Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Tareekh Islam / Islamic History ( 108 Questions)

Id: 15734
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: IMAM BAQIR as ki aulad kon sa Syed hain

Answer: Imam Zain-ul-Abideen(a.s) ki aulad Abdi or Zaidi kehlati hai. Abdi sadaat Imam Zain-ul-Abideen(a.s) ke baitay Imam Baqir(a.s) ki aulad ko kaha jata hai. or Zaidi sadaat Imam Zain-ul-Abideen(a.s) ke baitay Hazrat Zaiad e shaheed ki aulad ko kaha jata hai. (Ref: https://www.erfan.ir/urdu/53153.html ). [Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15817
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imam muhammad baqir ne labak q nhi kaha mola hussain ki sada par??

Answer: Yeh khaliq ki mansha ki aik takmeel thi ke Imam Muhammad Baqir(a.s) maidan e qurbani me nahin laye gaye warna jab in se chhote sin ka bacha janab e Ali Asghar(a.s) teer e sitam ka nishana ho sakta tha to Imam Muhammad Baqir(a.s) ka bhi qurban gaah par laana mumkin tha. magar silsila e imamat ka duniya me qaaim rehna nizaam e kaainaat ke barqarar rehne ke liye zaroori aur aham tha aur Imam Muhammad Baqir(a.s) karbala ke maidaan aur koofa o shaam ke baazaron me Aal e Rasool(s.a.w.w) par hone wale mazalim ke gawah aur aini shahid banne aur inqilab e karbala ki qurbaniyon ko raaigan hone se bachane ke liye apna kirdaar ada kiya. (Ref: https://alkafeel.net/news/index?id=3993&lang=ur ). [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imam muhammad baqir ne labak q nhi kaha mola hussain ki sada par??

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15819
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazart Mohammed s.a.w ki ek bati hai kon si books se sabat hota hai plz tell me

Answer: حضرت فاطمۃ الزہراؑ کا اکلوتی بیٹی ہونا۔ مناقب ابن شہر آشوب میں ہے کہ جنابِ خدیجہؑ کے ساتھ جب آنحضرت کی شادی ہوئی تو آپ باکرہ تھیں۔ یہ تسلیم شدہ امر ہے کہ قاسم عبد اللہ یعنی طیب و طاہر اور فاطمہ زہرا بطنِ خدیجہؑ سے رسولِ اسلام کی اولادیں تھیں۔ اس میں اختلاف ہے کہ زینب، رقیہ امِ کلثوم آنحضرت کی لڑکیاں تھیں، یا نہیں یہ مسلم ہے کہ یہ لڑکیاں ظہورِ اسلام سے قبل کافروں عتبہ، عتیبہ، پسران ابو لہب اور ابو العاص ابنِ ربیع کے ساتھ بیاہی تھیں۔ جیسا کہ مواہب لدنیہ ج۱ صفحہ ۱۹۷ طبع مصر و مروج الذہب مسعودی ج۲ صفحہ ۲۹۸ طبع مصر سے واضح ہے۔ یہ مانا نہیں جا سکتا کہ رسول اسلام اپنی لڑکیوں کو کافروں کے ساتھ بیاہ دیتے۔ لہٰذا یہ مانے بغیر چارہ نہیں کہ یہ عورتیں ہالہ بنت خویلہ ہمشیرہ جناب خدیجہؑ کی بیٹیاں تھیں۔ ان کے باپ کا نام ابو لہند تھا جیسا کہ علامہ معتمد بدخشانی نے مرجاء الانس میں لکھا ہے۔“ یہ واقعہ ہے کہ یہ لڑکیاں زمانہ کفر میں ہالہ اور ابوالہند میں باہمی چپقش کی وجہ سے جنابِ خدیجہؑکے زیرِ کفالت اور تحت تربیت رہیں اور ہالہ کے مرنے کے بعد مطلقاً انھیں کے ساتھ ہو گئیں اور خدیجہؑ کی بیٹیاں کہلائیں۔ اس کے بعد بذریعہ جنابِ خدیجہؑ آنحضرت سے منسلک ہو کر اسی طرح رسول (صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم ) کی بیٹیاں کہلائیں۔ جس طرح جنابِ زید محاورہ عرب کے مطابق رسول کے بیٹے کہلاتے تھے۔ میرے نزدیک ان عورتوں کے شوہر مطابق دستورِ عرب و امادِ رسول کہے جانے کا حق رکھتے ہیں۔ یہ کسی طرح نہیں مانا جا سکتا کہ یہ رسول کی صلبی بیٹیاں تھیں۔ کیونکہ حضور سرورِ عالم کا نکاح جب بی بی خدیجہ (سلام اللہ علیھا ) سے ہوا تھا، تو آپ کے اعلانِ نبوت سے پہلے ان لڑکیوں کا نکاح مشرکوں سے ہو چکا تھا اور حضور سرورِ کائنات کا نکاح ۲۵سال کے سن میں خدیجہ (سلام اللہ علیھا ) سے ہوا۔ اور تیس سال کے سن تک کوئی اولاد نہیں ہوئی اور چالیس سال کے سن میں آپ نے اعلانِ نبوت فرمایا۔ اور ان لڑکیوں کا نکاح مشرکوں سے چالیس سال کی عمر سے پہلے ہو چکا تھا، اور اس دس سال کے عرصہ میں آپ کے فرزند کا بھی پیدا ہونا اور ان تین لڑکیوں کا پیدا ہونا تحریر کیا گیا ہے۔ جیسا کہ مدارج النبوةمیں بتفصیل موجود ہے۔ بھلا غور تو کیجئے کہ دس سال کی عمر میں چار پانچ اولادیں بھی پیدا ہو گئیں اور اتنی عمر بھی ہو گئی کہ نکاح مشرکوں سے ہو گیا۔ کیا یہ عقل و فہم میں آنے والی بات ہے کہ چار سال کی لڑکیوں کا نکاح مشرکوں سے ہو گیا اور حضرت عثمان سے بھی بڑی ایک لڑکی کا نکاح حالتِ شرک ہی میں ہو گیا۔ جیسا کہ مدارج النبوة میں مذکور ہے۔ اس حقیقت پر غور کرنے سے معلوم ہوتا ہے کہ یہ لڑکیاں حضور (صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم ) کی نہ تھیں۔ بلکہ ہالہ کی تھیں اور اس عمر میں تھیں کہ ان کا نکاح مشرکوں سے ہو گیا تھا۔ (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #91,92). [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15820
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazart Mohammed s.a.w ki ek bati hai kon si books se sabat hota hai plz tell me

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15821

Id: 15896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Muhammad saw k janazay mn kitny afraad thy sahih muslim s rawayat!

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Ali ibn e abi taalib(a.s) , bani hashim aur ashaab o ansaar me 6 deegar log, Rasool Akram(s.a.w.w) ke janazay ke tajheez o tadfeen ke umoor mein mashgool thay. (Ref: 14 Sitaray, Allama Najm ul Hasan Qararvi, pg #87. Link: https://www.valiasr-aj.com/urdu/shownews.php?idnews=432 ). [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum janab ap batae k hamre nabi SWW ne kayi shadiya q ki....?

Answer: Paighambar akram(s.a.w.w) ka mukhtalif aur mutadid biwion se Aqab karna bohat si ijtimaei aur siyasi mushkilaat ka hal tha. Q ke hum jantay hain ke jis waqt Paighambar akram(s.a.w.w) ne elaan e risalat kiya aur khuda ki wahdaniyat ki taraf dawat di to is waqt aap tan o tanha thay, aur aik toolani muddat tak chand logon ke alawa koi imaan nahin laya tha, Anhazrat(s.a.w.w) ne apne zamane ke tamam khurafati aqaed ke khilaaf qayam kiya tha, aur sabhi ke liye elaan jung kar rakha tha, jis ki wajah se tamam aqwam aur qabaail Aap(s.a.w.w) se muqaable ke liye tayar thay. lehaza Anhazrat(s.a.w.w) ne un ke napak ittehaad ko khatam karne ke liye har mumkin rasta ikhtiyar kiya, mukhtalif qabail mein shadi ke zariye rishta daari qaim karna un mein se aik rasta tha, Q ke us waqt ke jaahil arab ke nazdeek sab se mustahkam rabita yahi rishta daari thi, aur qabeela ke damaad ko apna mantay thay, is ka difaa karte thay, neez is ko tanha chhorh dena gunah samajte thay. Bohat se qarain is baat ki nishandahi karte hain ke Paighambar akram(s.a.w.w) ki shadian bohat se mawarid mein siyasi pehlu rakhti theen. un mein se baaz shadi (jaisay zainab se shadi) karna zamana e jaheliyat ki ghalat rasam o rivaaj ko khatam karne ke liye thi, jis ki tafseel surah ahzaab, aayat #37 mein bayan hui hai. un mein se baaz shadi karne ki wajah yeh thi ke kuch logon ya chand mutasib(متعصب ) aur hatt dharam qabeelon ke dilon se dushmani aur adawat ko door kar kay un ke dilon mein mohabbat ka jaam bhar den. Q kw yeh baat wazeh hai ke jis ne apni jawani aur pooray shabab (25 saal ki umr) mein aik bewa se shadi ki ho aur 53 saal ki umr tak isi aik bewa aurat ke sath zindagi guzaari ho, aur is tarah is ne apni zindagi ke din guzaar diye hon aur peeri ka aalam agaya ho, to agar is mauqay par mukhtalif qabail ki aurton se aqd karen to phir is ka koi nah koi falsafah zaroor hai, aur jinsi rujhan se is ka koi talluq nahin hai, Q ke is jaheliyat ke zamane mein chand shadian kar lena aik aam baat thi yahan tak ke kabhi kabhi pehli biwi apne shohar ke liye doosri biwi ka rishta le kar jaya karti thi aur shadion ki tadaad mein kisi tarah ki koi had muayin nahin thi, Paighambar akram(s.a.w.w) ke liye jawani ke aalam mein mutadid shadian karne mein nah to muaashre ke lehaaz se koi mumanat thi aur nah maali aitbaar se koi mushkil thi, aur nah hi is ko kisi tarah ka koi aib samjha jata. taajjub ki baat to yeh hai ke tareekh ne bayan kiya hai ke Paighambar akram(s.a.w.w) ne sirf aik bakira(باکرہ) aurat se nikah kiya hai aur woh Ayesha thi (bare sageer ke ulama is se mutfiq nahin hain, balke un ki tehqeeq ye hai ke janab Khadija(s.a) bakira(باکرہ) thien, aur Aap(s.a.w.w) se pehlay unhon ne kisi dosray shakhs se shadi nahin ki thi), is ke alawa Aap(s.a.w.w) ki tamam biwiyan bewa thien jo fitri taur par jinsi tehreek ke liye koi khaas raghbat nahin rakhtien. Yahan tak ke baaz tawareekh mein bayan hua hai ke Paighambar akram(s.a.w.w) ne mutadid aqdkiye, aur sirf aqd khawani ki rasam ada ki, aur un ke sath hambistri tak nah huei, balke baaz qabaail ki aurton se sirf rishte ki had tak qanaat ki. Aur woh log isi par fakhr o mubahaat kiya karte thay ke un ke qabeele ki aurat Paighambar akram(s.a.w.w) se mansoob ho gayei hai, aur yeh iftikhaar un ko mil gaya hai, jis ki bana par ijtimaei taur par Paighambar akram(s.a.w.w) se rabita mustahkam tar ho jata tha aur Anhazrat(s.a.w.w) ke difaa ke liye musammam ho jaya karte thay. Is ke alawa yeh baat bhi musallam hai ke Paighambar akram(s.a.w.w) (khuda na khasta) aqeem(عقیم) nahin thay lekin tareekh ne bohat hi kam Aap(s.a.w.w) ki aulaad bataei hai, jabke agar yeh tamam shadian aur aqd, jinsi shehwat ke liye hotien to la mahalah(لامحالہ) Aap(s.a.w.w) ki aulaad ki tadaad bhi ziyada hoti. yeh baat bhi qaabil tawajjuh hai ke Anhazrat(s.a.w.w) ki baaz biwiyan jaise aeysha kam sin ke aalam mein Aap(s.a.w.w) ki zaujiyat mein aayi hain aur chand saal ke baad waqaei taur par aik zauja qaraar paayi hain, jo is baat ka wazeh saboot hai ke Paighambar akram(s.a.w.w) ka is tarah ki larki se aqd karne ka maqsad jinsi shehwat nahin tha balke hadaf aur maqsad is se wohi maqsad tha jo upar bayan kiya gaya hai. Agarche islam ke dushmanon ne Paighambar akram(s.a.w.w) ki mutadid biwiyon ko bahana bana kar Aap(s.a.w.w) ki shakhsiyat ko tanqeed ka nishana banaya hai aur nah jaane kaisay kaisay jhootay afsaanay garh daaley hain, lekin un shadion ke waqt Anhazrat(s.a.w.w) ki umr ka ziyada hona aur mukhtalif qabaail ki aurton ka bewa ya zaeef al-umr hona aik taraf, aur un biwiyon ke qabaaili sharait doosri taraf, neez mazkoorah qaraain ke paish e nazar haqeeqat bilkul wazeh ho jaati hai, aur dushmanon ka raaz faash ho jata hai. (Ref: Bihar ul anwaar, jild #22, page #191,192. + Tafseer e namoona, jild #17, page #381. + https://makarem.ir/compilation/reader.aspx?mid=60066&catid=6478 ). [Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15994

Id: 16223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alokum Mera Swal yeh h k Ap Muhammad s.a.w.w ki kitni bivia thi or kitni oulad thi or kitny bchy thay name k sath btaa dain taa k mery ilam m izafa ho Shukria,

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!