Question: Salam! kismat attal hai ya nahi? if not then hum apni kismet ko kaisy change karskty hain?
Answer: wssalam o alykum, qismat ke bare main Ali (a.s) farmaate hain, jis ka mafhoom ye hai, k is ki haqiqat ki marifat hasil karne ki koshish nah karo .(Ref : nehjul balaga , kalimaat # 287 , pg # 735 , allama zeshaan haider jawadi). Or insan ko wohi cheez milti hai jis ko wo hasil karne ki koshish karta hai jesa ke Quraan e Majeed main mojood hai.(Ref , sura # al najam , aayat # 39).
Question: kitne Janwar Jannat me jayege aur yeh janwar kiske hey
Answer: Hazrat Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi hai ke jannat main balamm baoor ke ghade, naqaa e saaleh, hazrat yusuf ke bheriye or ashaab e kehaf ke kutte ke siwa or chaar-paae na hon ge. (Ref : haq u al-yaqeen , jild # 2 , baab # 5 , fasal # 8 , pg # 105 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: asalam walekum mera sawal hai k marfat toofiky khuda se milti hai ?
Answer: Wssalam o alykum, jee, lekin Allah Taala ki tofiqaat hasil hone ki shartain hain, or wo ye hain ke insan apni sooch o kaam main haq kare or haq bole or haq ka sath de, or Shariat e Muqaddasa per khalis niyat se pore tor per amal kare, or aklaaq ki kitaboo ke pharne ke baad un per pori terhan amal kare. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 220) , (Ref : Marifat ul Allah , jild # 1 , fasal # 2 , pg # 177 , 182 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: سلام کیا اوصیاء کا معصوم Ûونا لازم ÛÛ’ اگر لازم ÛÛ’ تو کونسی عصمت(عام. خاص)ÛÙˆÚ¯ÛŒ
Answer: wsalam. Jee ausiyaa ka masoom hona laazim hai or un k liay ismat e khaasaa hoti hay.(Ref:http://www.aqaed.net/faq/1176/) [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam un alaikum mera sawal ye hai ke taqleed usul e din ke ilawa kin cheezon per jaiz nahi hai.
Answer: Musallama or qatae umoor yaani aise umoor jin par islam k 73 firqay mutaffiq hai or sub tasleem karte hai un mai taqleed jaaiz nahi hai jese maghrib ki 3 rakaat hona.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: shia kafir hy k musalman?
Answer: Jo insaan islam ke sahe aqaaid per yaqeen rakhta ho or is ka izhaar karta ho wo musalmaan hay or momin hay .islam ke sahe aqaaid masalan allah tala ki wahdaaniyat or hazrat Muhammad mustafa ki nubuwat ki gawaahe dena .or shia hazraat deen islam ke tamaam sahe aqaaid per yaqeen rakhte hain lehaza shia hazraat musalmaan bhi hain or monin bhe hain . (Ref: tauzeeh ul masail,aqa sistani,pg.no:15,42, masla no:15,205) [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: dua say taqdeer badal sakti hay?
Answer: Jee han dua se or apne kirdar se yaqeenan taqdeer tabdeel hojati hai,(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 79). [Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir apka mazab kia hy
Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam o alikom ham jab kehtay hain ya ali madad to es se murad yah hota hai k osi waqt mola hamari maded kartay hain ya allah ki hozor sifaresh kartay hai es baray main shia aqida kai hai?
Answer: W/salam, ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hain [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: akida Khatme nabuwat k kis Surah ki kaun si aayat Mein Byan Kiya gaya hai
Answer: Surah ahzaab ayat no 40 mai rasool allah ko khatam un nabiyeen kaha gaya hai. (Ref:https://quran.com/33). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]