Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 14980
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aagr lrka lrki ko kiss kry aur touch kry uski body ko zbrdasti to eska gunnah lrki ko kitna ho gaa???

Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ho. Larki ko jahan tak mumkin ho sake koshish karni chahiye k wo khud ko is gunah men parne se bachaye, q k gunahon se khud ko bachana wajib hai. or agar apni puri koshish k bawajood wo is gunah men parhne se na bach sake ya us ko is pr qudrat na ho k wo khud ko bachaye to phir larki par koi gunah nahin hai, lekin agar wo koshish na kare to phir wo bhi gunah men shareek hogi. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), masalah #259,239)+Minhaj-ul-Saliheen, edition #4th, maslah #30). [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha sahab ghunah e kabira kon kon sy hen in sy mutaliq koi book h to btyn r kon kon sy ghunahasy hen jin ka kaffara ada krna wajib hota h jazakAllah

Answer: Ghunahan e Kabira men se hai 1) Allah k sath shirk karna, 2) Khuda ki rehmat se mayoos hona, 3) Khuda ki tadbeer se apne aap ko amaan me samajhna, 4) Un cheason ka inkaar karna jo allah ne nazil ki hain, 5) Khuda k waliyon se jang karna, 6) Ghunah ko halqa samajhna, 7) Aaq e waldain (yani waldain ko aziyat dena), 8) Musalman aur har nafas e muhtarama ko Qatal karna, isi tarah inhen zakmi karna, marna, aur dosere kaam karna, 9) Pak daman mard , aurat per sharaei gawahon k baghair zina aur dosere fahash kaamon ki tuhmat laghana, 10) Zulman yateem ka maal khana, 11) Naap tol me kami karna, 12) Chori karna, 13) Jang se farar karna, 14) Sood khana, 15) Zina karna, 16) Mard ka mard k sath bad faili karna, 17) Aurat ka aurat k sath bad faili karna, 18) Istimna karna, 19) Mian biwi k ilawa kisi bhi zariye se jinse lazat hasil karna, 20) Do logon ko haram jinsi talukat k lye milana, 21) Shohar k lye haram hai k us ki biwi kise dosere mard k sath haram talukat rakhe aur wo khamosh rahe, 22) baghair ilm aur hujjat k baat karna, 23) Jhoot bolna, 24) Jhooti ghawahi dena, 25) Jo cheez allah ne nazil nahin ki us k bare me fatwa dena, 26) Allah ki jhooti qasam khana faislon k maqaam per, 27) Ghawahi ko chupana, 28) Jan bojh kar namaz ko chor dena 29) Ramzan k roze ko chor dena, 30) Wo hajj jo zindagi me aik martaba wajib hota hai us ko chor dena, 31) Wajib zakat se mana karna, 32) Qat e rehmi karna, 33) Aisi jagh jana jahan deen ko nuqsaan puhnche, 34) Sharab aur doseri nasha aawar cheasen pina, 36) Khinzeer aur dosere haram gosht jaanwar ka gosht khana, 39) Haram kamaai khana, 40) Israaf karna, 41) Tabzeer karna, 42) Maali huqooq ko baghair kisi wajah k rok kar rakhna, 43) Zalimon ki madad karna, 44) Zalimon ka rukun banna, 45) Zalimon ki mansab ko qabool karna magar ye k ye mansab halal ho sakta hai agar ye kaam khud halal ho aur is me musalmanon k liye maslehat ho, 46) Momin ki gibat karna, 47) Momin ko gaali dena, 48) Momin ko lanat karna, 49) Momin ki touheen karna, 50) Momin ko zaleel karna, 51) Momin ka mazaq urana, 52) Momin ko darana, 53) Momin k raazon ko dondhna, 54) Momin k ghunahon ko zahir karna, 55) Momin ko halqa samajhna, 56) Momin per jhoot bandhna, 57) Momeneen k darmiyaan chugli karna, 58) Monh se gandi aur fahash batain karna, 59) Dhoka dena, 60) Khayanat karna, 61) Ahad ko torna, 62) Apne aap ko dosron se bara zahir karna, 63) Ibadat me riyakari karna, 64) Hasad ka izhar karna, 65) Haram mouseeqi ka istemaal, 66) Jadoo karna, 67) Jadoo seekhna, 68) Jadoo sikhana, 69) Jowa k alaat, 70) Shatrang khelna. tuba ki haqiqat gunah se pashemaan hona hai is lie kha gaya hai ke pashemaani he haqiqi tuba hai or haqiqi pashemaani ye hai ke insaan hamesha ke lie gunah choorne ka mustehkam irada kare , agar is ka gunah haqqullah hai tu allah ki baarga me maqfirat talab kare , agar is amal ki qaza ye kaffara ho tu wo ada kare or agar haqqqunnaas hai ( masalan kise ka maal lia ho) tu ise raazi kare or agar aisa karne se is ki tuheen hote hai hadiye se ise desakta hai ya phir is ke account me (maal jo is ka lia tha) beaje de tuba faqat astaqferullaha khene se nahe hote balke mustehkam irada ho ho kr gunah se dori kare . (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition 2009, Maslah #30, sistani.org,urdu, topic, tuba,sawaal no:2) [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15008
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me ek hindu ke yha naukri karta wha se mene koi saman utha liya he to vo kya jaiz he ya mujhe wapas rakh dena chahiye please bataiye.

Answer: Chori karne ko kabira ghunahon mai shumar kiya gaya hai. lehaza zaroori hai ke haq malik tak puhchaya jaye. aur gunah ki wajah se tauba ki jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition 2009, Maslah #30) + https://www.sistani.org/urdu/qa/26515/ ). [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar maine apni biwi ko sare Aam rushwa aur jaleel kiya ho toh kya gunaah hai mere upar

Answer: kise momin mard ya momin aurat ko gaali dena , laanat karna , ahaanat karna or use zaleel kana haraam hai .Biwi ke huqooq main sai hai ke mard usay aziyat aur takleef nah punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh nah aaye.agar kise se guna hojaae tu use allah se toba karna wajib hai or toba ke lie haqiqe tour pe pashemaan hona zarori hai .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masalah #2376,tauziulmasail jame masla no: 2224, 2223

Id: 15019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا 1 لڑکی دوسری لڑکی کی شرم گاہ کو ہاتھ لگا سکتی ہے

Answer: Jee nahin, Jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2402). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15021
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا 1 لڑکی دوسری لڑکی کی شرم گاہ کو ہاتھ لگا سکتی ہے

Answer: Jee nahin, Jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2402). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15022
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا 1 لڑکی دوسری لڑکی کی شرم گاہ کو ہاتھ لگا سکتی ہے

Answer: Jee nahin, Jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2402). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya 2 larkiyan apas mai muhabbat kr skti hai?

Answer: (2 larkiyan apas mai na jaiz muhabbat karna )Jaiz nahin hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #460,515). [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya 2 larkiyan 1 dosry ko choom skti hai?

Answer: Aik Larki ka shehwat ki niyat se kisi dosri larki ko dekhna, bosa(kiss) dena, gale lagana, tanhaai men aik sath rehna, Al-gharz jo kam shohar or biwi ke liye jaiz hote hain wo tamam kam hum-jins (Larki or Larki) ke liyae anjam dena jaiz nahin hain. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #460,500).Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ly paak bachy ki waldiyat tabdeel ka kafaara kiye hy ager ghalib ho jy

Answer: Adoption (Gaud lene) men or us ki daikhbhaal karne me or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin ise apna bacha khelana jaiz nahe hay. agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko aap ki wiraasat nahin mile gi or is bache ko haqeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe or is ka naam apne bete ke tour par (i. card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) or likhen or is per ghawaah banain.or ye adop kia hoa bacha ya bache adop karne wale ya adop karne wale ka namehram hay or agar jise adop kia gaya hay wo larka hay tu adop karne wale ki wife or betiyo ke lie ye namehram hay or agar jise adop kia gaya hay wo larki hay tu adaop karne wale lie or adop karne wale ke beto ke lie ye namehram hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1,english ,q&a ,topic : adoption que no: 1,2) (jis shaks se guna hoa hay use tuba karne chaie kyu ke ) gunaao se tuba aham tareen umoor or wajebaat me se hay tuba ki haqiqat gunaao se pashemaan hona hay pashemaani aik qalbe amar hay ( yane ye muaamla dil se taaluq rakhta hay) srif (astaqferullah) khena kafi nahe hay balke tuba ke lie haqiqi tour per pashemaan hona lazim ( zarori ) hayor agar waaqen pashemaan hojaay tu (astaqferullah) khena zarori nahe agarche is (astaqferullah) ka khena eyteyaate mustahab hay or tuba ke sharhe aasaar paae jane ke lie do amar lazim hay 1:insaan hatme irada rakhta ho ke guna ki taraf dobara nahe palte ga 2: jo kuch bhi nafarmaane ki hay imkaan ki surat me shareat ke dastoor ke mutabiq istaah kare.(ref: tuziulmasaail jame,urdu,aqa sisrtani topic: gunaao se tuba) [Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!