Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)


Id: 436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-u-alaikum Mera Saval ye hy k Quran mein kahein per hath khol kr nemaz parhnay ka bayan aya hy ya nahi.

Answer: w.s. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae. Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237.

Id: 449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please give me quran refrence that would make me clear that our first khalifa is imam ali a.s.....if possible provide me with aayat numbers and english translations because i have to clear the doubts of a ahle-sunnat...

Answer: bismehi taala, chand peshe khidmat hain : 1) sure maeda ayat no.67 ballegh, 2) sure maeda ayat no. 3 al-yawm 3) sure nesa ayat no. 59 olil amr 4) sure maeda ayat no. 55 wilayat 5) sure aale imran ayat no. 61 mubahela.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 495
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SLAM MERA SAWAL HAY K SORAH AL HAMD MIEN HAY K [HUM TERI HI IBADAT KARTAY HIEN OR TUJH SE HI MADAD CHAHTAY HIEN] TO KYA HUM YA ALI MADAD KEH SAKTAY HIEN?

Answer: w.s. is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain

Id: 497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bibi Fatima (A.S)ka katal kon hai?

Answer: s.a. tarikh ka mutalea kare bahot-si chize wazeh ho jaegi. i.A.

Id: 569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunni majority ka dawa hai ke Bibi Ayesha ki pakeezgi quran mein biyan ki gayi hai aur un ka Nikaah Nab-e-Pak sawaw ke sath arsh par hua tha , Soorah e noor ki tashreeh o tafseer konsi website se mil sakti hai?.

Answer: bismehi taala, sure noor me bibi ayesha ki jis pakeezgi ki bat ki gaee he woh us ilzam k silsile me thi k jo bibi ayesha par lagaya gaya tha, sure noor ke shane nuzul k silsile me jis waqee ko bayan kiya jata he is hawale se to shia aur sunni me koi ikhtelaf nahi he k woh ilzam jo bibi ayesha par lagaya gaya tha woh galat tha, aur khud quran ne bhi yeh wazeh kar diya he, magar kisi ko kisi ek burae se pak qarar dena us ki puri zindgi k achha hone par dalalat nahi karna, arsh par nikah ki bate aysa daawa he k jis ki koi daleel moatabar kitabo me nahi he, is me koi shak nahi k bibi aysesha zawj-e-rasool s.a.a.w. the maga nabi s.a.a.w. ki jawja ya rishtedar hona usi waqat mufeed ho sakat he jab muqammal tor par nabi s.a.a.w. ki farameen ki pervi ki jae warna Hazrat Nooh a.s. aur Hazarat Loot a.s. ki zawja ki misale hamare samne he. soorhe noor ki tafseer ke liye aap tafseere namuna ki tarf ruju kar sakte he k jo urdu me bhi availabel he.

Id: 885
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum..hm ye sun rhe hn k hmare imam e zamana ka zahur issi sadi m hoga ya 5 sadiyon baad aap y btaen k iss m ks hd tk sachai h. jawab ka muntazir

Answer: Koe shaks bhi zuhoor k waqt k baray main nahi jaanta or is k baray main dawa kernay wala her shaks jhoota hay.haan hum sub imam(A.S){Khuda on k zuhoor main tajeel karay} k zuhoor k muntazir hain.is waqt hum sub ki zimah daari ye hay k fuqahaa ki taraf say biyaan kerdah ahkaam e sharee’at per amal karain zuhoor k baad hamari zimmah daari ka ta’ey’yun khud hazrat hujjat(A.S) ferma’een gay.(Ref: Ayat Ullaha Sistani (d.b.), mujtahid say pochay gay sawalaat, part# 2, sawaal #228). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere shoher bhot tension me rehte hi or gusse me 2 baar unhone allahpak ko naauzobillah glat alfaz bole kya isse unka iman chla gya

Answer: Allah say galat baat mansoob karna gunah-e-kabira hai. (Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani (d.b) part # 1, masla # 30) Emaan ka ta`alluq dil say hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: muj se mera dost puchta hai isha aleosalm ka zikar budest ke kitab may hay aur gotam ka zikar gita may hai magar tumare muhmmad salalao aleo salm ka zikr dusre kitab may nahi hai aap ke pass is ka kiya zabab hai

Answer: In kitabo se ap ki murad ya to wo kitabain hen jo insan ki likhi howi hen ya wo jo insan ki likhi hui nahi hen. 1-Agr ye wo kitaben hen jo insan ki likhi howi hen to MUHAMMAD (salamun aly hi wa aale hi) ka hamari kitaboo ke lilawa doosri kitaabo main bhi zikar howa hai. 2-Agr wo kitabain murad hain jo insaan ki likhi howi nahi hain to un main AP(salamun aly hi wa aale hi) ka zikar moojood hai. 1 or 2 point ko sahi tor pr jaane ke liye ya to khud kitaaboo ka mutaaliaa karen ya phir apne qaribi aalimon men se kisi aalim se pochye. Hm ap se is baat ki taraf ishara karne ke liye ke AP(salamun aly hi wa aale hi)ka zikar pehle ki aasmaani kitaboo main mojood hai ik siyaaq bayaan karte hen jis per ap kafi baton ko rakh sakte hen.sura e saff ki aayat no 6 main ALLAH farmaata hai jis ka mafhoom ye hai, ke HAZRAT EESA(a.s) ne apne baad aane wale ese RASOOL ke kushkabri di jin ka naam AHMAD hai, ye or is hi terha ki or aayaat or riwaayat jab in ko MASOOM(a.s) ne musalman or geer muslim ke saamne para or sabit kiya to koi munkir in ke un kitaboo men hone ka inkaar na kar paya. (haq ko haq ke sath doondne wale ko haq mil kar rehta hai). Likin hosakta hai ke MASOOM(a.s) ki gaebat ki waja se hamari dalilen mukamal tor per her kisi ko samjh na aa saken lekin jab MUHAMMAD salamun aly hi wa aale hi ke waris IMAAM E MEHDI IBNE ASKARI(a.s) zahoor farmaae ge to ap apne ehtijaam main jo MAKKAH main ho ga us men logon ke samny ye dua farmaenge or is terha se apne dawe ko sabit farmaenge ge ke munkir ke leye inkaar karne ki koi gunjaish nahi rehe gi, jis terha her MASOOM(a.s) ki ye hi seerat rahi hai jo kitabon ko samjne walon per roshan hai.

Id: 2775
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mazi muzar e sehat hai? is se mardana kamzori hoti hy? aur kya koi insan ksi aur k gunah ka azab apne sar le sakta hy? is se dosra shakhs bari uz zima ho sakta hy? plz reply me fast

Answer: Mazi ke mutalliq Doctor o Hakeem se maloom karain, or koi dosre ke guhna ka azaab apne sar le kar us ko bari u zimma nahi kar sakta.(Ref : Sura e Fatir (sura no 35) , ayat # 18 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 3061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe alah se khubsurati mangne mai dar lagta hai,kahin jayaz hai ya nai,r kya agar ladki wednesday born hoti hai to parents ke liye garibi le kar aati hai ,kya yeh sach hai,mai r meri behan dono wednesday born huwe hain r sabi humko yahi kahete hai,

Answer: 1-Dua: Khuda ne dua k qabool kerne ka wada kia he or is ki koe shara,it nahi hain.jo bhi khuda se dua kerta he woo s ko jawab daita he.or ehlay marifat liay wohi kaafi he or agar dua ki lazzat ko mehsoos karay tu os ko phir kisi cheez ki zarorat nahi hogi.Laikin kuda se jo dua ki jati he oski tehkeek kerna (faiday mand hona) dua ki shara,it main se hay jo k insane ki quwat se bahar he, Q k baaz auqaat insane kisi cheez ka talab gaar hota he jab k os main insane ki maslehat nahi hoti or mumkin he k woo s k natijay ki taraf mutawajjah nah ho k ye cheez os k liay faiday mand he, ya os cheez ki maslehat ko jaana os k liay na-mumkin ho ya o ski khahish nizaam e takwini(kaaynaat ka nizam) se takrao rakhne wali ho.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=904 ) . 2-Jee nahi, aisi koe baat nahi hay k jo lerhki Wednesday k din paida ho wo apny waaldain k liay ghaareebi lati hay.(Ref: Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 03-01-12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!