Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 2443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab -e-wala Kay main eik shia Larki se shadi kar sakta hon? kay nika alag parhay ga ga ye eik he ho ga?

Answer: note : is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Id: 2922
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya islam me shadi krna frz he. iski frziyat detail se bta deyn plz sir.me shadi ni krna chahti.pr merey maa baap ko meri shadi ki bht jaldi he .me shadi ni krna chahti ..

Answer: Islaam main shadi ik esa mustahab amal hai jis ki bohat ziyada takeed ki gaae hai, yahan tak ke Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees hai ke jo shaks meri sunnat ki peravi karna chahta hai to meri sunnat main se ik shadi bhi hai (yani wo shadi kare) lehaza ap shadi karain.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 385 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).Or insan shadi na krne ki waja se Haram kaam men mubtala hojaye us per to shadi krna wajib hai.(Ref : aqa sistani,Tozih ul Masaail, Masla#2407)(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2938
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my question is that who get married with habeel and kabeel the sons of hazrat adam alheislam. is that was hoors or human being (womans). please reply at your earliest convenience.thanks

Answer: Marriage of Qabeel was done with the Jinn and Marriage of Habeel was done with the Hoor.(Ref: hayatul qoloob, part#1, pg#127). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asaalam alikum mera ek sawaal hain ki main hindu ladke ke saath shaadi kar sakte hain jab ki woh convert hone ke liya raazi hain ...shukriya

Answer: Musalmaan aurat kisi kafir merd(maslam hindu) se shadi nahi ker sakti.haan agar wo lerka musalman hojaay tu os se shadi kerna jaiz hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa،il, Maslah#2362 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam shia larki aur sunni mard ki sunni ke tariqey sey nikkha jaiz hai ya nahee

Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho or nah hi apny wazaif ky anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). Shia lerkay ka sunni lerki say or isi terah shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s se bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) Sunni tareeqe ke mutabiq hamare pas nikah nahin hota. Nikah ki Sharaet. 1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perahnay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah ho. 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) keray. maslan onka naam lay ya onki taraf ishara karay. 5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342). 7) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks) 8) Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai 9)Nikah mai gawah ki zarorat nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2341,2335 and Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 70) [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 3193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shadi na karna gunah hai<

Answer: Shadi kerna takeed k saath mustahab he.or is ki janib kaseer riwayaat k zerye targheeb dila,e gae hay or is k tark par muzammat ki gae he.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, before#1 ). Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram “fail(kaam)” main mubtila hota ho os par wajib he k shadi karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3537
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: S.agar koi shadi ke liy koi ladki pasand karke usse rishta b kar le.or phir wo ladki usko buri lagne lage aur wo rishta tod de .isme koi harj to nahi.plz jawab zarur dena

Answer: Rishta tornay may koe haraj nahi hay albattah Mard k liay munasib hay k jis aurat se shadi karna chahta hay os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi hay k biwi k intikhab may is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nikah jaruri ho to hm nikah bina imam ke nhe kr skte? id 12345

Answer: Nikah ka seegha ya tu aurat or murd khud party hain ya kisi ko wakeel moqarar kar lety hain takeh wo unki tarf se parh dey. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jo log jaan booj kr nikah nahi krna chahte Quran o sunnat ki roshni main kya hukam hai

Answer: Shadi un mustahabbat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai , Rasool e Khuda s.a.w.w. ka farman hai k : “jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai”. naiz aap s.a.w.w. nai farmaya : “Jo shakhs meri sunnat ki perwi krna chahta hai (osay maloom hona chahea k) meri sunnat mai sai aik shadi hai”. Is k alawa jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai apnay aap ko fail e haram sai na bacha sakay os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385,397 pg # 231,234) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5049
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gair syed larky r syed zadi ka nikkah jaiz hy ????

Answer: Syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai. aur isi terah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai (Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!