Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Tareekh Islam / Islamic History ( 108 Questions)


Id: 15052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat imam Hussain r.a ki shahadat hafty k kis din ko hoi.?

Answer: 10 Muharram-ul-Haram 61 hijri Jumme(جمعہ) ke din. (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #244). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya imam mahdi a.s imam ali a.s se afzal hai ?

Answer: Jee nahin, Balkeh Imam Ali(a.s) Rasool e Akram(s.a.w.w) ke baad tamaam Ambiya(a.s) aur tamaam Aima(a.s) se Afzal hain, is ke suboot ke taur par agar aap kitabon ki taraf ruju karen to aap ko buhut saari daleelen mil jayen gi, Albatta Rasool e Akram(s.a.w.w) ki do hadeesen pesh e khidmat hain. 1: Rasool e Akram(s.a.w.w) ne farmaya, Hassan(a.s) aur Hussain(a.s) jannat ke tamam " jawanon " ( yani jo bhi jannat men jaiga) ke sardar hain aur in ke walid (yani Imam Ali a.s ) in se Afzal hain. 2: Rasool e Akram(s.a.w.w) ne farmaya, Hassan(a.s) aur Hussain(a.s) mere aur apne pidar e buzugwar ke baad Zameen par sab se Afzal hain aur in ki maan duniya ki tamaam Auraton men sab se Behtar hain. Agar gaur kiya jaye to in do hadeeson se ye baat sabit hoti ke Imam Ali(a.s) Imam e Hassan o Hussain(a.s) ki aulad ( yani baaqi Aima a.s is men Imam e Zamana a.s bhi shamil hain) se bhi afzal hain. (Ref: Bihar-ul Anwar, Allama Muhammad Baqir Majlisi, jild #43, pg #262,316). [Updated on 16-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia torat book sirf hazrat mussa paighamber par nazil hua

Answer: Jee han.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85_%D9%85%DB%8C%DA%BA_%D8%AA%D9%88%D8%B1%D8%A7%D8%AA ). [Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mujhe es bat ki dalil Kahan se Mily gi k Rasool ny hazrat Fatima sa se farmaya k 1 qoum ehsi hogi Jo Hussain par royee gi??plzz es ka jawab dy dain mujhee kaheen se nhi mila

Answer: ref: arabi book bihaarulanwaar ,allama baqir majlesi ,jild no:44,pg: 293) ye link hay shiaonlinelibrary.com [Updated on 19-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: مقتلِ مکّرم کی کتاب مے لکھا گیا ہے کہ شہزادہ علی اکبر علیہ سلام امام سجّاد علیہ سلام سے مت مے بڑے تھے۔ دوسری بات یہ کہ اس کتاب میں جناب علی اکبر علیہ سلام کی شادی کا بھی لکھا ہے اور عمر مبارک ۲۸ لکھی ہے۔۔۔پلیز رہنمائ فرماے بمع حوالہ

Answer: 1: Shahzadae Ali Akbar(a.s) , Imam Sajjad(a.s) se umr mubarak men tahqeeqi qaul ke mutabiq bare the. 2: Shahzadae Ali Akbar(a.s) mutahel(shadi shuda) they. 3: Shahzadae Ali Akbar(a.s) ki umr mubarak kam se kam 25 saal aur ziyada se ziyada 28 saal thi aur Imam Sajjad(a.s) ki umr mubarak waqea e karbala waqt kul taees(23) saal thi to is hisab se Shahzadae Ali Akbar(a.s) Imam Sajjad(a.s) se umr men bare huey. (Ref: Saadat-u-daarain fi maqtal e Hussain, Allama sheikh Muhammad Hussain najafi, pg #417 to 423). (Note: In teeno jawabon ki tafseel or dalaail ke liye aap Allama sheikh Muhammad Hussain najafi ki kitab Saadat-u-daarain fi maqtal e Hussain ke taraf ruju karen. Kitab ki PDF ke liye diye gaye is link [ https://archive.org/details/sadaat-ud-drain/page/n423/mode/2up ] ko visit karen). [Updated on 06-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam Hussain asws or un k ashab ki Karbala main mukamal guftgu or kon kon sa sahabi kis trha mola pak k laashkar main shamil hua kis book say milay gi

Answer: Is silsile men aap Allama sheikh Muhammad Hussain najafi, ki kitab Saaada-tu-darain fi maqtal e Hussain(a.s) ka mutaliea karen aap ki rehnumaei ho jaye gi. [Updated on 06-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: امام زمان کی ولادت کو مخفی کیوں رکھا گیا

Answer: Jab Imam zamana(a.s) ki wiladat hoi to un ke walid(Imam Hassam Askari{a.}) ne unhen makhfi kar diya aur us zamane ke sakhat halaat aur khulafa ke khauf ki wajah se unhen chhupa diya Q ke us zamane men wo hashmiyon ka taaqub kar rahe the aur un par nazar rakhte the, ya unhen qatal ka dete the ya zindan men daal dete the. (Ref: https://ur.wikifeqh.ir/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%B2%D9%85%D8%A7%D9%86%DB%81%D8%91_%DA%A9%DB%8C_%D9%88%D9%84%D8%A7%D8%AF%D8%AA ). (Note: mazeed tafseel maloom karne ke liye mandarja bala Link par click karen). [Updated on 31-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazratmohammad ne Kitne ghazvat me shirkat farmai

Answer: Rasool e khuda(s.a.w.w) ne mushriqeen e quraish aur yahoodiyon ke sath buhut se laraaiyan lareen, jin men se ahamm mauqon par Rasool e khuda(s.a.w.w) khud fauj e islam ke sath tashreef le gaye, aur aise ahamm mauqon ko " Ghazwah " kehte hain, aur jin mauqon par Aap(s.a.w.w) apne ashaab men se kisi ko fauj ka sardar bana kar bhej diya karte thay use " Sariyah " kaha jata hai. Ghazwat ki majmuei tadad " Chhabees(26) " hai jin men badr, uhad, khandaq, khaibar or hunain buhat mashhoor hain. aur " Sariyon ki majmuei tadad " Chhatees(36) " hai jin men sab se mashhoor sariyah "Mautah" hai, jin men Hazrat e Jaffar e Tayyar shaheed hue. (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #65). [Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Maidan e karbala mein kya 72 shohda mein sy har aik ny alag alag ja kr jung lari thi? agar esa tha to jung itni jaldi kesy khtm hui? 72 shaheed har aik ka maidan mein ja kr larna or Mola ka unky lashy utha kr lana plz explain kar den

Answer: Sab se pehli baat to ye ke Karbala k maidan main yazeedi fouj ki janib se pehla hamla teeron ki barish ki soorat main howa tha, jis k natije main 50 k qareeb Ashab e Hussaini shaheed ho gae the, to baqi chand Ashab e Hussaini bache the, Doosri baat ye ke baqi jo Ashab e Hussaini the wo jab lar rahe the to wo alag alag nahin lare the balke aik jagh aik sahabi lar rahe the to doosri jagh koi aur sahabi, isi tarh kisi aur jagh pe koi aur sahabi lar rahe the, lehaza ye baeed nahin shuhda e Karbla itne kam waqt men sare ke sare shaheed ho gaye. (Ref: Sa,aadatud daarain fi maqtal e Hussain(a.s), Allama sheikh Muhammad Hussain najafi, pg #335-6) [Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15162
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Muhammad na tablig ka agaz kis trha Kiya????

Answer: Aap ke is sawal ke hawale se hum aap ko aik link provide kar hain aap se guzarish hai ke aap is link ko visit karen. Aap ko in men poori maloomat mil jayegi ke kis tarah Hazarat Muhammad(s.a.w.w) ne Aagaz e Tableeg kiya. (Ref: https://www.erfan.ir/urdu/22993.html ). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!