Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)


Id: 91
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ham Imam MEHDI ALAIHISSALAM ko dekh saktay hain ?

Answer: Salam un alaikum, There are some aamals in the books, which are related to this topic for e.g Mulaqat e Imam e Zamana (a.s)

Id: 101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A christan person wants to accept islam particularly fiqah-e-jafferi. what will he do?

Answer: Salam un alaikum, He only have to do niyyat in his heart that he is now a believer of fiqh e jafferi and practice according to it.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 109
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shia ka kalma kahan se sabit hai? Quran main toh sunni ka kalma mil jata hai ek saath nahin lekin alag alag hi magar Ali un Wali Ullah kahin nahin milta poore Quran main toh shia yeh kalma kaise parhte hain?

Answer: Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain.

Id: 340
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Was Prophet Mohammed s.a.w Shia or Sunni ?? Prove it please .. May God Bless You .

Answer: phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia? to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain. aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di. For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50) yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya. to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53)

Id: 374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ziadi kiss ki IMAAM ki aulad hen ? kya ye Syyed hen?

Answer: bismehi taala, Imam zainul abedin (a.s.) k farzand Hazrate Zaid shaheed ki awalad ko zaidi kaha jata he aur yeh isna ashere shia syed shumar hote hain, albattla yeh bhi zahen me rahe ke zaidi nam ka ek firqa bhi he jin ka isna asheri shio se koi taalluq nahi hain.

Id: 383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: who are ismailiya and zaid in shia and whose followers r they

Answer: bismehi taala, Imam Jaafare Sadiq (a.s.) ke baad Hazrate Ismail (k jin ki wafat Imam Sadiq (a.s.) ki zindgi me hi ho gai thi) ko Imam manne wale Ismaili he aur Imam Zainul Abedeen (a.s.) ke baad Hazrate Zaid shaheed ko imam manne wala firqa Zaidiya khelata he, yeh dono firqe is eatebar se shia he k Rasulullah (s.a.a.w.) k baad Moula Ali (a.s.) ko bila fasl Khalifa mante hain, albatta yeh log bich me bhatak gaye aur shia isna asheri nahin hain.

Id: 390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri aksr wahabio se behais hoti hai.us ne mujh se kaha k agar abobakar umar itne bure thay to ali(a.s) ne apne beto ka naam abobakar or umar q rakha plz jawab dijiey ga

Answer: bismehi taala, naam sare-hi b-zate khud achhe hi hote he isi liye har shakhs naam rakhte waqt us-ka intekhab karta he, baaz awqat hota yeh he k achhe nam rakhne wale logo ke aamal bure hote he jis ki wajeh se nam bhi bure lagane lagte he. Abubakr, Umar aur Usman nam k hamil achhe log bhi tarikh me guzare hain 1) Abu bakr ke nam ke ek sahabi the k jinhone khalifa-e-awal (abu bakr) ko khilafat gasb karne par toka tha (ref: kitabul yaqeen ibn jareer page no.108) 2) Umar bin salam ek sahabi the k jinka jange jamal se wapsi par ayesh se mukalema huva tha isi tarh ek aur sahabi umar bin malik bhi the. 3)usman bin mazoun ek buzurg sahabiye rasool s.a.w.w. the k jo hayate paygambar s.a.w.w. me hi wafat paye the aur aap s.a.w.w. ne un ki namaze janaza padhaee thi is k alawa usman bin hanif nam k ek sahabi the k jo Moula Ali a.s. ki khilafate zaheriya k zamane me aap a.s. ki tarf se basara k governor the k jinko talha aur zoober k basara par hamle k darmiyan be-dardi se shaheed kar diya gaya. mukhtasar yeh he k us zamane me yeh naam aam tor par rayej the aur yaqeenan Moula Ali a.s. ne in achhe sahabiyo ko madde nazar rakh kar hi apne farzando k nam rakhe the na k un logo ko madde nazar rakh kar jo dukhtare rasool s.a.w.w.ka ghar jalane aye the.

Id: 391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: abubakar,usman,umar bohat bure hai or in ki ata at nahi karni chaye,is baat ko quran se bata de ayit number k sath plz jawab dijiye ga

Answer: bismehi taala, Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain. jab parvadigar aalam ne apni, apne rasool (s.a.a.w.) ki aur apne wali Imam Ali (s.a.) ki hi itaat wajib ki ho to phir kisi aur ki itaat ki zaroorat hi nahi he.

Id: 413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kuch log Kehtay hain Ya Muhammad kehan jaiz nahin hay

Answer: bismehi taala, is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Muhammad (s.a.a.w.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Id: 426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ya ali madad kahna shirk hai?

Answer: bismehi taala ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!