Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)


Id: 14637
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haath kholke namaz parna aur haath bandhke namaz parna hain? Ye Quran se sabit kar sakte hain? Is there any reference in Quran?

Answer: Har hukum-e-sharaei kay liye zaroori nahin keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi laikin quran-e-naatiq ( rasool or ahlebait nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLo KAMAa RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat ban gae. Hazrat Ali(A.S) jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali(A.S) kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali(A.S) nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (Ref: No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. (Ref: Shiyat ka muqadima, pg #233,226,239,237) [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya "Ya Ali Madad" kehna theek hai? Kya "Ya Ali Madad" kehna Shirk hai?

Answer: Bismehi taala, Ya Ali(a.s) madad kehna Jaiz hay. (Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai. [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab assalam alaikum Mere sawl h ki kuch log bol rhe h ki nade ali bas munajat ki tarah h ye koi khas dua nhi h ..nade ali ke bare me bolte h ki nade ali kab aayi kha se kis par aayi kuch pta nhi .janab please aap nade Ali ke bare me kuch batay

Answer: Hadees e Naad e Ali ki tehqeeq. Is bare men hum aap ko aik link provide kar rahe hain aap ke us link visit ko kar ke Naad e Ali ke tehqeeq ka mutaliaa kar sakte hain. (Note: is link ko Telegram pe kia ja sakta hai, https://t.me/aqaed2017/1713 ). [Updated on 18-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14969
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haqiqi imaan ki nishani kya hai

Answer: Is ke liye hum aap ko aik link provide kar hain aap se guzarish hai ke aap is link ko visitt karen. https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%DB%8C%D9%85%D8%A7%D9%86 [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Kia maut Ka waqt Allah ny pehly sy fix kr dia hai ya halaat ki waja sy doctors ki ya ghr walon ki ghaflat sy Kisi ki waqt e muqarar sy pehly maut ho skti hai?

Answer: Jee, Quran men buhut se maqamat par lafz e ajal (أجل) ke sath maut ka zikr maujood hai. masalan Surah araaf ki #34 men hai ke, Aur har qaum ke liye aik waqt muqarar hai, pas jab un ka muqarara waqt aa jata hai to na aik ghari takheer kar sakte hain na jaldi. Ajalun: (ا ج ل) kisi cheez ki murqarara muddat ke maanon men hai, muddat e hayat poori kar lene ko bhi ajal kehte hain. Albatta maut ke asbaab (reasons) mukhtalif hote hain kisi ki maut muqarara waqt men tabaei (طبعی) taur par hoti to kisi ki maut kisi na kisi wajah se hoti hai. to ye doctors ya ghar walon ( ya kise or ) ki ghaflat ki wajah se kisi ki maut waqia hona dar asal ye bhi maut ka sabab banta hai ke us ki maut masalan aaj ki din muqarar thi ya falan di muqarar thi. (Ref: https://www.balaghulquran.com/tafseer/index.php?sno=7&ano=007034 ). [Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imam ke Zahoor ke baad hame kya kya karna hoga

Answer: ghibat imame zamana (a.s) me humsab ki zimmedaare ye hay ke mujtahideen ki taraf se bayaan karda ahkaame shareyat per amal kare or zahoore imaam zamana ke baad hamaare zimmedaario ka taiyun khud imaam (a.s) farmaaeghe. (ref: deen ke ahkaam bamutabiq fatwa ,aqa sistani, pg:303,sawaal no: 934) [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15186
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khud sy nafrat krna jayez hai or Allah talah naraz hoty hain asa krny sy?

Answer: hadees me kise se mohabbat or nafrat ka meaar allah ki zaaat hay yani allah ke khaatir kise se mohabbat karna hay or allah he ke khaatir nafrat karne hay. hazrat jaffar sadiq (a.s) se hadees hay : jo allah ke khaatir (kise se ) mohabbat kare or allah ke khaatir (kise se ) bugz (nafrat ) kare or allah ke khaatir ( kise ko ) ata kare wo apne imaan ko mukammal karne wala hay. (ref: wasaaillusshia ,jild no ,16,baab :15,wujobul hubb fillah ) musalmaan ke lie jaaiz nahe hay ke wo kise bhi insaan ke saamne apne tazleel ( yane apne aap ko zaleel ) kare .(ref: jadeed fiqhe masail ,aqasistani,,maslan no, 241,pg no:233) sab insaan per wajib hay ke agar fail haraam or tarke wajib se saamna hojaae tu apne zabaan or amal se nafrat o bezaare ka izhaar kare.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2008). insaan ke lie (apne ) mout ki tamanna karne ko ( ulama ne) markroh shumaar kia hay agarche insaan shiddat or musebat me kyu na ho balke munasib ye hay ke yu kahe : ah mere rab muje zindah rakh jab tak ke zindaghe mere haqq me bheter ho or muje mout dede agar wo mere haqq me bheter ho .(ref:urwatulwusqa ,taleqa aqa sistani, jild no:1.pf no: 285) [Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15201
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaonsi hijri me imame zamana ki viladat hui

Answer: Imam e Zamana(a.t.f) ki wiladat 255 hijri men howei hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D9%85%DB%81%D8%AF%DB%8C_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15240
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ٠ ?کیا مولا علی بعد نبی خلیفہ بلفصل ہے اس حوالے سے قرآن و حدیث کی روشنی میں جواب طلب ہے۔

Answer: Imam Ali(a.s) ka Nabi kareem(s.a.a.w) ke khaleefaye bilaa fasl hone ke dalail ke hawale se hum aap ko aik link day rahe hain Aap se guzarish hai ke aap is link ko visit karen. is men aap ko wo tamam hawale(Reference) mil jain ge jo Imam Ali(a.s) ke Nabi kareem(s.a.a.w) ke khaleefaye bilaa fasl hone par dalalat karte hain. (Ref: Link, https://saqlain.org/%DA%A9%DB%8C%D8%A7-%D8%B1%D8%B3%D9%88%D9%84-%D8%A7%D9%84%D9%84%D9%87-%D8%B5-%D9%86%DB%92-%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA-%D8%B9%D9%84%DB%8C%D8%91-%DA%A9%D9%88-%D8%A7%D9%BE%D9%86%D8%A7-%D8%A8%D9%84%D8%A7/ ). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Hazrat Abbas AS ibne Ali AS is considered as Masoom And Syed if yes then how? And Who are the successors of him

Answer: 1: Syed hone se murad ye hai k jis ka silsila e nasab baap k zariye hazrat Hazrat Hashim(a.s) (jo ke Rasool khuda k walid k dada hain) tak punhchta ho, aur Hazrat Abbas(a.s) ka silsila e nasab kuch yuon hai ke Hazrat Abbas(a.s) ibne Ali(a.s) ibne Abi talib(a.s) ibne Abdul mutallib(a.s) ibne Hashim(a.s). lihaaza Janab e Abbas(a.s) bhi syed hoye. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sstani(d.b), Part #1, Maslah #1261). 2: Hazrat Abbas(a.s) ibne Ali(a.s) ke Masoom hone ki daleel ke hawaale se hum aap ko aik link provide kar rahe hain, Aap se darkhuwat hai ke aap is link ko visit karen. (Ref: Link http://shia-aqaid.blogspot.com/2020/08/blog-post_40.html ). [Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!