Question: meri umer 31yr hogai he per mera rishta kahne b nahin hoa rishte ate he dekh k jate he phr koi jawab nahi me bhut pershan ho meri madad karen
Answer: 1. book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki kay liyay kaheen se koi rishta na aaraha ho to Quran kay Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18. 2. Hazrat moosa (a.s.) ne apnai shadi k lie surah qasas ki ayat # 24 (rab’bi in’ni . . . . . . faqeerun)ki tilawat ki thi k in ki shadi ho gye lihaza mard apnay lie aur aurat apnay lie parh sakhte he. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 3. Rasool e khuda ne hazrat Ali (a.s.) ko khitab kartay hwa farmaya “ya ali (a.s.) surah e yaseen ki tilawat kia karo is me 10 barkatain hein os me se aik ye he k kunwara shadi shuda ho jay”. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir, jab main zor lagata hon to mani ke qatray aatay hain, is ka koi elaj hai to plz aap bata den
Answer: Takham kaaho k khanay say saylaan e mani main faida hota he. (Ref : kitab makhzane amaliat pg # 60) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal yeh hay ka mere husband 2sal se kafi try kar raha hain acchi job ka lia per acchi job nahi milti abhi jo job hay woh buhat kam hay is main hum apna guzara kafi mushkil se kar raha hain apkoi wazifa batya ka is mushkil se baher ajin
Answer: 1. Har shab e jumma 100 bar ism e Mubarak (al zaar’ro) ki tilawat karna doulat wa mansab k hasool k lie nihayat mujjarab he. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 63) 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 3. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam alaykum Maulana Sahab,Gharame barkat aaye aur daulat,shoharat aaye iskeliye koi vajifa ho to bataye?
Answer: Har shab e jumma 100 bar ism e Mubarak (az’ zaar’ro) ki tilawat karna doulat wa mansab k hasool k lie nihayat mujjarab he. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 63)
Question: aslamo alaikum mera naam zobia hai main jise like krti hon usi se shadi krna chahti hon plz pa meri help kren.
Answer: 1. larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 2. kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Wazifa k bajaye aap ko aik fiqhi masle ki tarf mutwajjeh kiya jata he k : Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistan)
Question: Aslam-o-Alaikum Sir, Sir mera question yeh hai ke jab mai raat ko soota hao tu mera akhtalam hao jaata hai iis surat mai mujhe karna hao gaa ke mera akhtalam hamesha ke liyea rukh jaye aur kabhi bhi na hao
Answer: 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me mutahlim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BI KA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya main, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2) Surah e al tariq k khawas me he k sote waqt is ko parh k ethilam nahi ho ga. (ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam mera masla he k main Musht Zani k Marz main Mubtala ho gaya hon.. or mera Penis(Uzu Tanasul) bahot hi zaiada Terha ho gaya he..bara-e-meherbani koi acha Ilaj or mere liye doa kren.. thanks...
Answer: istimna kisi bhi zariye se ho haram he. . (ref : jaded faqhi masayl masla # 462 , 458 pg # 253) 2)ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 2) ye tassavur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 3)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 4)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam o alaikum mera sawal yeh hai ke me shia nahi suni hoon to me in wazaif me se yeh wazaif parh sakti hoon jo aap ne dusron ko bataye hain ?
Answer: Jee haan.Aap in tamam wazifoon per amal kar sakhti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aik or wazifa ye hay k sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.( Asalam o alaikaum mera swal yeh hai ke larki ke kon se baazo(arm) par bandahian ?
Answer: Behter hay k seedhay baazo(arm) par baandha jaay. (Ref: Naeem ul aamaalpg # 326). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera ak larke se dosti ti.unhone mere gar rishta beja.magar inkar ho gaya.ab wo kehta ha ke agr meri shadi kain aur hoi.tu wo muje aur mere gar walon ko maar de ga.muje koi dua bataen ke meri jan is larke se chot jae...pleeees
Answer: Agar kisi cheez ka khof ho to quran se kisi jigha se 100 ayaat parh kar ye dua teen bar parhain. (id’fae an’ni al’bala’aa)ya allaha meri musabit door kar. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 218). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)