Question: Aslam u aliakum Mufti sahb may nay pehley b job k liya wazifa pocha tha abhi tak koi reply nahi aaya plzzzz zara jaldi say bejh dey
Answer: Job milney k liay : 1)Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2) Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir meri umer 22 saalhy ormere jitne b rishty ayee kahin baat nh bani plz koi dua batyee jiss se meri shadi kissi aachi jaga ho jaye.shukriya
Answer: 1) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.) 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3) sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 329-330) 4)book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki kay liyay kaheen se koi rishta na aaraha ho to Quran kay Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shadi meri sister ki jam jai ase koi duwa batayo
Answer: 1) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.) 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 4)book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki kay liyay kaheen se koi rishta na aaraha ho to Quran kay Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18. (khuda aap ki taufeeqaat me izafa karay)
Question: meri sister ko cancer hai doc ne jawab de diya us k lia Rohani elaj bataye aur ullma kiram se specially dua b karwana chata hu.
Answer: 1)Surah e ibraheem ki ayat ( wa masaloo kalimatin . . . . . . minqararin) parh kar 5 bar nade ali parhain aur mareez per phoonk dein inshallaha chand din me faida ho ga. 2) Is marz k lie surah e inaaam bhi mufeed he. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 201)(khuda aap ki taufeeqaat me izafa karay)
Question: AOA mujhay koi aisa wzeefa batain jis se mere aur jisay mein pyar karty hu humare beech mein aur pyar paida hoo jai..aur humare ghar walay humare rishtay k liye raazi hoo jayein..please thankyuh..
Answer: 1)Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 3) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601) wazifa bayan karne k sath aap ko is fiqhi maslah ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam! Marajae kiram se dua karwane ka tareeqae kaar kya hota hy. meri 8 saal ki sister hy jis ko cancer hy n doctor n 6 month ka time diya hy us k lie dua karwani hy reply soon, main ne phele b pocha tha ap logo ka koi jawab nai aya.
Answer: 1)Rasool e khuda ne farmaya k jo banda rat ko uth kar 2 rakat namaz parhe aur sijde me 40 bradraan e deeni k lie un ka aur un k bap ka (Ref: Naeem ul aamaal pg# ) le kar un k haq me dua karay phir apni hajat khuda ki bargah me pesh karay to us ki dua qabool ho gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 167) 2) Surah e ibraheem ki ayat ( wa masaloo kalimatin . . . . . . minqararin) parh kar 5 bar nadali parhain aur mareez per phoonk dein inshallaha chand din me faida ho ga. 3) Is marz k lie surah e inaaam bhi mufeed he. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 201) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam_u_allaikium mai ek larki se pyar karta hun or who b boht pyar karti hai masla ye hai usky ghar waly razi nai hain wo khety hain k hum beradri se bahar shadi nai karty or unho ne uski rasm b krdi zabrdasti ap plz koi wazifa batyen plzz.
Answer: 1)agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76 2) wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki tarf bhi mutwajjeh kiya jata hain k : Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Ayatullah Sistani 2)
Question: assalamalakum i am waseem, i come for student visa for uk, i am getting any job since last 4 months plz kindeld give me vazeefa for me, waiting for u r reply, khudahafiz.
Answer: Job k lie wazifa : Job milney k liay 1)Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2) Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam molana sahab mera ye masla hy k ek larky ny mera rishta bhja hai sb razi hain hum bhi like krty hain lkn us k parents ki taraf sy thori rokawat hai us ka walid nai manty hain,koi aisi dua btain k wo razi ho jain aur humara rishta ho jai.shukriya
Answer: 1)larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 2) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.) 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir mera sawal ya ha k agar koi galt kam chorna chai to is ka hal bataya bohat koshish k bawajod main ya kam nhi chor pata plz sir mujy is k koi hal bata dain
Answer: Sheikh sodooq nay mutabar or sahi sanad k saath riwayat ki hay keh jo shaks namaz e subh k baad 11 bar sorah e qul ho wallaho ahad perhay is din iska koe gunah nahi likha jay ga shaitan khaah zameen per kitni hi naak rigrhay.(Ref:piyaam e shifa, pg#107).