Question: nabi pak ne apni zindagi mai kitena haj kye/
Answer: Marvi Rwayat main hai ke poshida tor per 20, or bazahir 2 baar kiye. (Ref: Man la yaahzuro ho al-faqeeh , pg # 160 , baab # Nabyoon o Rasoloo ke hajj ke mutalliq ik nuqta , riwayat # 2291 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: A.S.W.K JANAB MEE POUCH NA CHATA HU KE SHIA KUN HAI, ISS KOM KI SHURWAAT KHA SEE HU-E HAI, INKE MUSALLE PAR TO AAP MOHAMMED S.A.W NE BHE NAMAZ NAHI PADI HAI. PLZ DETALE MEE BATAE AUR THODI AASAN URDU MEE JAWAB DE
Answer: Wssalam o alykum, Mazhab e Shia dosre musalmano ki terhan Islaam ke mutaddad firqo main se ik firqa hai, lekin is ke or baqi musalmano ke dermiyaan jo farq hai wo ye hai ke jab baad Rasool Muhammad Mustafa (s.a.w) Khilafat(Janasheen Rasool) ka silsila chhera gaya to 2 qisam ke giroo manzar aam per aye, 1 – wo jo Hazrat Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar maante the, 2 – jinho ne Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar nahi mana, Tareek ne 1st gero ko Shia or 2nd ko Ahl e Sunnat ka naam diya. (Ref : Mazhab e Shia Imamiya , pg # 13). Or is tareek ka kulasa Hazrat Muhammad (s.a.w) se Bayan shuda 2 Hadeeso main poshida hai, 1 – meri ummat 73 firqoo main taqseem ho jaae gi, in 73 firqoo main se 1 ke ilawa tamaam jehannami hain(Ref : Ahsan ul Aqaid , mutarajjim o musharreh # Allamah Fazil Miqdaad , pg # 10). 2 – Rasool Allah (s.a.w) se rewayat hai jis main Ap (s.a.w) ne farmaya ke qasam hai us zaat ki jis ke qabze main meri jaan hai, ye (Ali bin Abi-Talib) or is ke SHIA hi qayamat ke din kaamyaab hone wale hai.(Ref : Shia-at ka Muqaddima , pg # 54(Or isi kitab men bohat sare ahl-e-sunnat k hawale mojud hen) Pas dono hadeeson or tareek ke pesh e nazar natija nikalta hai ke ager Shia Hazraat apne mazhab ke Usool o Furoo per imaan rakhain or khalis niyat se amal karain to Qayamat ke din kaamyab hain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: assalam u aalikum my question is (what is the real existance of nade ali according to shariyat ,when it was reavealed?)
Answer: kitab bihaar ul anwaar jild 20 page 73, nade ali moujood hai jo jang aohad ki din rasool ( s.w. a) ne perhe the. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Please tell me the excat dates of birth and death of Prophet Muhammad SWA.
Answer: Ulma e Imamia k nazdeek mashoor ye hai k Hazrat Muhammad S.A.W.W. ki wiladat ba-seadat 17 Rabi ul awwal ko hui aur is par ijma hua hai. aksar ulma e ahl e sunnat k nazdeek app s.a.w.w. ki wiladat isi mahinay ki 12 tareekh ko hui. Shaikh kulani aur baaz fazil ulma e shia nai bhi ahl e sunnat wala qoul ikhtiar kia hai. ye bhi mashoor hai k isi tareekh ko barooz e humma subah sadiq k nazdeek aap s.a.w.w. ki wiladat hui jis saal ashab e feel hathi lai kar khana kaba ko tabah karnay k lie aye thay. (Ref : Sirat e masumeen a.s. pg # 21)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: woh kon si koum hai jis pr sy Allah ne apna azab htalia tha?
Answer: ALLAH TALA ne Mosa(a.s) ki duwa k sabab Fironiyoon ko aakri azaab se pehle mukhtalif azaab se dochaar kiya or phir Mosa(a.s) ki duwa k sabab in se azaab ka taal diya gaya.(Ref : tareek ul islaam , baab # 21 , chapter # aale firoon mutalif aazaaboo main). Hazrat daniyaal nabi(a.s) k door main, in ki bad dua se ik qarye main qehet ka azaab aaya jis k natije main maan apne bacho ko khana shoro kar diya, or phir un hi ki dua k sabab is aazaab se un ko nijaat mili. (Ref : tareek ul islaam , baab # 32 , chapter #rooti ki naqadri, hazrat daaniyaal(a.s) ki bad duwa, shadeed qehat or bitiyoon ke khane ka waqiaa). ALLAH TALA ne Hazrat Yonus ki duwa k sabab in ki qoom per azaab ko muqarrar farmaa diya, or phir in ki qoom ne in k ik momin (Robeel) ki hidayat wali batoo ko sun kar Hazrat Yonus(a.s) per imaan laai or azaab se bachne k liye ALLAH TALA se istigfaar ki jis k sabab ALLAH TALA ne in se azaab ko taal diya. (Ref : tareek ul islaam , baab # 34 , chapter # nozool e aazaab ki derkuaast , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: islam ka sab ca pahla dai kon tha
Answer: haris bin abi haala islaam ke pehle shaheed hain.(Ref : serat ul al-Nabi , shibli numaani , jild # 1 , pg # 121 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Musalmano Ka Qibla KAABA SHARIF Se Pahle kya Tha?
Answer: Musalmanon ka qibla pehlay Baitul Muqadas tha phir hijrat k doosray saal musalmanon ka qibla Baitul Muqadas k bajae Khana Kaba ho gya. (Ref : Seerat e Masoomeen a.s. pg # 68)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Imam Muhammad taqi k kitne bete the.
Answer: Imam Muhammad Taqi a.s. k 2 betay hain, 1.Imam Ali Naqi a.s. 2.Abu Ahmed bin Musa. Ref: Seerat e Masomeen a.s. pg 224 jild # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: khilafat lana musalmano pe farz hai k nahi , agr hai tu is baray me ayat ya hadees bayan karin ????????
Answer: Khilafat ka muayan karna na hi musalmaano ka farz hai or na hi in ko ya haq haasil hai, balke khalifa ka muayyan karna ALLAH TAALA or Rasool ALLAH or khalifa e sabiq per per lazim hai.(Ref : aaqaaid e imaaua maktab e tashayoo , Allama Muhammad Raza Muzaffar , baab # 14 , pg #96 to 97 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Asalam o Alaikum.... Mje pochna tha Hazrat Khadija (R.A) ne Hamien kin kin Eham Nikaat par tawaja di hai?
Answer: wssalam o alykum, janab e kadija(a.s) ki serat se hm ko taleem milti hai ke ager dunya ki saholatoo ke aagee aakrat ki nematain aain to hm ko aakrat ko tarjeeh deni chaahiye.(Ref : 14 sitare , baab # 1 , pg # 51 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)