Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 15105
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr 13,14 sal ki umr m ghlt km hogia ho lrki se us wkt na pta ho.. Bri ho to smj ay Allah se ro ro k maafi b mangi ho kia Allah usy maaf kr dy ga.. R kia wo dosri jga shadi kr skti h..

Answer: 1: Jee han Parwardigaar Ghaffar u zunoob hai or Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo toba karney waloon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne wadeh per amal na karey. Tauba yani sharmindagi ka izhar karna k aainda ye gunah nahin karon gi. Istighfaar (taubah) main 6 batain shamil hain: (Nidamat k saath sachay dil say 14 masoomeen(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qobool hoti hay) 1) Maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4) Jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya tha tu os ki qaza bja laana). 5) Jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) Jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunah say maza chakhaya tha. 2: Aur wo doosri jagh shadi bhi kar sakti hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ques # 1, toba. + Nehjul balaghah, kilimaat o hikmaat, pg #417). + Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #357) [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager na baligh larka kise na baligh larky sy bysamji m ghlat fail kry to wo bhi zina ho ga?

Answer: Mard ka mard ko shehwat ki nigah se daikhna jaiz nahin hay. aur mard ka mard se gair fitri amal anjaam daina jiaz nahin hay. aur ye amal Lawaat (iglaam/homosex) kehlata hai or ye gunah e kabeera hay. Iglaam|(homo-sex) karwanay walay larkay ki maan, behen aur beti Iglaam karnay walay per jabke (Iglaam karnay wala) balig ho, haram ho jatay hain. Aur agar Iglaam karwanay wala mard ho ya Iglaam karnay wala na-balig ho tab bhi ehtiyat e lazim ki bina par yahi hokum hai laikin agar usay guman ya shak ho k dukhool hua tha ya shak karay ke dukhool hua tha ya nahin to phir wo haram nahin hon gay. laikin Iglaam karnay walay ki maan, behen aur beti Iglaam karwanay walay per haram nahin hain. Aur Iglaam ka amal anjam dene walon ke liye is gunah se Tauba karna zaroori hai Aur Tauba ye hai ke sab se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khuda se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahin dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah hamen daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker ham shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhae waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #460,461, pg #253. + Minhajus Saliheen, Part #1, Maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2369. + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15114
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi larki galat raste par hai usko sahi raste pe kese lae jo cheez galat hai jska usko khud ehsas ho phr wo kese roky galt raste pe na jaye

Answer: Agar gunah karne ka erada ho jaye hameshah yaad rakhay k Allah use daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahi hai or Allah ki na-fermani ker rahi hai. wo koshish kare k khuch mufeed kamon main khud ko masroof ker lay jaisay sport, parhai waghaira, or har os cheez se bachay jo use gunah par ubharay ya baydaar karay. Agar wo khud par qabo nah paa sakay to roza rakhay Q k roza gunahoon k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15115
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aapne takkabur dikhaya hai bohotttttt jyada aur Aapko uska ehsaas hai ki aapne takkabur dikhaya toh aap Allah se uski maafi kaise maange?

Answer: Takkabur(Ghuroor) karna haram aur ghunahan e kabira men se hai. Aur lazim hai ke is ghunah ki wajah se allah se tauba talab ki jaye. Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Sawal #1, tauba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 11-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: منہ میں لن لینے کی گناہ معاف ھوسکتی ہے کیا اس کا توبہ ھوسکتا ہے؟

Answer: Sab gunah maaf ho saktay hain agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai q k parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tauba hay or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain kyun keh khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay or tauba karnay walo ko doost rakhta hay hadees e shareef main hay k aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay or isi liay hadees main aya hay tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k khuda hazir or daikhnay wala hay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b,) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766 + (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated 17 08 2011).Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15400
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamzalaikum w b. Meri age 35 yrs hai meri biwi walida aur 1 beta mere saath rahte hain, mai bahot gunah kiye hain Allah ko naraz kiya... AllAh se galtiyo ko maaf kr de uske liye mai kya karoo. Pls help kijiye

Answer: 1: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15457
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.janab mushat zani ka azab kiya hai

Answer: istimna (mushzani) ka azaab :Abu Baseer bayan kartay hain k imam jafar e sadiq a.s. nai farmaya k qayamat k din khuda 3 qism k afrad sai kalam nahi karay ga aur inhain ghunahoo sai paak nahi karay ga aur inhain dardnak azab ho ga un mai sai aik wo shakhs hai jo istemna karay. (Ref : Moharammat e islam pg # 337 Istimna karna haram hai chahe kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2: Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407) 3: Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-farmani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). ) ), [Updated on 13-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15471
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaykum. Mera sawal ye hai ki my Shadi shuda nahi hu aur my zina karna nahi chahta Lekin kya my uske Piche wale hisse se Sex karsakta hu Aur kya ye zina me Shumar hoga ya nahi Jawab dijiye plzz

Answer: Dono sorton me zina hi kehlaye ga chahe agle maqam me ho ya pichle maqam men, Aur zina haram or gunah e kabira men se hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 4 Maslah #159, hashiya #4,or maslan no#2407) Sharaai nikah k begair mard (orat) k lye kise bhi aurat (or mard) se jinse taluqat qaim karna haram hai, or zina karna bhi haram hai aur ghuna kabira me se hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 30,eidition 2009) [Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aik cheez ki maafi ap Allah sy mango aur kaho ainda ni huga yy but phir be ap sy wo cheez hujai but dil mai nadamat hu tu iska kia hal hai ?

Answer: Tab bhi Parwardigar e aalam ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye Q keh Bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say maayosi ho jaey to ye gunah hai. aur Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har waqt Allah se umeed honi chahiye or mayoos nahin hona chahiye. Agar ye khaof kisi gunah ki wajah ho, misal ke taor agar kisi ne koi gunah kiya ho to us ke liye tauba ka darwaza khula howa hai. aur Haqeeqi tauba ye hai ke gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) honi chahiye. or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tuba hay. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na karne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor ba zaroor apnay pichlay gunaho ka azaala or tadaruk kerta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay. or tauba kernay walon ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: Aik lamha e fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay. or isi liay hadees main aaya hay: tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay. (Ref: Surah Yousuf, Ayat #87. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011 ). [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15568
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar beta apni maa ku shehwat se haat lagane se kya hoga

Answer: Shehwat ke sath apni maan ko dekhna ya jism ko chhona haram or gunah hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #11). [Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!