Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)


Id: 15273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya bachy maa k mazhabi aqaaid ko follow kren ya baap ke? Maa chahti hai me bacho ki apny mutabiq tarbiyat krun jab k baap chahta hai wo apny hisaab se kry.

Answer: Aulad ko palna or os ki tarbiyat karna maan or baap dono ki zimedaari hai. Wo aqaid jo yaqeeni daleel se hasil hote hain or masomeen a.s ki raiwayaat se hasil shuda hoon, wo bache sikhane chahiain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #401). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15420
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fatima bent e Asad ki wafat pe Rasool Pak (slw) ne farmaya jab qabr me sab sawal huwe or pucha gya Imam Kon ha Jawab dena (ibnu k Ali a.s) Ali a.s Mera Imam ha Mujhe iski riwayat chaheye tafeel k Sath or kisne lekhi

Answer: Fatima bent e Asad ki wafat pe Rasool Pak (slw) ne farmaya jab qabr me sab sawal huwe or pucha gya Imam Kon hai Jawab dena (ibnu k Ali a.s) Ali a.s Mera Imam hai wale riwayat ko Shaikh Sadooq sahab ne apni kitab Risaala e Aiteqadiya ke baab 'qabar men sawal o jawab ke mutaliq aqeeda' men is riwayat ko naqal kiya hai. [Updated on 23-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Aj ky dour my mojzat ka hona kasa ha...Mojzat aima masomeen ki majodgi my hoty thy...kiya ab b mojzy ho sakty...jesy kha jata ziyarat hili...taza blood nikla...kiya y mojzat mumkin ho sakty ab b ho.....

Answer: Mojize ki tareef: Lugat me Mojize ke mana hain aajiz karne wala, or istelah e mutakalimeen me yani mojiza Khuda wand aalam ke us khaariq e aadat fail ka naam hai jise wo apne kisi Nabi(s.a.w.w) ya us ke Wasi(a.s) ki sadaqat-o-haqaniyat zaahir karne ke liye un ke hathon par zaahir karta hai. Is shart ke sath ke is ka zaahir hona tahaddi ke sath mila hua ho. (Yani Dawa e nubuwat-o-imamat ke sath bataur e challenge mila hua ho) jis ka misil paish karne se saari makhlooq aajiz ho. Lihaazaa agar aisa koi fail Nabi(s.a.w.w) ya Imam(a.s) se ailan e nubuwat-o-imamat se pehle zaahir ho to use istelah me irhaas kaha jata hai, aur agar Nabi(s.a.w.w) ya Imam(a.s) ke alawa Khuda ke kisi naik bande se koi khaariq e aadat fail zaahir ho to use karamat se tabeer kiya jata hai. Mojize ki sharaait: Mojize ki chand sharaait hain jin ki taraf agarche ijmaali ishara to tareef me maujood hai magar un ki zail me qadre wazaahat ki jati hai. 1. Mojize ko aisa qataei hona chahiye jis se munkireen ke inkaar ki tamam rahen band ho jain. 2. Mojize ko Dawa e nubuwat ya imamat ke sath mila hua hona chahiye. 3. Mojize ko Dawa ke mutabiq hona chahiye. Yani mojiza sacha ho na ke jhota. Jis tarah maseelma kazzab ne jab aik kaane ki aankh par shifa ki garz se apna najis hath phera to us ki dosri aankh bhi khatam ho gayei. 4. Mojize ko aisa hona chahiye ke sahib e aijaaz ke alawa baaqi tamam log is ka misil lane se aajiz hon. 5. Mojize ko muqtazay e aadat wa nawamees e tabiyat ke khilaaf hona chahiye. Q ke na mumkin e aadi ko wujood me lane ka naam Mojiza hai. Na ke na mumkin e aqli ko mumkin banane ka. Al-garz Mojiza aalam e asbaab or nature ke qanoon ke khilaaf hota hai. Jese aag ka sard ho jana, paani ke bahao ka ruk jana wagera. Mahaal e aqli ko is ke zariye mumkin nahin banaya jaa sakta. Jese ijtemaye ziddain wagera. Q ke na mumkin e aqli me ye salahiyat hi nahin ke qudrat e kaamila ka is se taluq ho. 6. Mojize ko aisa hona chahiye ke is ka koi zaahiri or maadi sabab maujood na ho. Jesa ke ilm e simiya, rimiya, kimiya limiya, or himiya me hota hai. Ps aap gaur karen. 7. Izhaar e Mojiza ke liye ye bhi shart hai ke kuch log is ki darkhuwast karen, ya aise log maujood hon jin ki aijaaz numayei ki wajah se hidayat ki tawaqqu ho. 8. Mojize ko fail e khuda hona chahiye. Lihaaza Mojize ki tareef or sharaait ko madde nazar rakhte hue aaj ke zamane mojiza nahin hota. Lekin ise karamat keh sakte hain q ke karamat ka hona aaj ke zamane me mumkin hai. (Ref: Usool e Sharea, Shaikh Muhammad Hussain Najafi, page # 381,382). [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15815
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia waledain ki gunahu ki saza us ki bacho ki tawar par mil saktei hai……yani baap gunahgar hu tu us ki saza ki tawar par us ki bete kharab hu …

Answer: Jee nahin, balke jo koi gunah anjam deta hai saza ka mustahiq wohi hota hai. (Ref: https://makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=60049&catid=6478&pid=62027 ). [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15973
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ہم آل محمد سے مانگ سکتے ہیں؟ کیا وہ بھی ہماری حاجت کو پورا کرتے ہیں؟

Answer: Since the Infallible Imams (a.s.) and the prophets – peace be upon them – are nearer and dearer to Allah, they are the ones whose prayers are answered; and the Quran also says, “Wabtagh elaihil Wasilah” {And seek means of nearness to Him.}. Meaning, in asking for help from Allah, the Most Exalted seek a means and intermediary and the best means are the Infallible Imams. Therefore, through them who are near to Allah, we ask the Lord of the Worlds for help. So we do not ask them for help as independent ones versus God; rather we consider them as means of nearness to God.(Ref: istifta from ayatullah sistani: 23-07-2018) (Ref: https://fiqh.world-federation.org/question/masoomeen-sy-direct-dua-karna/). [Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16139
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sheeya kafir hai

Answer: Aap kitab shiyat ka muqaddima parhen to aap haqeeqat tak pohanch jain gay. is kitab ka link diya jaa raha hay is ko downlaod kar lain. (Ref: https://www.pdf-archive.com/2018/01/31/untitled-pdf-document-6/untitled-pdf-document.pdf ). [Updated on 29-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamvalaikum Akirath ke sawal kya hay

Answer:

Id: 16398
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia insan janat me Bina hesab diye jata ha plz answer

Answer: Har insaan to nahin jaye ga balke un ka hisab o kita hoga Han albatta Rasool Allah(s.a.w.w) ki hadees ke mutabiq 70 hazaar afraad baghair hisaab ke jannat mein jayen gay. Hadees ye hai ke Rasool Allah(s.a.w.w) ne farmaya ke 'meri ummat mein se 70 hazaar afraad baghair hisaab ke jannat mein daakhil hon gay' phir Rasool(s.a.w.w) Ali(a.s) ki taraf mutawwajih hue aur farmaya ke wo afraad Aap(a.s) ke shia hon gay aur Aap(a.s) un ke Imam hon gay. aur baz riwayat me aya hai ke 70 hazaar afraad me se har aik ke sath 70 hazaar afraad hon gay. (Ref: Biharul anwar, part #27, pg #142. + Tafseer e noor us salqlain, part# 3, pg #469). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shia kesay bntay hn. Kya koi sharayat hn sunni ko shia bannanay k liay?

Answer: Sachay dil se Tauheed, Adal. Nabuwat, Imamat, aur qayamat par imaan rakhen aur Aima masoomeen(a.s) ke bataye hue naqsh e qadam par amal daramand hon. [Updated on 28-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16539
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fiqah jahfirya ma anay k liay kya shart ha???

Answer: Sachay dil se Tauheed, Adal. Nabuwat, Imamat, aur qayamat par imaan rakhen aur( 12)Aima masoomeen(a.s) ke bataye hue naqsh e qadam par amal daramand hon. [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!