Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Aqaid ( 113 Questions)


Id: 5860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya mukhannas/hijda ke liye jannat haraaaaam hai?

Answer: kon jannat main dakhil ho ga or kon jehanam main ye ALLAH TAALA ka muaamla hai or is ka haqiqi ilm ALLAH TAALA hi ko hai. Logo main to bohat batain mashhoor hoti hain jin ki koi haqiqat nahi hoti.(Ref : mutahid se poche gaae sawalaat , masala # 202 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6001
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Janab mai chahata hu k muze sirf or sirf allah se muhabbat ho jaye..rarika bataye

Answer: Wssalam o alykum, Allah Taala Quraan e Majeed main farmaata hai ke ager tum Allah se muhabbat karte ho to meri (yani hamare Nabi e Paak s.a.w) ittibaa karo (ager meri ittiba karo ge to) Allah tum se muhabbat kare ga or tuhmare guhnaao ko muaaf kar de ga. (sura e Aal e Imraan , ayat no # 31) Or Hadees e Saqlain main Ap (s.a.w) ne farmaaya (ye hadees musalmanoo ke nazdeek un ahadees main se hai jo yaqeni tor per Ap (s.a.w) se sadir hoi hain) ke main tuhmare dermiyaan do giraan qader cheezain (Quraan e Majeed or Ehl e Bait yani Ali ibn e Abo talib or in ke do farzand Hasan o Husain or Husain ki nasal main se 9 afraad) chore jar aha hon, jab tak in se mutamassik raho ga (yani apna deen in se hasil karte raho ge) to hargiz mare baad gumraah nahi ho ge. (Ref : Ali(a.s) khalifah e Rasool (s.w.a) , topic # hadees e saqlain , pg # 138). Pas jo insan Allah Taala se haqiqi mohabbat karna chahta hai or ye bhi cahta hai ke Allah Taala us se muhabbat kare to us ko apna deen Ehl e Bait a.s se lena chahiye, or is natije ke sahi hone per Hazrat umar ka mashhoor qool dalalat karta hai ke ap ne farmaya ke ager ali na hote to umar halaaq hojata or khabi farmaya ke eh Allah! Muje ese mushkil masale ke liye zinda na rakh jis ke hal karne ke liye Ali mojood na hon khabi farmaya ke ham main sab se bara qazi Ali hai.(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Ali ke mutaalliq sahaba ke etiraaf , pg #82 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6022
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ham sheia maslaq qu ikhtiar karin

Answer: Doctor tejani samawi jo sunni mazhab sai shia mazhab mai convert huay hain wo ye kehtay hain k jis baat sai mujhay aur bhi yaqeen ho gya k shia hi nijat panay walay wala firqa hai, wo ye hai k shia aqaid farakh dilana, aasan aur har hoosh mand aur ba-zauq shakhs k lie qabil e qabool hain shio k yaha har maslay aur har aqeeday ki munasibat aur itminan bakhs wazahat moujood hai jo ahl e bait a.s mai sai kisi na kisi sai mansoob hai jab k mumkin hai k aisi kafi o shafi wazahat ahl e sunnat aur doosray firqon k yaha na mil sakay. (Ref : Book hokum e azan pg 31)note : mazeed wazahat k lie is kitab ko parhain jo kisi bhi shia Islamic book store ya libray par aasani sai available hai. aur ye kitab English mai bhi tarjuma ho chuki hai. ya aap is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.ziyaraat.net/books/HukmeAzaan.pdf (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kaza namaz padh lene ke baad bhi aadmi par gunah hota he ya nahi?

Answer: Hazrat Imaam Muhammad Baqir (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq gunaah ka iqraar aadmi per se gunaah ke booj ko hata deta hai. Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai.(Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 2 , 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Id: 6753
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai woh konsi k jamat hai jo haq par hai please woh jamat ka naam bataen

Answer: Aaj k zamane me siraate mustaqeem ( seedha rasta ) ahlebait (a,s) k tariqa hai jise aik aadil aur aalam mujtahid ki pairvi ( follow) k zaria hasil kiya ghaya ho. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 4 pg #24) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat janabe Fatima s.a ko kin logo ne shaheed kiya

Answer: AaP (a.s) ki shahadat ka sabab abu bakar o umar hain.(Ref : behaar ul anwaar , jild # 3 , baab # 7 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7021
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mohammed salelahu alaihu salam ki kul kitni auladein thi?aur me ye jana chahti ho ke quran sharif ki sabse pehle nazil hone wali ayat kaunsi hai aur kis pare m hai.?shukriya

Answer: Aksar muarrakheen ne RASOOL (s.a.w.w) ki mutaaddid ulaad mutaaddid betiyoon ke sath ke qool ko tarjee di hai, lehaza ye hi qool aam musalmaano main mashhoor hai, agerche ke ulamaa ki teqeeq is qool k khilaaf hai or wo ye hai ke AaP (s.a.w.w)k 3 bete or 1 beti hain. 1- hazrat qasim tayab 2

Id: 7079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nabi kis se kehte hai?

Answer: Nabi ka lafz naba se nikla hai jis k mana hai khabar yani wo shakhs jis k pass wahin ya kise or zariye se gheb ki khabar aati hai. jb k rasool wo hota hai jise in khabaro k batane k liye apne qume ki taraf bheja jata hai. har rasool, nabi bhi hota hai jab k ye zarori nahe k har nabi ,rasool bhi ho.(Ref : Mujtahid se pooche gaye sawalaat, part #4, sawaal # 226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalykum Kya gusse main bad khayali ana jaise apni kismat ko kosna, gunaah hai aur agar hai to eska kaffara kya.

Answer: Qismat ko kosna munasib nahi magar bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayosi hojaey tu ye gunah hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#1, maslah #30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya jannat man utnay darjay han jitni quran ki ayyat han ?????????

Answer: janna ke 8 daraje hain, 1

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!