Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Tareekh Islam / Islamic History ( 108 Questions)


Id: 16915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Alaykum Mera Sawal Ye Hai Ki 4 Shaban Ko Safre Imam Husain A.s madine se khuch riwayat Milti Hai Inki Kya Haiqat Hai Aur Kya Koi moassaq Hadees Ya Riwayat Maujood Hai Ki Imam Ne 4 Shaban Ko karbala ke liye safar jari kiya

Answer: Janab e Imam e Hussain(a.s) ki madinay se rawangi ki tareekh me qadre ikhtilaaf hai. Hazrat syed ibn e taauos(r.h) aur saahib e muntakhab wagera aur baaz hazraat ne 3 shabaan 60 hijri bayan ki hai lekin jamhoor o muhaqqiqeen ke nazdeek Aap(a.s) shab e yakshanbeh(itwaar) 28 rajab 60 hijri ko hijrat farmayei. (Ref: Saadatud daarain fi maqtal e Hussain(a.s), Allama shaikh Muhammad Hussain najafi, pg #193). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کس نبی نے ایک رات میں سو شادیاں کیں

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Ahl e tashayyu ke yahan aisi koi hadees, riwayat aur waqiya nahin paaya jata ke jis me kisi nabi ne aik hi raat me 100 shaadiyan ki hon, albatta ahle sunnat wagera Hazrat Sulaimaan nabi (a.s) ki taraf aisi nisbat dete kehte hain. lekin wo bhi ye nahin kehte aik hi raat me 70 ya 100 shaadiyan ki, balke wo ye kehte hain ke Hazrat Sulaimaan nabi (a.s) aik raat me 70 ya 100 aurton ke paas gaye. (Ref: link; http://noo.rs/tvJYv ). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wo konsy nabi thy jinhoo ne ek hi rat me 100 shadia ki thi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Ahl e tashayyu ke yahan aisi koi hadees, riwayat aur waqiya nahin paaya jata ke jis me kisi nabi ne aik hi raat me 100 shaadiyan ki hon, albatta ahle sunnat wagera Hazrat Sulaimaan nabi (a.s) ki taraf aisi nisbat dete kehte hain. lekin wo bhi ye nahin kehte aik hi raat me 70 ya 100 shaadiyan ki, balke wo ye kehte hain ke Hazrat Sulaimaan nabi (a.s) aik raat me 70 ya 100 aurton ke paas gaye. (Ref: link; http://noo.rs/tvJYv ). [Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Do Ramadan k din kia howa tha

Answer: 2 Ramazan ko Hazrat musa(a.s) ko tauraat ataa kya gaya tha. (Ref: link; https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B1%D9%85%D8%B6%D8%A7%D9%86_(%D9%82%D9%85%D8%B1%DB%8C_%D9%85%DB%81%DB%8C%D9%86%D8%A7) ). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17129
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: امام زمانہ کے ظہور کے بعد تمام لوگوں کو آس خزانہ سے مال دیں گے جو کعبہ سے برآمد ہوگا بتائے اس مقام خزانہ کو کیا کہتے ہیں

Answer: Us maqam ko ”Ritaaj-ul-kaaba (رِتاجُ الْکَعْبَہ)“ kehte hain. (Ref: https://rekhtadictionary.com/meaning-of-ritaaj-ul-kaaba?lang=ur&keyword=%E0%A4%95%E0%A4%BE%E0%A4%AC%E0%A4%BE ). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17144
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam mehdi a.s ki imamat ka aagaaz kab hua .. Date with hijri bataye ????

Answer: Imam Hassan Askri(a.s) 8 Rabiul awwal ko shaheed hue to 9 Rabiul awwal ki raat Imam Zamana(a.j) ki imamat o wilayat ka aaghaz hua. (Ref: https://valiasr-aj.com/urdu/shownews.php?idnews=1157 ). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17234
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam e zamana ki wiladat k waqt kon Hakim tha

Answer: Imam e zamana(a.s) ki wiladat ke saal ke baray mein ikhtilaaf hai. kuch mutaqaddim maakhz ne aap ki tareekh wiladat ki taraf ishara nahin kya hai aur is ko khufia qarar diya hai. lekin buhat si shia aur kuch sunni riwayaat mein hai ke Imam e zamana(a.s) 255 ya 256 hijri mein mutawallad hue hain. Note: 255 hijri ke mutabiq, duniyawi lihaaz se badshah e waqt mehdi billah tha jabke 256 hijri ke mutabiq, badshah e waqt muatamid alallah tha. (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #557). [Updated on 21-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: رسول خدا نے بی بی خدیجہ کے ساتھ کتنے سال گزارے

Answer: Paighambar Akram(s.a.w.w) ke sath shadi ke waqt Hazrat Khadija(s.a) ki umer se mutaliq sahi maloomat haasil karna dushwaar hai. is ke bawajood is baat ko mad e nazar rakhtay hue ke Paighambar Akram(s.a.w.w) aur Hazrat Khadija(s.a) ki mushtareka zindagi kul 25 saal (15 saal besat se pehle aur 10 saal besat ke baad) par muheet thi. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D8%AE%D8%AF%DB%8C%D8%AC%DB%81_%DA%A9%D8%A8%D8%B1%DB%8C_%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D8%A7 ) [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17542
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imame zamana ki dadi kahan dafn hain?

Answer: Imam-e-Zamana(a.j.t.f) ki dadi, rozay imamain askariyain (روضہ امامین عسکریین سامرا میں), Samarra, iraq mein madfoon hain. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B3%D9%86 ). [Updated on 19-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1:fateh e quds k moqe par hazrta muhammad s.a.w.w hayaat thay? 2: Hazrat ali a.s k beton k tamam naam? 3: Dare zehra s.a kis ne jalaya aur dour e khilafat kiska tha

Answer: 1. Yh waqia Hakim e sham Muawiyah k dour ka hai 2. Tarikh ne jin baito ka tazkira kia hai unme se chand k naam yh hai; Hazrat Imam Hasan a.s, Hazrat Imam Hussain a.s, Hazrat Mohsin a.s (Wiladat se pehle hi shaheed hue), Hazrat Abbas a.s, Hazrat Jaffer, Hazrat Abdullah, Hazrat Abu bakr bin Ali a.s, Hazrat Muhammad e Hanafia, Hazrat Amar bin Ali, Hazrat Muhammad Asghar, Hazrat Ubaidullah, Hazrat Usman bin Ali a.s, Hazrat Yahya. in me se chand naamo ki khud Imam a.s ne wajah bayan farmai hai.. 3. Rasool e Akram s.a ki shadat k 3 roz bad, dare Hazrat Zahra s.a ko Khalifa e Doum ne apne rafeeqo k sath mil k jalaya tha aur vo dour Khalifa e Awwal ka tha.. [Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!