Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Tareekh Islam / Islamic History ( 108 Questions)


Id: 15173
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bibi zainab ki Shahadat kese hui

Answer: Hazrat bibi Zainab(s.a) apne shohar (Abdullah bin jafar tayyaar ) ke hamrah shafar e shaam ke doran wafaat paayei aur wahin dafan huein. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D8%B2%DB%8C%D9%86%D8%A8_%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D8%A7 ). [Updated on 11-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Ibrahim kis nabi ki umat say thay

Answer: Jo sisilaye nasab kitab Injeel men likha howa hai us hisab se Hazrat Nooh(a.s) ki nasl se the lehaza Hazrat Nooh(a.s) ki ummat men se thay. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A7%D8%A8%D8%B1%D8%A7%DB%81%DB%8C%D9%85_(%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85)#%D9%86%D8%B3%D8%A8_%D9%86%D8%A7%D9%85%DB%81 ). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15261
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maina puchna tha ka meri walida ka inteqal 16 dhul hijjah ko hua tha to kya yeh achi mout ki alamat hai aur kidney ki bemari ki wajha se to kya kidney ki bemari pait ki bemari main shamil hoti hai?

Answer: zilhajja ka mahena saal ke aham or bafazilat maheno me se aik hay laikin is mahe ki 16 tareekh ko marne wale ke bare me koi tazkera nahe aya hay albatta imam jafar sadiq ka irshaad hay ke (waqt) zawaal jumeraat se zawaal juma ke darmiyaan jis shaks ko mout waqe ho wo feshaare qabar se mehfooz rahe ga.(ref: mafatihuljinaan ,urdu, pg no:92,jumeraat or juma ke fazaaior aamaall) or kidney ki bemari pait ki bemari main shamil hoti hai ya nahe is silsele me aap docter ki taraf ruju kare. [Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15330
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Hazrat Muhammad SAWW ki wafat ki waja yahudi orat ka dia hua goaht tha?

Answer: waaliqumussalaam, Hazrat Muhammad SAWW ki wafat ki waja yahudi orat ka dia hua goaht tha is silsilay mai do riwayatein milti hai. 1. Jang e Kheybar mai yahoodi aurat ne zeher dia tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard Rasool Allah(SAWW) ko har saal uthta tha. 2. Doosri riwayat ye hai k jab Rasool e Khuda(SAWW) aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zeher diya gaya tha.(Ref: 14 Sitaray, Allama Najm ul Hasan Qararvi, pg #88). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam mehdi ka zahoor khn hoga

Answer: Makkah Muazzama (Ref : 14 Sitaray , pg # 590 , 591 ). [Updated on 16-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15480
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Taif ka star aap saw ne kb kiya

Answer: Aap (s.a.w.w) ne besat ke daswen saal taaif ka safar kiya jo Safar e Taaif kehtata hai. isi safar se wapsi par jinnon ki aik jamaat ne islaam qubool kiya. Safar e Taaif Aap (s.a.w.w) ki hayat tayyiba ka aham waaqia hi nahin balke aik inqilaabi morh bhi hai. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%81%D8%B1_%D8%B7%D8%A7%D8%A6%D9%81#:~:text=%D8%A2%D9%BE%20%D8%B5%D9%84%DB%8C%20%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81%20%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%20%D9%88,%D8%AC%D9%88%20%D8%B3%D9%81%D8%B1%20%D8%B7%D8%A7%D8%A6%D9%81%20%DA%A9%DB%81%D9%84%D8%A7%D8%AA%D8%A7%20%DB%81%DB%92%DB%94&text=%D8%A7%D8%B3%DB%8C%20%D8%B3%D9%81%D8%B1%20%D8%B3%DB%92%20%D9%88%D8%A7%D9%BE%D8%B3%DB%8C%20%D9%BE%D8%B1,%D8%A7%DB%8C%DA%A9%20%D8%A7%D9%86%D9%82%D9%84%D8%A7%D8%A8%DB%8C%20%D9%85%D9%88%DA%91%20%D8%A8%DA%BE%DB%8C%20%DB%81%DB%92%DB%94 ). [Updated on 15-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wahi nazil hone ke baad App saw ne Hazrat khatiza se kay khaa

Answer: Hazrat Rasool e Akram(s.a.w.w) gaar se baahir tashreef laaye aur Hazrat Khadija(s.a) ke ghar ki janib rawana ho gaye. Jab ghar men daakhil hue to Aap(s.a.w.w) ke chehre mubark ke Noor ne Hazrat Khadija kubra(s.a) ke ghar ko munawwar kar diya aur Hazrat Khadija(s.a) ne sawal kiya: aye Muhammad(s.a.w.w) aap ke chehre par men ye kaisa Noor dekh rahi hon ? Aan Hazrat(s.a.w.w) ne farmaya ye meri Risaalat ka Noor hai, Is ke baad Aap(s.a.w.w) farmaya ke Kaho " la ilaha ilallahu muhmmd-ur-rasoolullahi ". Hazrat Khadija(s.a) ne kaha men to kaei saalon se Aap(s.a.w.w) ko Paighambar manti hon aur ab gawaahi deti hon ke khuda e wahid ke siwa koi khuda nahin hai aur Aap(s.a.w.w) khuda ke Rasool aur Paighambar hain. Is tarah Hazrat Khadija(s.a) aurton men sab se pehle Paighambar e Akram(s.a.w.w) par eimaan laain. Isi tarah mardon men sab se pehle jab Hazrat Ali(a.s) ne Aan Hazrat(s.a.w.w) ka Noorani chehra dekha to eimaan le aaye aur zabaan par shahadatain jaari kiya. Is ke baad Aan Hazrat(s.a.w.w) ghar men manaz parhte the aur Hazrat Khadija kubra(s.a) aur Hazrat Ali(a.s) un ke peeche iqtida karte the. in teen shakhsiyaton ne apni jaan o maal o hesiyat se Islaam ki parwarish aur Aalamgeer banaya. (Ref: https://www.erfan.ir/urdu/81253.html . + https://www.erfan.ir/urdu/20793.html ). [Updated on 30-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alaikum mera question yh hai k agr insaan ki jaan farishta nikalta hai to kya janwar ki jaan bhi farishta hi nikalata hai

Answer: Duniya ki tamam zinda maujudaat ( insan, charid, parind, keerhe, makorhe ) ki rooh farishta hi qabz karta hai. Hazrat izrail(a.s) bazat e khud ambiya or auliya e ilahi ki rooh qabz karta hai, lekin baaqi tamam maujudaat ki jaan is ke numainde lete hain. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%D8%B2%D8%B1%D8%A7%D8%A6%DB%8C%D9%84 ). [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15664
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat muhamad (PBUH)ki wafat k baad Hazrat jibrail (AS)zameen pr kitni dafa aye ge?

Answer: Hazrat Muhamad Mustafa(s.a.w.w) ki wafat ke baad deegar masomeen(a.s) ke zamane me bhi jibrail(a.s) aate rahe hen lekin wahi ke bager Q ke wahi ka silsila Hazrat Muhamad Mustafa(s.a.w.w) ki wafat ke waqt se hi khatam ho gaya tha or riwayat me to yahan tak milta hai ke shab e qadr ki raaton me deegar farishton ke sath har saal jibrail(a.s) bhi aate hain, lihaza ye kehna mushkil hai ke Hazrat Muhamad Mustafa(s.a.w.w) ki wafat ke baad hazrat jibrail(a.s) kitni martaba zameen pe aye. (Ref: https://makarem.ir/compilation/reader.aspx?pid=62029&lid=0&mid=60593). [Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mohammad s.a.w.s ke chacha ka nam jo aakhir me iman laye

Answer: Hazrat Rarool e khuda (s.a.w.w) ke aisa koi chacha nahin tha jo aakhir me eimaan laya ho. (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #41). [Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!