Question: Kia aqaid mai shak karna kufr ka sabab banta hai?
Answer: Shak karna justuju aur tehqeeq ka sabab banta hai aur inkar karna aur na manna kufr hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 201, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia tamam kuffar, mushrikeen aur mulhideen ko begair kisi istesna k jahanum mai daal dia jae ga, jab k in mai aisay afrad bhi hain jinhain kisi cheez ka ilm nhi hai. ye masla kis terha adl e ilahi sai takrao paida nhi karay ga?
Answer: Ye moamla(kaam) khuda ka hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 202, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Rajat kisay kehtay hain? Detail mai betain Mehrbanni ho gi….
Answer: Riwayat mai aya hai k khuda baaz marhomeen ko is dunya mai dubara kisi maqsad ki khatir zandigi ata kray ga aur is ki qudrat ki omomiat mai to koi shak nhi bal k quran majeed mai bhi srahat ki gae hai k is nai kuch afrad ko dubara zandigi di hai. behr hal ham ijmali tor par rajat k aqiday par eiman rakhtay hain jaisa k aiema athar a.s. sai is baray mai kaseer riwayaat aye hain. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 231,pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Books/book3/fahrist3.asp?myid=95
Question: ASSALAM O ALAIKUm PLeASe TELL ME THAT IF WE DID SAJDA IN FRONT OF ROZA IMAM HUSSAIN AND THINGS THAT ARE RELATED TO IMAM HUSSAIN BECAUSE THEY ARE REpeCTFuL Is It RiGht We Didnot think that is GOD But we did .. PLEase Give me SOme references
Answer: Allah k ilawa kisi dosray ko sajda karna haram hai. baz log jo imamo k mazarat k samnay peshani zameen par rakhtay hain agar wo Allah ka shukr ada karnay ki niyat se aisa karain to koi haraj nahi warna mahal e ishkal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nafas pay qabo kaisy paya ja sakta ha or zehan ma bhut ult pult sawlat aty hain islam k bary mai
Answer: 1)Gunahon sai bachnay aur nafs par qaboo panay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). 2)Shak karna justuju aur tehqeeq ka sabab banta hai aur inkar karna aur na manna kufr hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 201, pg # 95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar k0i insaan ke zahen me ahle bayt ke bare me gandi khayal aye to kea ye gunah hai...? Agar ye was wase ke shakal me aye..? Insaan sochna nahi chahta h0 phr v aye to?
Answer: 1)Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) 2)Waswasa dor krnay k lie (la hou’la wla quwata illa billah) parhai. (Ref : Mafatih ul jinan pg# 208). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: hamari kia zemadari hai imam zamana kai dour mein
Answer: Ham sab Imam e zamana a.s k zahoor k muntazir hain aur is waqt hamari zimadari ye hai k mujtahideen ki taraf sai bayan karda ahkam e shariat par amal karain aur zahoor k bad hamari zimadari khud imam batain gay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 228,pg # 89-90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia kafir ki mafi qabool hoti ha ya nahi jabkay Allah ne us ko kashaf de dia ha kay karachi main aisa azab kabhi nahi ayae or na aiga please answer o us ko 18 month say neend nahi aye ha Allah rozana azab kay khawab dekhatay ha
Answer: Hazrat Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Ager kafir apni kufrana zindagi ko choor kar islaam laae or Allah Taala se us ke liye isterhan toba kare ke use us zindagi ki waja se pashemani o nadamat ho or wo is pashemani o nadamat ki waja se phir kabhi Allah Gafoor o Raheem ki nafarmaani na kare to Allah Qadir o Tawana bhi is ko muaaf kar deta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Q#1: Allah g keyamt k roz kin kin logo ko apny saay (shadow) k nichy jga dyn gy..??
Answer: Mutaqi Hazraat Allah Paak ke Say e Rehmat main jaan guzeen hon ge.(Ref ; Sura e Al-Hujraat (sura no 49) , ayat # 13 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sir plz tell me k mukhtlif ulma, ya buzrgon k mazar pay jakay mannat magna jaiz hay?
Answer: In mazaroo main ja kar in ko apni hajaat ki qabooli k liye wasila banana ALLAH TAALA k nazdeek is main koi harj nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , masala # 201 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).