Question: Kya hm marna ka bad apna pyaron sa khabi dobara milen ga?? Sach btien haqeeqat??
Answer: Jumaraat ko, marhomeen ki arwah ka apne gharon mein aana. Kitaab safinat ul bihar mein jaame ul akhbaar se, Paighambar Akram(s.a.w.w) se riwayat naqal hui hai ke: Momnin ki roohein, har jummay ki raat ko apne gharon ke ird gird aati hain aur ghamgeen aur ronay ki aawaz mein pukarti hain: aye mere ahal o ayal, aye meri aulaad, aye mere baap, aye meri maan aur aye mere rishtadaro, aik dirham sadqa kar ke mujh par reham karo, ya miskeen ko aik kapra pehna do ke Allah tumhe jannat ka libaas pahnaye ga (yani mere liye koi naik amal anjaam do). phir Paighambar Akram(s.a.w.w) roye aur hum hazreen bhi Aap(s.a.w.w) ke sath ro parhe; aur Aap(s.a.w.w) ka rona itna shadeed tha ke Aap(s.a.w.w)mazeed baat nahin kar satke thay, Aap(s.a.w.w) ne marhomeen ki roohon ki pareshani aur tawaqqa ke baray mein kayei baatein karne ke baad farmaya: roohein nedamat aur pashemani ke sath wapas lout jati hain (Q ke us ke ghar walay, marhoom ke eisaal e sawab ke liye naik aamaal se ghaafil ho kar apni duniya daari mein magan hotay hain). Pas momnin ko chahiye ke woh khaas tor par shab e jummay ko apne marhomeen ko yaad rakhen aur un ke eissal e sawab ke liye Fatiha, tilawat e quran, sadqa o khairaat waghera jaisay naik aamaal baja laaye taake azeezon ki roohein, nedamat o pashemani ke sath wapas nah loten. (Ref: https://t.me/alhoda313/13091 ). [Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: How ara a ismaili in urdu
Answer: اسماعیلیہ، شیعہ فرقوں میں سے ایک فرقہ ہے۔ پیغمبر اکرم (صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم) کی رحلت کے بعد شیعہ متحد تھے اور حضرت علی (علیہ السلام) اور آپ کے خاندان کی پیروی کرتے تھے، یہاں تک کہ کربلا کا واقعہ پیش آیا اور امام حسین (علیہ السلام) کو ظالم و جابر بنی امیہ نے شہید کردیا، لہذا فرقہ کیسانیہ نے ظہور کیا جو کہ محمد حنفیہ کی امامت کے قائل تھے، پھر کچھ وجوہات کی بناء پر دوسرے فرقے وجود میں آئے جیسے زیدیہ (حضرت زید بن علی (ع) کے ماننے والے) مغیریہ، محمدیہ، ناووسیہ،اسماعیلیہ، سمیطیہ، فطحیہ، واقفیہ، خطابیہ، نصیریہ اور مفوضہ۔ ان تمام فرقوں کو فرقہ شناسی کے مولفین نے اپنی کتابوں میں لکھا ہے اگرچہ ان میں سے اکثر فرقے ختم ہوگئے ہیں، فقط ان کے نظریات تاریخ میں نظر آتے ہیں، ان میں سے صرف تین فرقے امامیہ، زیدیہ، اور اسماعیلیہ باقی ہیں۔ اسی وجہ سے ہم یہاں پر فرقہ زیدیہ اور اسماعیلیہ کے متعلق بحث کریں گے اور ان دونوں کا شیعہ امامیہ کے ساتھ کیا اختلاف ہے اس کو بھی بیان کریں گے: زیدیہ اور اسماعیلیہ: زیدیہ اور اسماعیلیلہ، فرقہ امامیہ کی طرح شیعوں کے فرقے ہیں، تینوں فرقوں کا اعتقاد ہے کہ پیغمبر اکرم (صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم) نے اپنے خلیفہ اور وصی حضرت علی (علیہ السلام) کو مقرر کیا ہے اور قرآن و عترت سے متمسک ہونے کا حکم دیا ہے اور کہا ہے کہ ان دونوں سے روگردانی نہ کرنا۔ مذہب زیدی اور مذہب امامیہ میں بنیادی فرق یہ ہے کہ زیدیہ، امامت کو صرف حضرت علی (علیہ السلام) اور امام حسن و امام حسین کے لئے ثابت جانتے ہیں، دوسرے اماموں کے لئے نہیں، ان کی نظر میں تینوں اماموں کے بعد رہبری کا حق ہر اس ہاشمی کو ہے جومصلحانہ قیام کرے اور اپنی امامت کی طرف دعوت دے، لیکن امامیہ، امامت کو پیغمبر اکرم (صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم) کی نص کی بنیاد پر بارہ اماموں کے لئے ثابت کرتے ہیں جن میں سب سے پہلے حضرت علی (علیہ السلام) اور آخری حضرت امام مہدی (عج) ہیں۔ اسماعیلیہ بھی انہی سے نزدیک ہیں، یہ لوگ امامت کو امام صادق (علیہ السلام) تک قبول کرتے ہیں اور کہتے ہیں کہ امام صادق (علیہ السلام) کے بعد امامت آپ کے بیٹے اسماعیل کی طرف منتقل ہوگئی ہے اور اب امامت ان کی اولاد کی طرف منتقل ہوتی رہے گی، زیدیہ اور اسماعیلیہ میں دوسرے اور بھی فرقے پائے جاتے ہیں جن میں بہت زیادہ اختلاف پایا جاتا ہے دوسرے فرقوں کے حالات جاننے کے لئے تاریخ کی کتابوں میں مراجعہ فرمائیں۔ (Ref: https://makarem.ir/main.aspx?typeinfo=23&lid=4&catid=24960&mid=252422 ). [Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sab e kadar k amal kiya bagar imam mehdi A.S ko arzi likh sakta hein ya nhi
Answer: Jee han, likh sakte hain. (Ref: https://www.facebook.com/M.Mehdi313/photos/a.383070255099231/684636021609318/?type=3 ). (Ref: http://www.duas.org/urdu/URDU-www-alhassanain-com/AHLEBAIT/IMAM-MEHDI/saheefa_e_mehdia/013.html ). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: عورتوں میں سب سے پہلے کس نے اسلام قبول کیا
Answer: Aurton mein sab se pehle islam qubool karne wali aurat Hazrat Khadija(s.a) theen. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%BE%DB%81%D9%84%D8%A7_%D9%85%D8%B3%D9%84%D9%85%D8%A7%D9%86 ). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: انبیاء کرام نے لوگوں کوکس چیز کی دعوت دی
Answer:
Question: خطبہ شعبانیہ میں کس بارے میں بات ہوئی ھے
Answer: Maah e shabaan ke aakhri jume ko Paighambar e Khuda(s.a.w.w) ne sahaba ke ijtimaa se khitaab karte hue musalmaanon ko Razmazan ul murabak ki azmat aur ehmiyat se aghaah kiya aur is mahine ki khusoosiyat-o-barakat ko bayan kiya, isi wajah se ye khutba "khutba e shabaniya" ke naam se maaroof hai. (Ref: link, https://t.me/tabishrizvi/1587 .+ link, file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Telegram%20Desktop/khutba%20e%20shabaniya%20(urdu).pdf ). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Jo Maa'de Jismani me na maane woh Kafir hai? Please give detailed reply
Answer: jee haan, Q ke jo shaks kisi Nabi ki nuboowat ya zarooriyat-e-deen aur musallamaat ka aisa inkaar kare jo juzwi taur par hi sahi, Rasool Akram(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay, wo kaafir hai aur ehtiyat e wajib ki bina par najis bhi hai. Aur Maad-e-Jismani aisi zarooriyat-e-deen aur musallamaat me se hai ke jis ka inkaar karna Rasool Akram(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banta hai. lihaza Maad-e-Jismani ka inkaar karne wala shakhs kaafir hai aur ehtiyat e wajib ki bina par najis bhi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #103). [Updated on 25-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A0a,Imam Mehdi ka Father ka name sunni book me Abdullah q he?
Answer: Is ke jawab ke taur hum aap ko aik link farhaam (provide) kar rahe jis me is sawal ka tafseel se jawab diya gaya hai. apne sawal ke jawab ke liye us pe click karen. (Ref: link, https://www.shiatiger.com/2014/04/imammehdikwalidkanaam.html ). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a! Kya shiya parosi k ghr aftari ki dawat py ja skty hn?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Kafir wo shaks hota hai jo Allah ke wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. Isi tarah Ghali (yani wo log jo aimma{a.s} main se kisi ko khuda kahain ya ye kahain ke khuda, imam{a,s} main holool kar gaya hai) aur khaarji o naasbi (wo loog jo aimma{a.s} se bair o bughz ke izhaar karain) bhi ehtiyat e wajib ki bina par kaafir aur najis hain. isi tarah wo shaks jo kisi nabi ki nubowwat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar kare jo juzwi taur par hi sahi, Rasool(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay to ehtiyat e wajib ki bina wo kaafir aur najis hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #103). Note: Hum ne upar kaafir ki mukammal wazahat kar di hai aur Al-humdulillah shia hazraat kisi qism ke kufr-o-shirk ka irtekaab nahin kartay. balkeh sab se behtreen muslim aur momin hain. aur balkeh tamaam muslim firqon ke muqaablay men sab se behtreen aqeeda rakhtay hain aur is ke baad bhi agar koi shakhs, shia ko kaafir kahay to hum yehi kahain gay ke kisi ke faqat kehnay se koi kaafir nahin ho jata, agar sachay ho to suboot paish karo. [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Karbala ke waqie se related koi a ayat send kaen aik ayat to pata hai sura-e-bani israel ki #80 aayat hai aur is ke ilawa koi aur aayat bataie
Answer: