Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 1583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis orat se zna kya ho oski ksi b beti se nikah JAIZ hoga ya NAHIN

Answer: Agar koi shakhs apni phophi ya khala ke alawa kisi aur aurat se zina karey to ethiat e mustahib ye he k is ki bati k sath shadhi na karay.(yani shadi jaiz hay behter hay k os k saath nah karain) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2361)

Id: 1621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: muje ye pata karna hy k main ek siya naqvi larki se be pana love karta hon aur main us se sahadi karna cahta hon kaya siya larki aur suni larka sahdi kar saket hy seya ki taraf se?

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70) 2) Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko shia larki ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir shia larki sunni karkay k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum shia larki ko bator e khass nasihat kartein hein k wo is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia nikha ka bad or rukhsati se pehly bewi se milna jaiz hay ya nahi?

Answer: Nikah k bad mard aur ayrat aik doosray per halal ho jatay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328 se pehlay) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is in future I have second marriage

Answer: Aik se ziada shadi karna riwayat ki roshni me mustahib he aur dosri shadi karna makrooh nahi he…. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya main apna nikah qud karsakta hu..majburi ki haalat mein...ladka aur ladki dono is par raazi hain..aur majburi gharwalon ko na-maanna hai..wo razi nahi hain...

Answer: Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ans : 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho. agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) 2) Aqade nikah ki sharayet me hain ke:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. 3. sigha padhne wala ehtiat ki bina per balig aur aaqil ho . 4. mard aurat mu’aiyan hoon 5. mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1737
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz muje ye bataye k nikkah batil na hony ka kia matlab hay.iska matlab ye hay k nikkah nahi toot ta?

Answer: jee haan nikah batil nahi hota ka matlab he k nikah nahi toothta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2410). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1755
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein bohat koshish kr raha hon k shadi ho jaye magar kahin bhi shadi tay nahi ho pa rahi. agar zindgi mein shadi no ho sakey to deen kya kehta hai?

Answer: 1)Shadi un mustahibaat me se he jin ki islam me bohat ziada takeed ki gye he. Rasool ne farmaya “jo sakhs shadi kar leta he wo apna adha deen bacha leta he” (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231) 2)Jo shakhs shadi na karnay ki wajha se haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 3) Agar jald shadi chahatay hein to ( Ya latee’fo) ko har roz 129 martaba 40 roz tak bil nagah parhay to jald hi shadi ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 4) larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406)

Id: 1996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera question ye ha kia aik syed larki qureshi larky se nikkah kar sakti ha islam ma ya sheriyat ma es koi momanat ha ya syed larki ha qureshi se nikkah karna guna jaiz nahi plz mujy es sawal ha jawab dy dy boht zarori ha ye baat jana???

Answer: 1) Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). 2) Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho. agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadi k baray mai quran mai kya hai?joray kya asnan per banty heay quran mai ais baray mai kya lhekha hai?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Id: 2253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah ke masail

Answer: Nikah k masayl k lie is link per click karain http://www.qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=76&MainTopc=79 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!