Question: Vah kaun se sahabi hai jo aap Sallallahu Alaihi vasllam ko Jange khandak Mein Dawat di thi
Answer: Jabir bin abdullah ansaari. (Ref: https://lib.eshia.ir/44796/1/269 ). [Updated on 30-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Vah kaun se sahabi hai jo aap Sallallahu Alaihi vasllam ko Jange khandak Mein Dawat di thi
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Woh Kon c wahid khatoon hain jinka naam Quran me aaya hai
Answer: Quran me mukhtalif khawateen ka tazkira to aaya hai lekin faqat janab e maryam ke alawa kisi aurat ka naam nahin aaya. (Ref: https://erfan.ir/urdu/85406.html ). [Updated on 26-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam AlakiuM Jee ... Makkah Ka Purana Name yasrib tha yasrib sy phly kya tha
Answer: Yasrab makke ka nahin balke madine ka purana name tha, jabke makke ka purana name bakka(بکّہ) tha. (Ref: link, https://ur.wikipedia.org/wiki/%DB%8C%D8%AB%D8%B1%D8%A8 ). (Ref: link, https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A8%DA%A9%DB%81 ). [Updated on 26-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: حضرت علی علیہ السلام کی نانی کا نام کیا ہے
Answer: Imam Ali (a.s) ki naani ka naam Fatima bint e hiram bin rawaha hai. (Ref: link, https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%B6%D8%B1%D8%AA_%D9%81%D8%A7%D8%B7%D9%85%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%A7%D8%B3%D8%AF ). [Updated on 26-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Immam husain ki ouladon me se immam e zamana kon se number pe hain
Answer: Imam zamana(a.j.t.f), Imam hassan Askri(a.) ke bete hain, jabke Imam Hussain(a.s) ke pote, parh poton me se hain. (Ref: link; https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D9%85%DB%81%D8%AF%DB%8C_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis Nabi NY Hazarat Muhammad s.a.w ki aamad ki bisharat di thi?
Answer: Hazrat musa (a.s) aur Hazrat eisa (a.s). (Ref: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=60053&catid=6478&pid=62027 ) [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazoor Muhammad SAWW nabuat sy phly kis trha ibadat krty thy ya kisi nabi ki shaiyat pr amal krty thy?
Answer: Tahannus (تَحَنُّث), Islaam se pehle Hijaz ke awam ke darmiyan raaij aik sunnat ka naam hai jis ke tehat woh saal ke kuch dinon ko muashre se allag ho kar gosha nasheen ho jatay thay aur muraqebat e nafs ka ihtimaam karte thay. marwi hai ke abdul mutlib bin hashim, neez Rasool Allah (s.a.w.w) - besat(بعثت) se pehle - har saal ghaar e hira mein khalwat guzaini aur ibadat karte thay. Imam Ali (a.s) se manqola hadees ke mutabiq Rasool Allah (s.a.w.w) besat se pehle har saal ghaar e hira chalay jatay thay aur kuch arsa wahan qayam farmatay thay. Aap(s.a.w.w) quresh ki sunnat / riwayat ke mutabiq har saal Hira ke Mujawer ho jatay thay aur Tahannus (تَحَنُّث) farmaya karte thay aur jo ghurba aur mohtaaj afraad Aap(s.a.w.w) ki khidmat mein atay thay Aap(s.a.w.w) unhen khana khelate thay aur is ke baad kaaba musharraf hotay thay aur 7 martaba ya is se bhi ziyada is ke gird tawaf karte thay aur phir ghar tashreef farma ho jatay thay; Aap(s.a.w.w) ka yeh amal besat tak jari tha. Is silsile me mazeed maloomaat ke liye darj zel link ko visit karen. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%AA%D8%AD%D9%86%D8%AB ). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Hazrat khadija ki namaz e janaza hui
Answer: Ummul momeneen Hazrat Khadija ki wafaat ke waqt tak Deen Islam me namaz Janaza perhne ka hukum nahe Aya tha ,lehaza un ki namaz Janaza nahe hoe the . (Ref: http://arezuyeaab.blogfa.com/post/414 [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shahadat k wakt bibi sakina s.a ki age kitni thi? According to Ayatullah sistani sb and allama Muhammad hussain najfi sb?
Answer: Janab Sakina (s.a) ki wiladat apne dada Hazrat Ali (a.s) ki shahadat ke 7 saal baad 47 hijri mein huei, jabke is ki wafaat 117 hijri huei to is hisaab se wafaat ke waqt aap ki kul umr taqriban 70 saal ki thi. (Ref: Saadatud daarain fi maqtal e Hussain(a.s), Allama shaikh Muhammad Hussain najafi, pg #563,607. + https://alkafeel.net/news/index?id=4885&lang=ur ). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]