Question: Assalam walaikum.. Mera sawal ye hai ke... Kya periods k dauraan nikah krna jayez hai?.. Aur agr nikah k waqt paak ho to kya kya ehkaam krna behtar hota hai? Nikah se related masalan ba wazu rehna
Answer: Jee han, periods ke dauraan nikah karna jaiz hai. Aur paak ho ya na ho, nikah ke waqt, nikah par gawan banana, nikah ka ailaan karna, nikah se pehle khutba barhna mustahab hai, aur qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (yani chand ki akhri teen tareekhain jin main chand chup jata hai) me ho to nikah karna makrooh hai. Aur aulma ka kehna hai ke budh (Wednesday) ke rooz aur har mahinay (month) ki 3, 5, 13, 16, 21, 24, 25 ko nikah karna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348,2335,2341. + Minhaj us Saliheen, Part #3, Edition 1443 hij, Maslah #3. + Mujtahid se pooochey gaye sawalat, part #3, ques #109, pg #54). [Updated on 26-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I was recite my nikha by my own with presence of two witness is my nikha valid
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq Nikah me gawahon ka maujood hona ki zaroori nahin hai. lekin baaqi sharaait (jo ke zail me bayan ki jayen gi) ka maujood hona zaroori hai, warna nikah sahi nahin hoga. Is bina par aap ne jo nikah parha hai agar un me nikah ki tamam sharait maujood hon to nikah sahi hai warna nikah sahi nahin hoga. Nikah ki Sharaait: 1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat-e-wajib bina par kaafi nahin hai. 2. Ehtiyat-e-wajib ki bina par nikaah ka seegha (nikaah ke bol) arabi mein parha jaaye. 3. Nikah parhne (ya parhane) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhne ki niyat se seegha kahay. 4. Nikah parhne (ya parhane) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 5. Nikah parhne (ya parhane) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 6. Mard aur aurat ke nikah par raazi hon. 7. Kunwari or rasheeda larki jo apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam nah daiti ho, us ke wali (baap ya dada) ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke sath anjam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke wali (baap ya dada) se ijazat li jaaye. lekin Larkay ko nikah liye kisi se ijazat lena zarori nahin hai. (Note: Jin seeghon ka parhna zaroori hai, wo parhne wale ke aitebar se mukhtalif hote hain yani agar larka aur larki khud seeghe parhen to wo alag hote hain aur agar sirf larka ya sirf larki seeghe parhe to wo alag hote hain, aur agar larke aur larki ki taraf se koi wakeel seeghe parhe to wo alag hote hain, wakeel bhi kabhi dono ki taraf se aik hota hai aur kabhi dono ki taraf se alag alag hote hain). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky mai walid ki sagi khala ki ladki (yani rishte m fufi ) se nikah kr sakta hu
Answer: Baap ki khala mehram hoti hai lekin baap ki khala ki beti wo mehram nahin hoti na-mehran hoti hai lihaza us se nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2353. + Minhaj us Saliheen, Part #3, Edition 1443 hij, Maslah #90). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: rishte k liye larky ka abu man jye?
Answer: 1: Shadi ke liye larkay ko apne ghar walon se ijazat lena ya un ke maan jane ki zaroorat nahin hai Q ke Baaligh larka apne wali (yani baap ya daday kisi se bhi) ijazat ke bager nikah kar sakta hai lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. 2: Talab e hajat ke liye 686 martaba Bismillahir Rahmaanir Raheem (بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ) parhein aur isi tarah 676 martaba durood Allahumma salli ala muhammadin wa aali muhammadin (اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ) parh kar dua ki jaye to INSHALLAH dua aur khahish poori hogi. (Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3 , maslah #67,68. + Naeem ul Amaal, page #314). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya nikkah namy py phli shadi ka zikar hota h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee hota hai, Lekin ye waazih rahe ke Fiqh e jaffariya ke mutabiq Nikah namay ka shariyat se koi talluq nahin hai. agar Fiqh e jaffariya ke mutabiq tamaam sharaait ke sath nikah hua hai to nikah sahi hai aur nikah naame ki zaroorat nahin hai, Albatta nikah naama pakistani qawaneen (law) ko pairawi (follow) karne ke liye hota hai aur kisi dusre ke dikhane ke liye ya pakistan se kisi dusri country jane ke liye is ki zaroorat ho sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Islam m shadi ky liye lrki or lrky ki cast same hona lazim hy ? Or Jo log cast ky bina kahin or shadi nahi karty aun ky liye Kya hukum hy
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Islaam faqat ye taleem deta hai ke muslman mard muslman aurat ka kufu (equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai, isi liye Islam me aik musalman ki dusre musalman se shadi ho sakti hai, lihaaza is me biradri aur zaat paat ki koi ehmiyat nahin hai. Agar rishta mangnay walay ki diyanatdaari aur akhlaq pasandida hon to behtar yeh hai ke rishta denay se inkar nah karay. Paighambar(s.a.w.w) se riwayat hai ke; "Jab bhi koi shakhs tumhari larki ka rishta mangnay aaye aur tumhain us shakhs ke akhlaq aur diyanatdari pasand ho to apni larki ki shadi us se kar do agar aisa nah karo gay to zameen par buhut bara fitna phail jaye ga". (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #221. + Tauzeeh ul masail, maslah #2423). [Updated on 13-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mjhy yea pouchna tha Agr nikah sadgi sy Huwa ho or ussi shaks sy bina talak huwy wy sb ki mojodgi me dubara nikah krna chahy to ho sakta he
Answer: Agar pehla nikah tamam sharait ke sath (chahe sadgi me) hua ho to pehla nikah hi durust kehlaye ga, dubara nikah to dummy nikah hoga, is ki sharaei haisiyat nahin hogi Q ke faqat pehle nikah me hi qasde insha kiya gaya hai, dusre nikah me is surat me ke woh pehle se biwi hai to qasd e insha sahi nahin hoga.( Yani jab pehle se hi koi aurat kisi mard ke nikah me ho to phir dusre nikah ki zaroorat nahin hai aur ye sirf dusron ko dikhne ke liye nikah hoga). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA, Kia larke say nikah kay lia lazim hay kay Larkay walon ke taraf say koi gawah larke say pochnay jay
Answer: Fiqhe jafferia ke mutabiq Nikah ke waqt Larki ya larkay walay me se kisi ki taraf se bhi gawah banana lazim nahin hai. Albatta musathab hai ke nikah ke waqt do aadil mard gawah maujood hon. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #200,202). [Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi shakhs sal tk apko nikkah ka khta rhy r phr isstakhara kry and ussk mutabiq isstakhara sahi nhi aya toh kia ye sahi h? Kisi insan ko sal tk dhokhy tk nikkah ka khna phr ALLAH ki narzi ka kh kr chorh dena? Rhnumaie frmaiye ga iss bary ma
Answer: Muamilaat jo bhi hon chahe wo istikhare ki wajah se mana kar raha ho ya koi aur wajah ho ke wo mana kar raha ho, Aap unhen nikah ke liye majboor nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2339). [Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-u-alaikum sir mujhe apse ye malcom krna tha ke mai ek ladke ko pasand Krti thi Maine usse shadi apne waldain ki mrzi ke khilaf ki mgr phr bd main mere Walid razi hogae or unhone mera nikah qabool krdiya to kiya ab bhi mera nikah haram hoga
Answer: Agar nikah ke waqt baaqi sharaait mukummal thien sirf wali (baap) ki ijazat shaamil nahin thi aur nikah ke wali ki ijazat bhi aa jaye (yani baap bhi raazi ho jaye) to wohi pehle kiya hua nikah sahi hai, dobara nikah parhna zaroori nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #73,75,78). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]