Question: Banu umaiya ka aakhri badshah kon tha..?
Answer: Marwaan hemaar Banu umaiya ka aakhri zalim hakim tha. Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi qoum hai jis ko boht ilm hasil hogaya tha or Allah ne usey khatam kardia tha?
Answer: wo nisnaas nami qoum thi jis ko boht ilm hasil hogaya tha or Allah ne usey khatam kardia tha.(Ref: Tareek e Islam,syed najamul hasan sahib karaarvi, pg#51) Update on dated 20-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salamun Alaikum Warahmatullah, Mera sawaal yeh hai k Islam mai Tauheen e Risalat krne walay shaks ki kia saza hai? Aur dusra sawal yeh k Agar Doubtful ho k Tauheen e Risalat ki gaye hai ya ni tou Yeh Matter Prove kon krega?
Answer: 1) Tauheen e risalat ki saza qatl kerna hay laikin Agar tauheen e risalat aisay ghusay k aalam main ho k insane ka irada or ikhteyaar nah rahe ya ye keh wo shaks is hokum se jaahil ho ya is unwan (subject) se laa-ilm ho tu had is per se saqit ho jaey gi. (Yani agar kisi shaks ko ye maloom nah ho k main jo baat keh raha hoon wo tauheen e risalat hay ya tauheen e risalat kerna haram hay or is ki saza hay). 2) Taheen e risalat ka soboot dawa kerne walay k zimme hay. (Ref: email rcvd from sistani. Jul 17, 2012). [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imam hussain as ko qatal karany ka fatwa kis kis ne diya tha
Answer: Qazi shuraih ne fatwa diya tha.(Ref: http://en.wikishia.net/view/Shurayh_b._al-Harith_al-Kindi). [Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Imam Hassan A.s k kitne beta the or ye jo gillani syed ha in ki nasal kin imam sa start huwe the
Answer: Imam hasan a.s k 8 baite or 7 baitiyaan theen. Or sheikh abdur qadir jilani syed nahi thay. (Ref: https://books.shiatiger.com/2016/02/14-Sitaray.html, pg#203-4) . [Updated on 16-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Qibla sawal ye hai k bibi umal banin ka hawaley se ma ne gogel pe parha k wo shimar ki behn thin, to please rehnumai farmaiyein k kia waqei koi Rishta hai ??? Please jawab zror dijye ga
Answer: Shimr ummul baneen ka bhai nahi tha, faqat qabeela aik hi tha. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B4%D9%85%D8%B1_%D8%A8%D9%86_%D8%B0%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D8%AC%D9%88%D8%B4%D9%86) [Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat muavia ki wafat kab howi
Answer: Ameer sham(L.A) mashhoor qool ki bina per 15 rajab 60hijri ko mara.(Ref: Saadatud darain fi maqtalil hussain a.s, pg#131). [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kaunse Nabi hain jo ek din Mein 2 mahina ka SAFar tey karte the?
Answer: Hazrat sluman nabi (a.s) subah o sham aik aik maah ka faaslah taey kia karte thay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%84%DB%8C%D9%85%D8%A7%D9%86_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat ibraheem ka dunba Khan gia tha qurbani krnay Kay bad
Answer: Hazrat ibraheem ka dumba hazrat ibraheem ne zibah kia tha.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B0%D8%A8%D8%AD_%D8%A7%D8%B3%D9%85%D8%A7%D8%B9%DB%8C%D9%84) [Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kais saddi say azadari matam shuro huwa ta
Answer: Waqiya e Ashura ke shuhada ka gam manana, aur in par azadari karnay ka aagaz 61 hijri ke is waqiya ke fauran baad howa. mazeed tafseelaat ke liye is link pe jain.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D8%B1%D9%85_%DA%A9%DB%8C_%D8%B9%D8%B2%D8%A7%D8%AF%D8%A7%D8%B1%DB%8C [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]