Question: turat kis paghber per nazil hui
Answer: Hazrat e Mosa(a.s) pr. (Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 1 , baab # 13 , chapter # Hazrat e Mosa o Haroon ke halaat , fasal # 6 pg # 448 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae)
Question: Hazrat imam mehdi imamat kary gay or Hazrat isa a.s un k pichy namaz ada kary gy.. is ki koi hadees wgera jaha se main deikh sako
Answer: ALLAH IZZAT O BUZARGI WALA us (dajjaal) ko jume ke, din 3, ghari din chare, sham ke ander, uqba afeeq main Us (Imaam al-Qaim (a.s)) ke hathoo qatal kara de ga, jis ki iqtida main Hazrat Eisa Maseeh namaaz phare ge(behaar ul anwaar , baab # 25 , riwayat # 26) Note bayaan karda tukra ik taweel riwayat ka tukra hai. ( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mera..ek sawal hai abu bakar ka naam kya tha
Answer: Ateeq naam tha.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam 110 Aap k jawab k mutabiq Hazrat Ismail_as wo nabi hen jin k baap, beta, bhai nabi the, plz is ki explaination kren, un k name btaen plz?
Answer: Hazrat ishaaq (a.s) wo nabi hai k in k walid hazrat Ibrahim (a.s) the ,in k bhai hazrat ismail(a.s) the aur in k baite hazrat yaqoob(a.s) thay.(ref:tareek islam, allama najamul hasan,pg:229,224,259) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Karbla ke bad imam e husain a.s ka sar kab dafan hua
Answer: Ulamaa e Imaamia ke dermiyaan mashhoor (jese Allama Majlisi, Syed Mutuza etc) or mutaaddid tareekh ki kitaboo se pata chalta hai ke Syed ul Shuhda Janaab Imaam Husain (a.s) ka Sar e Aqdas Karbala Mualla main ap ke Jism e Athar ke sath dafan kiya gaaya hai, jesa ke Shaik Tosi habeeb ke hawale se likha hai ke yazeed ne tamaam Sar-haae-Shuhodaa Janaab e Sajjaad ke hawale kar diye the, or Ap ne Karbala aa kar (rihai ke baad 40 safar ko) inhen dafan kiya tha. (Ref : Malee u Sibtain , jild # 2 , fasal # 15 , majlis # 1 , pg # 383 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: hazrat marium ki ismat ki gawahi kisne di?
Answer: Ap(a.s) ke farzand Hazrat e Esa (a.s) ne.(Ref : Sura e Maryam (19) , ayat # 27 to 33 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Allah ne zameen pr kitny paigamber pr kitny rasool bejy?????
Answer: Allah ke bheje howe bando (nabyoon) ki tadaad 1,24,000 or ye 4 qismoo ke the, 1 – jin ke dil main ilhaam kiya jata hai lekin na hi wo kisi qoom ki tarf bheje gaae or na hi wo farishte ko deekhte hain, in ko abb-d kaha gaya hai, 2 – jo sirf sote main farishte ko deekhte hain, na ke jaagte main, lekin in ki awaaz sunte hain, in ko nabi kaha jata hai, 3 – jo sote o jaagte dono main farishte ko deekhte hain or in ki awaaz bhi sunte hain or Allah Taala in ko kisi qoom ki taraf hidayat ki garz se bhejta hai lekin in ke uper bhi ik Imaam hota hai jis ki ye ittiba o itaat karte hain, in ko rasool kaha jata hai, 4 – wo jo sote o jaagte dono mian farishte ko deekhte hain or awaaz bhi sunte hain or kisi qoom ki taraf bhi bheje jate hain or in ke uper koi Imaam nahi hota balke ye kud Imaam hote hain, or in ko ulul azam kaha jata hai jese Muhammad Mustafa (s.a.w). (Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e hujja , baab # 59 , riwayat # 1 , 2) , (Ref : Al-Etiqadaat , muallif # abi jaffer Muhammad bin Ali bin Husain , topic # 35 , pg # 282 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Alhami ketabi ki theek tarteeb ... Kossi sub se pehly nazil hui Torat zabur injeel ya zbur torat injeel
Answer: Pehle Toraat phir Zaboor phir Injeez phir Quraan e Majeed.(Ref : Qasas ul Quraan , Muallif # Ayat ul Allah Nasir Makarim Sheraazi , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: hazrat essa a.s dunia me ayengy???
Answer: G han,Rewayat men hai ke Ap (a.s) ne farmaya ke beshak esa qayamat se pehle dunya main aain ge, or us waqt koi yahodi wagera nahi bache ga mager ye ke apni moot se pehle in per emaan laye ga, or hazrat e esa Mehdi ke peche namaaz pharain ge.(Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 7 , baab # 8 , riwayat # 1 , pg # 739 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sab sy pehlay kis ny KHANA KABA ko gilaf charyaha?
Answer: Janaab Hajira, Zojaa e Ibraheem (a.s).(Ref : Tareek e Islaam , Topic # Hazrat Ibraheem ke tamer e kaba o zebh e farzand ka waqia , pg # 230 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)