Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 14743
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr koi hmri kirdar kashi kry or hum usy rokny k lia koi jhoot boly k wo dar jay wo bewja ki baty na uray to kya ya glt h

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. (Ref:Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30),Minhaj us Salaheen, Ayatullah sistani(d.b), part #2, maslah #38) [Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14791
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gand marwane ka nuqsan our iska ilaj

Answer: Lawaat yani mard ka mard k saath ghair fitri amal(bad faili) anjaam dena jaiz nahin he or gunah e kabeera hay. iqlaam (badfeli) karwaane waale larke ki mah ,behan , or beti ,iqlaam (bad feli ) karne waale per haraam hojaati hain or Jo insaan shadi na karne ki waja say haram kaam karta ho us par shadi karna wajib hai. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30)+(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2369, 2407). (Note: Lawaat (Ighlaam bazi) ko chand cheezon ki taraf ghoor o fiker ker k asaani se chorha jasakta hay: 1-Ighlam bazi gunah e azeem hay or khuda k shadeed narazgi ka sabab hay. 2-Khuda ko har waqt hazir o nazir jaantay hoay gunah se bachnay ki koshish ki jaay. 3-Ighlam bazi se insaan main mukhtalif qisim ki jinsi beemariyaan paida hoti hain, jin main namerdi ki beemari bhi shamil hai ). [Updated on 07-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14826
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salama agar nadani mai hui galti ki kalam paak ki jhuti kasam khaa lene se kya kafara dena hoga

Answer: Is tarah ki qasam durust nahin hai lehaza kaffara nahin hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai ye gunah e kabeera hai or is ki tauba aap par laazim hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi larka goat k sath sex kre to us ki kia saza ho ge

Answer: 1: Agar koi shakhs aise Haiwaan se jis ka gosht khaaya jaata hai maslan gaaye, bherh, bakri aur ount waghairah se bad faili(sex) kare to un ka peshaab aur gobar najis ho jata hai aur un ka gosht khaana haraam hai aur Ehtayat-e-wajib ki bina par us ka doodh peene ka aur un ki jo nasl bad faili ke bad paida ho us ka bhi yahi hukm hai. Zaroori hai ke aise haiwaan ko fauran zibah kar ke jalaa diya jaaye aur jis ne us haiwaan ke saath bad faili ki ho agar woh us ka maalik na ho to us ki qeemat us ke maalik ko day.Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2594, 2407) . Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2: Allah taala ki barghah men tauba karen , Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. Taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k tark karnay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. ”.(Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine yeh poochna hai k kisi ne chotay hotay huay chori ki ho market se chocolate utha li houn ya maa k bag se paisay leliay houn kisi ghareeb k liye jo paisay diye join usko khud istemal krlia ho to uska kafara kya hoga

Answer: Baalig hone se pehle kiye hue gunah maaf ho jate hain magar un men kuch gunahon ke liye wo bacha maali zemme daar hota hai wo zemme daari baalig hone se bhi saaqit nain hoti jese ke bache ne bachpane men chori ki thi ya kisi ka maal ya haq, nahaq taur par khaya tha to bache par logon ka jo haq baaqi hai us ke liye un say maafi maange ya us ka haq or maali zemme dari ada kar day. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01741/ ). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya dgadi say phely bewi kay sath sexting agar kardi ho yar jism dekhloya hoaur uskye badh usi aurat say shadi hujye tw kiya gunnah maaf hujtyen hain ya konsi maafi mamgni chaye ya koyi kafara ada karna huta hai iska please let me know?

Answer: 1: Nikah sai pehlay mangetar na-mehram hai. Aur is sai sex karna zina kehlaye ga. Aur zina haram hai is ke alawa agar koe shakhs kisi aisi bay shohar aurat ke sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shakhs is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahin ker sakta. 2: Agar jism dekha ho to ye bhi gunah e kabira hai lekin is me us aurat ke tauba karne se pehle us se shadi kar sakta hai. 3: Aur is se wo gunah maaf nahin hoga balke tauba or isteghfar karni hogi or is ka kafffara ye parwardigar ki barghah sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur gunah se bachney k lie mazboot irada chahiye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364, link sistani.org ques #1, tauba). [Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum janab. Agar bahut jyada thakawat ho aur body me dard ho aur namaz na padhe to kya hoga. Dusre din uski qaza padh sakte hai ?

Answer: Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai.(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, edition 1439 hij, Maslah #30). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14964
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Age ek insan Galt krta h to kya ALLAH usy sajdy ki tofeeq Dy skta h

Answer: Jee hann, Khuda wand Ghafoor o Raheem or bara bakhshne wala hai or taufeeq de sakta hai, Parwardigar se mayoos nahin hona chahiye Q keh Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say maayosi ho jaey tu ye gunah hai. aur Quran ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har waqt Allah se umeed honi chahiye or mayoos nahin hona chahiye. (Surah Yousuf, Ayat #87), (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14968
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kin mqamaat par ghibat karna jayez hai

Answer: 1: Gheebat haram hai or gheebat se murad ye hai ke kisi bara imami shia ke makhfi aib (عیب) ko us ki gair mojudgi men doosre ke saamne bayan kare chahe us ki shakhsiyat ko majrooh karne or us ki tauheen karne ke qasd se ho ya aise qasd ke bagair ho, Han agar tauheen karne ke qasd se us ke aib(عیب) ko bayan kare to do gunah (gheebat or tauheen) hon gay. 2: Chand maqamat par Gheebat karna jaiz hai un men se baaz maqamat mundrija zel hain: 1. Jo shakhs khulam khula gunah karta ho or is se tauba bi na karta ho us ke zaahiri gunah ko doorson se bayan kiya ja sakta hai lekin us ke makhfi gunah bayan karna jaiz nahin hai. 2. Jo shakhs zaalim ho, mazloom ke liye us ki gheebat karna jaiz hai agarche ye kaam us ke aib(عیب) ke aashkar hone ka sabab bane, lekin Ehtiyat e wajib hai ke mazloom sirf us maqam men us ki gheebat kare jab kisi doosre se madad mangne ke liye ho. 3. Agar koi shakhs kisi maqam men jese shaadi, mashwara lay, to us ki naseehat or renumai karna jaiz hai agarche ye kaam us shakhs ke aib(عیب) ke zaahir hone ka sabab bane, albatta laazim hai ke zaroorat ki miqdaar par iktifaa kiya jaye, lekin agar kisi shakhs ko bagair darkhuwast ke mashrwa day to gheebat us soorat jaiz hogi jab use mashwara na dena or rehnumai na karna kisi bare mafsde ka baais ho. 4. Jahan par gheebat karne ka maqsad ye ho ke gheebat kiye jane wale shakhs ko gunah se roken jabke gunah se rokna kisi aur tareeqe se mumkin na ho. 5. Jahan par gheebat kiye jane wale shakhs ka amal aisa ho ke deen ko zarar punhchane ka khauf paaya jata ho to is soorat men deen ko zarar punhchne se rokne ke liye us ki gheebat jaiz hai lekin zaroori hai ke sirf deeni zarar ke bartaraf karne ki mqdaar par iktifaa kiya jaye. 6. Qazawat or hukum saadir karne ke maqam men do gawah ki adalat par shubah warid karne or un ki gawahi ko rad karne ke liye gheebat karna jaiz hai (yani gawahi ko jhutlane ke liye). 7. Jahan par gheebat karne ka maqsad gheebat kiye hane wale shakhs ko aik aise zarar se bachana ho ke jis se bachana wajib hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2264,2272). [Updated on 11-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14973
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mughysay kuch time pehlay zina hogya tub mein unmature tha zina ya iska gunnah ka baray mein kuch ni pata tha keya is soorat mein ab mughay gunnah mila ga

Answer: Na-baligh par koi sharaei hukum lago nahin hota yani na-baligh agar gunah kare to wo muaaf kar diye jate hain, magar un men se baaz gunah ke liye wo maali aitebar se zimme daar hota hai, wo zimme daari saaqit nahin hoti, is ke alawa baaz gunahon ke aasar baad men bhi zaahir hote hain jis ki wajah se Aap baaz larkion se shaadi nahin kar sakte, ye cheez buloogh se bhi khatam nahin hoti. (lekin buloogh ke baad kiye hue gunah muaaf nahin hote jab tak ke Tauba na ki jaye). (Ref: Urdu website, Bulugh, Ayatullah Sistani(d.b), Link https://www.sistani.org/urdu/qa/01741/ ). [Updated on 11-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!