Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 1336
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ghair syed mard ka nikah syed zadi se ho skta hy with details

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221) [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 1371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya islam me bhag kar shadi karna jaiz hai

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam walakum, mera sawal ya hai ka, meri bade abba ki ladki yani ka (mera abba ka bada bhi ki ladki) se mera chacha ya ni ka (mera abba ka chota bhi ka ladka) ka ladka ka sath shadi ho sakti hai ka nahi, plz

Answer: Jee haan shadi ho sakhti he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349).

Id: 1378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sayyed famli main shadi sy q mana kea gaya

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).

Id: 1379
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kis maheny main nikah nahin karna chahiye?

Answer: qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay) me ho tu nikah karna makrooh he. Aur aulma ka kehna he k budh (Wednesday) k rooz aur har mahinay (month) ki 3, 5, 13, 16, 21, 24, 25 ko nikah karna makrooh he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3 , ques # 109 , pg # 54)

Id: 1406
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i want to marry sunni girl becoz i love her but she dont want to become shea may i marry with her

Answer: Agar is baat ka khauf ho k mustaqbil main aap ghumra ho sakhti hain jis ka ehtimal beherhaal majood he to phir aap k liay is k saath shadi bhi jaiz nahi hay. Hum aap ko bataur e khaas nasihit kartay hein k aap is terha ki shadi na karein. (Ref:Mujtahid se pouchey gye sawalat part # 2 , ques # 136 , pg # 62)

Id: 1428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai k meri khala ki beti ki beti rishtay main meri bahanji lagti hai kia mea us say nikkah karna sahi hai jaiz hai islam main

Answer: Jaiz he faqat 7 qism ki auratein merd per haram he.1: mother 2: beti 3: behan 4: bhai ki beti 5:bahan ki beti 6: chachi 7: khala. (ref : munhaj us salaheen ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 90)

Id: 1455
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA. mera swal ye hai k wo log jo rozgar k silslay mai out of country hotay hai and un ko 4-5 years ho jatay hain, to kia un ki nikah mai koi farq perta hai, aur kia rozgar b ik reason hai. and nikah nama(agreement) mai aisi koi bat na likhi ho

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.mazeed ye keh musafir ko bhi is hokum main shamil hay or os ko bhi koe maafi nahi. (jaded fiqhi masail, maslah #411 , Ayatullah Sistani (d.b.)). ok

Id: 1458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam Alakum: kia bagher mother and father k aur ghawaho k nikah jaiz hai? plz ap ise bayan farmae thank you

Answer: Nikah karne k liay ghawaho ki zurarat nahi hay. Albettah kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).

Id: 1459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah ki mudat

Answer: Aqad (nikah) ki doo(2) qismein hein. 1:Daimi 2: ghair e daimi (muqarrah waqt k lie nikah) aqad e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moay’yan na ho aur wo hamayshah k liay ho aur jis aurt se is qism ka nikah kia jaay usay daima kehte hein. Ghair daimi aqad wo he jis mein nikah ki muddat moay’yan ho maslan aurat k saath 1 din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jasakta hay. (sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah# 2328 k oper ka paragraph).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!