Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 1461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA mera sawaal hai ke kitne umer me nikah jayez hai

Answer: : 1)Nikah mustahab e maukadah(jis mustahab ki bohat takeed ki gae ho)hey or ahadees main nikah ki taraf targheeb dilae gae hay or kaseer ahadees main is k tark kernay ki muzammat ki gae hay. Jo shakhs shadi na karne ki wajha se haram kaam main mubtila hota ho tu us per wajib he k shadi karey. (ref : minhaajus saliheen part#3,pg#7,tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2407) 2)Nabalig ka nikah bhi ho sakhta he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2340)

Id: 1468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya pasand ki shadi ke liye dua kar sakte hain?

Answer: Jee haan, pasand ki shadi k lie dua karna jaiz he. Ref : email rec from ayat ullaha sistani.d.b. dated : April 11, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: why syed zadi cant marrage with nan syed?

Answer: Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).

Id: 1506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera rishta mere abhu ne pakka kiya hai but main aur meri ammi confuse hai q k larka mujhse 2 saal chota hai plz mujhe koi hal bataye aur kuch dua b jo faisla karne me meri madad kare.

Answer: Nikah ki shariet me se aik shart ye he ke, Aurat aur mard shadi per razi hoon. Lerki ya larka ki umer ke faraq se shadi me koi faraq nahi perta. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani masla # 2335). 2)hazrat e Imam jaffer e sadiq a.s. se manqool he k jis shakhs ko koi dushwar kam pesh aaye. 5 bar (rab banaa aatinaa) kahey to allah is ki mushkil kam ko aasan kar day ga. (ref : Kitab payam e shifa pg # 287)

Id: 1508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hamare shadi se pehle hum humbestar ho chuke the hum allah se mafi ki kon se dowa kare pls ann wer

Answer: Ethiat e wajib he k insane is aurat se is k toba karnay se pahle nikah na karay jis k sath is na zina kia ho . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235)

Id: 1513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,main ye pochna chahti hon k agr larka sheeya ho or larki suni to nikah jaiz hai k nai quran ki roshni mai batian?

Answer: Agar is bat ka khof aur dar ho ke kal ko(in future) aap ghumraah bhi ho sakhte hein, jis ka ehtimal beher haal majood he, to phir aap ke lie is k saath shadi bhi jaiz nahi he. Hum aap ko batoor e khaas nasihat kartain hein ke aap is terha ki shadi na karain. (ref : mujtahid se poushey gay sawalat part # 2, sawal # 136, pg # 62).

Id: 1522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hy k kia apny mamoo zad bhai k sath apni beti ka nikah jaiz hy?

Answer: Jaiz he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349)

Id: 1558
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me ek ladke ko pasand karati hu wo bhi muje pasand karata tha par wo pahele se shadi suda hai, wo majbur hai kya meri us se shadi hogi.

Answer: Aik shakhs 4 daimi nikah aik sath kar sakhta he. aur wo jis ki 4 biwi hoon us k lie 5vi karna haram he. (ref : minhaj us salaheen ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 200)

Id: 1571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya syed shiya larki ki shadi non syed larky se ho sakti h?

Answer: Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).

Id: 1575
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera question ye hai k me aik larki se bht pyar krta hu n wo bi n hm dono n secretly nikah kr lia n us n apne baap se nai pocha ta.ab us ka baap maan gya hai to kia hme dobara nikah krna pre ga ya phr pehle wala hi jaiz ho jae ga.

Answer: Dobara nikah karna pare ga q k nikah ki shariat me se he k larki ka wali razi ho q k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335 , 2341 , 2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!