya talaq yafta hai) to aap us se in ki iddat guzaarne ke baad nikah kar sakte hain aur is ke baad us se hambistri kar sakte hain lekin nikah karne se pehle us se hambistri nahin kar sakte, yani nikah se pehle hambistri karna haram hai q ke ye zina shumar hoga aur zina haram aur gunah e kabira hai. Aur agar aap ki chachi aap ke chacha ke nikah me hai to hargiz us se hambistri nahin kar sakte, q ke ye haram hai is liye ke ye zina shumar hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!