Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Tareekh Islam / Islamic History ( 108 Questions)


Id: 13252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is islamic date of Hijrat e Madina

Answer: hijrat madina ,peghambar islam hazrat muhammad (s.w.a) or in ke ashaab ki taraf se makka mukarrama se yasrab (jise is hijrat ke baad madina tunnabi (s.w.a) ka naam dia gaya) muntaqil hojaane ke amal ko kehete hay jo 12 rabiulawwal ,13 nabawi ( jo baad me phela hijre ka saal kelaaya) bamutabiq 24 sebtamber622.eeeswi barooz juma ko hoe ,baad me ise din ki nisbat se hijre taqweem (celander ) ka aaghaaz hoa musalmaano ne qamari (chaad ke ahtebaar se) hijre taqweem (celander ) or shamsi hijre taqweem (celander ) dono ka aaghaaz ise waqea ki buniyaad per kia . (ref:ur.m.wikipedia.org) [Updated on 03-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Phela sawal :Hmary kitny imamon ko zher diya gya.. Or dosra sawal:Mola Hussain(as) ny nok e naiza py kon c surah ki tilawat ki?

Answer: 1: Imam Ali(a.s), aur Imam Hussain(a.s), ko talkwar se shaheed kiya gaya tha, aur in ke elawa 9 Imamon ko zehar se shaheed kiya gaya tha. aur Imam-e-Zamana(a.s), Allah ke hukum se zinda hain aur hamari nazron se ooujal hain. (Ref: Allama Zeeshan Haider Jawwdi, Nuqoosh e Asmat ). & ("Mazeez maloomat ke liye is link par click karen" https://ur.wikishia.net/view/%D8%A2%D8%A6%D9%85%DB%81_%D9%85%D8%B9%D8%B5%D9%88%D9%85%DB%8C%D9%86_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D9%85_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85#.D8.AD.DB.8C.D8.A7.D8.AA_.D8.A7.D8.A6.D9.85.DB.81_.DA.A9.D8.A7_.D8.AA.D8.A7.D8.B1.DB.8C.D8.AE.DA.86.DB.81 ). 2: Imam Hussain(a.s) nay nok-e-nezay par Surah Kahaf ki tilawat ki thi. (Ref: https://www.valiasr-aj.com/urdu/mobile_shownews.php?idnews=366 ). [Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14645
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hazarat essa a.as ki shadi hui thy kia?

Answer: Assalamu alaikum, ji nahi hazrat eesa a.s ne shadi nahin ki thi. (Ref: nahjul balagha: 2/58) [Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14748
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamalaikum Mera question ye h ki, Maula ali(a.s) ki kitni biwiyan thi.un sab k name kya kya h.aur unke bachcho k name....

Answer: Hazrat Imam Ali(a.s) ki 9 Zaujaat thin, 1. Pehli Zauja Rasool Allah(s.a.w.w) ki beti Hazrat Fatima Zahra(s.a) thin. Hazrat Imam Ali(a.s) or Hazrat Fatima Zahra(s.a) ke 5 bachay hain, 1. Imam Hasan(a.s), 2. Imam Hussain(a.s) 3. Janab e Zainab(s.a), 4. Janab e Umme Kulsoom(s.a), 5. or Janab e Mosin jo wiladat ( yani is duniya me aane ) se pehly saaqit hoye. Deegar Azwaj e Imam Ali(a.s): Hazrat Imam Ali(a.s) ne Hazrat Fatima Zahra(s.a) k hayat men koi shadi nahin ki. in ki shahadat ke bad Aap(a.s) ne shadiyan keen jin men: 2. Amama bint e abi al aas bin rabbea, Amama ki walida Rasool Allah(s.a.w.w) ki ( mou boli )beti Janab e Zainab bint e Muhamad(s.a.w.w) thin. 3. Umm ul Baneen Fatima bint e Hazam bin darim e kulabiya, doosri khaton thin jo Hazrat Imam Ali(a.s) ke habala e nikah men aain aur Hazrat Abbas(a.s), Usman, Jaffar, aur abdullah Aap ke bete hain aur sab karbala men shaheed hoye. 4. Janab e Laila bint e masood bin khalid. 5. Asmaa bint e amees. 6. Umme habeeb bint e rabeea taglabiya (As Sahba ke naam se mashhoor hain). 7. Khola bint e jaffar bin qais hanafiya, Muhammad bin hanafiya bin Ali(a.s) in ke hi farzand hain. 8. Umme saeed bint e urwa bin masood saqafi. 9. Muhayyat bint e imra al qais bin adi kalabi. Aulad e Imam Ali(a.s): Hazrat Imam Ali(a.s) ki aulad ki tadad janabe mosin (jo shikam e madar men shaheed hoye) k hamrah 28 hain. Aur aulad tafseel ke liye hum aap ko aik link de rahe hain jis me tamam aulad ka tazkira maujood hai. (Ref: Link https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%B9%D9%84%DB%8C_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85#.D8.A7.D8.B2.D9.88.D8.A7.D8.AC_.D9.88_.D8.A7.D9.88.D9.84.D8.A7.D8.AF ). [Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14883
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya karbala mein umme laila maujood theen

Answer: Asal naam Laila binte abi murrah bin urwah bin masaoud al-saqafi (لَیلیٰ بنت أبی مُرَّة بن عُروَة بن مسعود الثَقَفی) hai, Baaz ulama ne in ka naam Umme laila zikr kiya hai isi wajah se baaz auqaat majalis e Imam Hussain(a.s) men Umme Laila ke naam se yaad kiya jata hai. Qadeemi makhaz ( source) men Umme Laila ke karbala men maujood hone ka koi tazkera nahin hai, lekin baad ke makhaz ( source) men karbala men in ke hazir hone ka zilkr milta hai, in manabe ke mutabiq Umme Laila apne baite ki shahadat ke waqt apne khaime men mashgool e dua theen aur unhon ne Jinab e Ali Akbar(a.s) ke jism ko tukron ki soorat men khud apni aankhon se dekha hai. Aik aur Laila binte masaoud. Hazrat Imam Ali(a.s) ki aik zauja Laila binte masaoud ke naam se theen jo Abo bakr bin Ali(a.s) ki walida theen aur wo shuhadaye karbala men se aik hain. isi Laila binte masaoud ko kabhi ishtibah ki bina par janab e Ali(a.s) ki walida kaha gaya hai. (Ref: https://www.erfan.ir/urdu/34224.html , https://ur.wikishia.net/view/%D9%84%DB%8C%D9%84%DB%8C_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%A7%D8%A8%DB%8C_%D9%85%D8%B1%DB%83 ). [Updated on 16-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14924
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam e zamana ka 313 sipahiyo me ladies hogi to Kitni hogi

Answer: Imam e Zamana (a.t.f) ke Ashaab ki taadad 313 hai jo paighambar e Islam(s.a.w.w) ki us taadad ke barabar hai jo jang e badr men thi, Quran e Majeed ki kafi Aayaat men in ashaab e Imam e Zamana(a.t.f) ka tazkira maujood hai. Imam Muhamad Baqir(a.s) aik mufassal riwayat men farmate hain: ke 313 mard or 50 Auratain ( ladies) bhi in ke sath hain jo un 313 afard ke alawa hain jin ka zikr ho chuka hai. Wo badal ke tukrhon ki maannid mausam e Hajj ke alawa makka e Muazzma men jama hote hain jaisa ke Quran e Majeed men Irshad hai ke " Tum jahan kaheen bhi hoge Allah tumhen le aye ga, Allah har cheez par Qaadir hai " Ye 50 Aurtain jin ka zikr kiya gaya hai ye Imam e Zamana (a.t.f) ke Ashaabiyat hain or baland o baala martabay ki maalik hain or saahib e karamat khawateen hain. (Ref: Mehdi(a.j.f) Maueoud page #331). (Note: 313 ashaab mard hi honge or 50 Aurtain ye 313 ashaab ke alawa hongi, Mazeef tafseel ke liey mulahaza ho Link, http://alhassanain.org/urdu/?com=book&id=207&page=10 ). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14990
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nabi pak kesy kapry mubarakh pehnty thy

Answer: Nabi e kareem(s.a.w.w) ka libaas khardare kapre ka bana howa tha or Aap(s.a.w.w) ki aik rida thi jo ount k pasham se bani huei thi. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D8.B2.DB.81.D8.AF ). [Updated on 09-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Karbala me wo kon Bibi thin.. Jin ke dada Imam Walid Imam Shohar Imam Chacha Imam Farzand Imam

Answer: Karbla men maujood Bibi Fatima Bint e Imam Hassan e Mujtaba (a.s) hain ke jin ke Dada Imam Ali (a.s) , Walid Imam Hassan (a.s) , Shahar Imam Ali Zain-ul-Abideen (a.s) Chacha Imam Hussain (a.s) aur Farzad Imam Muhamad Baqir (a.s) hain. (Ref: https://ur.wikifeqh.ir/%D9%81%D8%A7%D8%B7%D9%85%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%AD%D8%B3%D9%86 ). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بی بی رقیہ بنت علی ع کہاں واقعہ ہے ؟

Answer: Hazrat ruqayya bint imam ali a.s ki qabr ko qahira misr main maujood aik zareeh e muqaddas se mansoob kia jataaa hay (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%82%DB%8C%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C_%D8%A8%D9%86_%D8%A7%D8%A8%DB%8C_%D8%B7%D8%A7%D9%84%D8%A8#.D8.A2.D8.B1.D8.A7.D9.85.DA.AF.D8.A7.DB.81) [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15042
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nabi paki k jinaze mn kitne aadmi shamil thy

Answer: Tehqeeqi Risaala, Tehqeeq dar namaz e janaza e Rasool Akram(s.a.w.w). Ham aap ko is Risaale ka link de rahe hain aap is link ko visit karen. Is Risaale men tafseel ke sath is baat ki Tehqeeq ki gaei hai ke Rasool Akram(s.a.w.w). ko kis ne ghusl or kafan diya aur kis ne Rasool Akram(s.a.w.w). ki namaz e janaza parhai aur janaze men kon kon shareek thay aur kon kon shareek nahin hue. Lekin Ikhtisar ke sath aap ke liye ye baat waazih ki jaye ke Rasool Khuda(s.a.w.w). ko ghusl or kafan Hazrat Imam Ali (a.s) ne diya aur namaz e janaza bhi Imam Ali (a.s) ne parhai. Albatta namaz e janaza men Ahl e bait e Athaar (a.s) men Imam Hassan (a.s) , Imam Hussain (a.s) or Hazrat syeda Fatima (s.a) Or khawas malaaika Or khawas ahsaab men janab e Salman e farsi, Abozr ghafari or Miqdaad shamil thay. Aur muhajireen or ansaar ke log jo maujood thay wo 10 , 10 ho kar daaire ki soorat men dakhil hue or Ameer-ul-Mumineen (a.) un ke darmiyan khare ho kar Surah e Ahzaab ki ayat #56 ki Tilawat farmate rahe.( ان اللہ وملائکتہ یصلون علی النبی یاایھاالذین آمنواصلّو علیہ وسلّمو تسلیما ). (Ref: Link https://www.aljawaad.com/2012-06-03-08-19-42/483-%D8%AA%D8%AD%D9%82%DB%8C%D9%82%DB%8C-%D8%B1%D8%B3%D8%A7%D9%84%D9%87-%D8%AA%D8%AD%D9%82%DB%8C%D9%82-%D8%AF%D8%B1-%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2-%D8%AC%D9%86%D8%A7%D8%B2%DB%81-%D8%B1%D8%B3%D9%88%D9%84-%D8%A7%DA%A9%D8%B1%D9%85-%D8%B5.html?showall=1&limitstart= ). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!