Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)

Id: 13218
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Karbala ki jang ma saab sy phely or akhari shaheed ka kia name h?

Answer: Karbala k maidan main yazeedi fouj ki janib se pehla hamla teero ki barish ki sorat main hoa, jis k natije main 50 k qareeb ashab e hussaini shaheed ho gae, tu is liay ye nahi kaha jaa sakta k sab se pehle koon shaheed hoa. lekin sub se aakhir me shaheed honay walay hazrat imam Hussain (a.s) the.(Ref: Sa,aadatud daarain fi maqtal e hussain,muallif Allama sheih Muhammad hussain najafi, pg#335-6). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13260
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Huzoor ne meraj ke kitne saal bad hizrat ki

Answer: Is men ikhtilaf hai, lekin qareeb aik (1) saal bad nabi (s.a.w.w) ne madinay ki tarf hijrat ki.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%B9%D8%B1%D8%A7%D8%AC#.D8.B2.D9.85.D8.A7.D9.86) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maut , Qabr , Qayamat wa Aakhirat ka Zyada khauf Bohat zyada badh jaane Ke nateeje mein mayoosi Aur na ummeedi ?

Answer: Parwardigar se mayoos nahin hona chahiye Q keh Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say maayosi hojaey tu ye gunah hai. aur Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye. (Suraah Yousuf , Ayat#87) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30) Agar ye khaof kisi gunah ki wajah ho, misal ke taor agar kisi ne koi gunah kiya ho to us ke liye tauba ka darwaza khula howa hai. aur Haqeeqi tauba ye hai ke gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) honi chahiye. or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tuba hay. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na karne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor ba zaroor apnay pichlay gunaho ka azaala or tadaruk kerta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay. or tauba kernay walon ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: Aik lamha e fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay. or isi liay hadees main aaya hay: tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay.( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) 2) Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaatih ul jinaan, topic # Fazilat e Sura e Yaseen, pg # 04) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13296
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maut , qabr, qayamat wa aakhirat Ka Bohat zyada khauf badh jaane Ki wajah se na ummeedi Aur mayoosi ?

Id: 13313
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Allah ka khauf dil mein itna zyada badh jana ke mayoosi aur na ummeedi ki kaifiyat tak pahuch jaaye ?

Answer: Agar Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayoosi o na umeedi hojaey tu ye gunah hai. Aur Mayoosi gunah e kabeera hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13550
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya janab e zainab s.a ki koi beti thi agar thi toh reference bta dijiye

Answer: Jee han, Janab e Zainab (s.a) ki aulad men char bete; Ali, Aon, Abbas, Muhammad; aur aik beti, Umme kulsoom ke name thi. (Ref : https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D8%B2%DB%8C%D9%86%D8%A8_%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D8%A7#.D8.B4.D8.B1.DB.8C.DA.A9_.D8.AD.DB.8C.D8.A7.D8.AA_.D8.A7.D9.88.D8.B1_.D8.A7.D9.88.D9.84.D8.A7.D8.AF [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islam sy pehly log kis ko khuda manty thy?

Answer: Islam ibrahimi adiyan men se aakhri deen hai, is ke bad koi aur deen ya shariyet nahin aaye gi. Islam yani deen e muhammadi se pehly bhi parwadigar e yakta ko mana jata tha aur ise ki hi ibadat ki jati thi mukhtalif anbiya ki shariyat ke soorat men, kabhi hazrat e musa(a.s) to kabhi hazrat e eisa(a.s) ki shariat ke mutabiq to kabhi hazrat e Ibrahim(a.s) ki shariat ke mutabiq parwardigar e yakta ki hi ibadat ki jati thi, Q ke jatni bhi shariaten aayi hain wo sab parwardigar ki janib se hain. lekin is ke elawa baqi jo bande the un men se kuch buton ko khuda mante the, kuch aag ki ibadat karte the, kuch gaaye wagera ki ibadat kiya karte the....e.t.c. (Ref : https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13843
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gunah {zina} agr Allah mafi da data ha or jannat ma b woh chla jata ha to kia us ko Allah apna dedar krwae ga

Answer: (Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Khuda ki sifaat do tarh ki hoti hain. 1: Sifaat subutiya: wo sifaat jo khuda men payei jati hain. Jese Ilm, Qudrat, Hayat, Irada...wagera. 2: Sifaat Salbiya: wo sifaat jo khuda men nahin payei jati. Jese Khuda Murakkab nahin hai, Khuda jism nahin rakhta, Khuda jahil nahin hai....wagera. Sifaat Salbiya men se aik sifat ye bhi hai ke Khuda maraei nahin hai: (Khuda dikhayei nahin de sakta hai), yani Khuda ko aankh ke zariye koi dekhna chahe to mumkin nahin hai, is liye ke dikhayei wo cheez deti hai jo jism rakhe aur khuda jism nahin rakhta hai, lihaza us ko nahin dekha ja sakata hai. Khuda ki Sifaat ki mazeed maloomat ke liye niche diye link par click karen (Ref: https://www.punjnud.com/ViewPage.aspx?BookID=10478&BookPageID=255330&BookPageTitle=Kkhuda%20K%20Sifaat ) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia maut ka waqt aur maqam pehley se moayyan he?

Answer: Salam. jee bilkul. maut ka waqt or maqam pehle se moayyan hay or Allah k ilm main khuch bhi izafa nahi hota. قیامت کا علم یقینا اللہ ہی کے پاس ہے اور وہی بارش برساتا ہے اور وہی جانتا ہے جو کچھ رحموں میں ہے اور کوئی شخص نہیں جانتا کہ وہ کل کیا کمانے والا ہے اور نہ کوئی یہ جانتا ہے کہ کس سرزمین میں اسے موت آئے گی، یقینا اللہ خوب جاننے والا، بڑا باخبر ہے۔ سورہ لقمان، آیت نمبر ۳۳

Id: 14496
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam walekum Ya Ali madad kehna kaisa hai

Answer: Bismehi taala, ya ali madad kehna Jaiz hay.(Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai. [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!