Question: Agr koi zinaa ka adi baen chukaa hoga oer woo deiri deri chodnai ki koshis karaai kay Allah usko maaf karaai ga
Answer: Zina karna gunah e kabira hain. aur gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei aur halaal rasta shadi karna hay. Q ke jo shaks shadi na karne ki waja se haram kaam(zina) me mubtila hota ho tu is par shadi karna wajib hai. zaroori hay kay Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.Ref:Istiftaat A.Sistani I-53. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Maslah #2407) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mry husband Roz mjhy haram ki gali dety mry maa ko b haram bolty k tm haram ho tmri pori faimly haram ha or ma tang aaa gea hun tm sy ,to ma ab kia krun ma bht pareshan hun mjhy kia krna chahey
Answer: Aap unhen is faqhi masale ki taraf mutwajah karen ke Gaali daina kisi ko jaaiz nahin hai chahe Biwi ho ya koi or ho, or aap in ki bato per sabr karain. ( Ref: Mujtahid sai poochay gaye Sawalaat, part #3, sawaal #166) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Saghi Chachi or dusre aurto ko buri najro se dekhta hu
Answer: Ye haram hai aur gunah e kabira hai. (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 42, Maslah #2397). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mai ek larke k sth relation mai hun hum alg alg mulk mai rhete hy wo aksr mere sth chats pe sex krta hy uske ghr sbko mera pta hy kai chtas pe sex krna jaiz hy?
Answer: Shohar aur Biwi k alawa kisi doosray sai fahash batain karna haram hai. (Ref: Minhajus saleheen Ayatullah Sistani(d.b), part #2, masla #34). Na mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66)+(Ref: nigah aur libas pg: 31 eidition 1)+(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri bari behn aur meri maa ki larai hui. Meri bari behn ne bht bsdtameezi ki. Meri maa buhat naraz hai usay, but mein dono ka sulah Krwa rahi hoo itni dair se, dono nahi manti. Kya karoo ? And Allah ka kya ahkamaat hain?
Answer: Musalman se 3 din se ziyada taaluq khatam karna ehteyat-e-lazim ki bina per jaiz nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Masael e Muntakhaba, Mafhoom e Maslah #24). Aaq e walidain (yani walidain ka nafarman) ye haram aur gunah e kabira hai or ye in dono (walidain) se burae se paish aana hota hay, kisi bhi andaaz se ke jo in dono ki bache per safqat se inkaar shumaar kia jaey. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #1, Maslah #30, edition 1439). Jo koi kisi k darmian sulah karwana chahae to surah e taha surah #20 ko parh kar sulah karye to dono os ki baat ko qabool karain gay. (Ref: Kitab Payam e Shifa, pg #256). Agar kisi kahandan mai kisi wajah say na-ittefaqi paida hogai ho tou apas mai ittefaq paida krnay k leye surah anfaal (surah #8) ki ayat #63 ko rozana har namaz k bad 11 bar parhain.(Ref : Kitab Payam e Shifa, pg #366). (Note: Aap un ko in masail agah karen aur ye wazifay bhi karen ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi lrki video call py nude hui ho lakin real mein kbhi kissi lrky ny touch na kiya ho to b kia wo lrki badkirdar shumar hogi
Answer: Ye zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana chahe video call pe ho haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2397,2400). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai k aik insaan aik gunah nahi karta laikin wo oska itraf kartah k os ny wo kia tu kia wo gunah oska shimar hu ga
Answer: Je nahin wo gunahgar shumar nahin hota. Aur agar gunah ho jaye to Doosron k saamne apne gunah ka iqraar kerna jaiz nahin hai.(Ref: Mujtahid se poche gay sawalaat, part #2, pg #88). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr do insaan k darmiyan larhi ho or in ki sulah k liaye jooth bola jaye or is jooth say kisi ka nuksaan nah ho or nahi dil azari ho.. kya ye sahii ha
Answer: 1) Jhoot bolna (yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho) gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. 2) jhoot bolna faqat do maqamaat per jaiz he, 1. Apni jaan bachane ke lie. 2. Do logon mn islah karane ke lie. 3) Laikin agar tauriyah kia jae to koi haraj nahi hai. tauriyah yani alfaaz k zaheri mafhoom ko chor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38). Ref: sawal o jawab website agha sistani Link:https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Ager kisi lerki ne kisi dusri lerki k sath budfaili (sex) kia ho or Ager wo lerki apnai is gunah ki mafi mangay bagair kisi or lerkay se nikha kerlai to Kia us lerki ka nikha jaiz hoga us lerkay k sath..
Answer: Aik aurat ka apni sharamghah ko doosri aurat ki sharamghah se lagana "sahaq" kehlata hay or ye kaam gunah e kabeera hai. Wo larki tauba se pehly nikah kar sakti hai agarche us ne gunah kiya hai aur is gunah ki wajah se lazim hai ke parwardigar se sachay se tauba talab kare. Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2364). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Agar shohar apni bv ki bjay kisi mard sy apni shahwat puri kray to uska anjam kya ho ga
Answer: Lawaat (iglaam) yani mard ka mard sai gair fitri amal anjam dena, jaiz nahin hai. or gunaae kabira me se hai . (Ref :minhaajussahleheen part no # ,1 Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #461, pg #253). Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziaada jimaa tark nahin kar sakta lekin agar biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liye hambistari tark karnay par razi ho to koi masla nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). mard ko chaaieToba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Note: Aap apne shohar ko in masail se aaghah karen). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]