Question: meri shadi ko do sal hone wale hain lekin aulad nahi hui plz mujhe koi wazeefa bataein apki badi meharbani hogi
Answer: bismehi taala, musalsal 3 days roze rakhe aur har rat sone se pahele ekkis (21) bar sure furqan ki ayat no.74 (bismillahir rahmani rahem, wallzin yunfeqoon...........) pahde aur Allah taala se apni hajat talab kare aur so jaye har mahine me yeh amal ek bat kar liya kare to inshaAllah dili murad puri hogi (ref: naeemul abral page no.331)
Question: salam main boht paryshan hon mere age 25 ho gae hai pr koi rishta nain aa raha ap plz koi ayasa wazifa batain k jis ko perty he mery ly ek boht he acha rishta aa jay mujy reply mery mail address pr kr dein i really thankful to u
Answer: w.s. agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.
Question: Assalam O ALaikum, Shab-e Barat 15 Shauban aap ko mubarak ho please es shab k aamal bhe bata dein... Thanks.
Answer: w.s. shabe barat k aamal k liye aap mafatihul jinan ki tarf ruju kare.
Question: slam.meri shadi ko 2 sal se zyada ho gay hen abi tak olad nahi hoi ap batae me kia karon jis se olad ho jae
Answer: w.s., musalsal 3 days roze rakhe aur har rat sone se pahele ekkis (21) bar sure furqan ki ayat no.74 (bismillahir rahmani rahem, wallzin yunfeqoon...........) pahde aur Allah taala se apni hajat talab kare aur so jaye har mahine me yeh amal ek bat kar liya kare to inshaAllah dili murad puri hogi (ref: naeemul abral page no.331)
Question: ma kisi larkay ko pasand karti ho apko pahlay bataya tha bataya tha apnay wazifa bataya tha par ma chahti ho k ap kch aisa wazifa batayee jisay 10 din may meray ghar walay khudi rishatay ko man jayee or rishtay ki han kar dain.
Answer: bismehi taala, wazifa ek tarh se dua he aur dua ki qabuliyat parvardigare aalam k hath me he, dua qabool ho ya n ho, dua karne ka jo sawab he woh to milta hi he, baqi jahan taq dua ki qabooliyat ka talluq he to baaz owqat insan aysi dua mangta he jo parvardigare aalam ki nigah me us ki maslehat me nahi hoti aur mumkeen he k us ki hajat us k halat k mutabiq us k liye na-mumkeen ho ya nizame taqweeni-e-jahan k manafi ho magar insan in bato ko nahi samaj sakata (ref: www.sistani.org topic: dua q.1) (aap ki zimmedari dua karna he, agar yeh rishta aap k liye mufeed hoga to inshaAllah khud-b-khud asbab mohayya ho jayenge, chunke parvadigare aalam har cheez par qadir he, aap masoomeen alhemus salam se tawssul kar ke apni dua kare aur khas tor se ho sake to dua-e-tawssul padhe.
Question: Salam mere papa ne ek showroom khola hai usko khulte hua 1 saal ho gaya hai magar usme kuch bhi profit nahi ho para hai aur hamara purana buissness bhi bohut karab ho gaya hai iske liye kuch wazifa bataye muje.
Answer: w.s. kasratse istighfar karain, rat ke waqt sure waqea padhain aur tarqqiye rizq k liye 41 times "Ya Razzaqo urzukni" padhe.
Question: salam.mje mencse problm he sirf dag lagta he 3 ya 4 din meri shadi ko 2 sal se zyada ho gae hen lakin olad nahi hoi ap batae me kia karon jis se me thik ho jaon or olad b jald ho jae
Answer: w.s. tibbul aeemma me Hazrat Imam Jaafar Sadiq alhis salam se ek hadees bayan ki gaee he. jis me aap alhisslam ne farmaya: jab kbhi kisi momeen ko koi marz lahaq ho jaye to marz ki jagh hath rakhkar Bismillahir rahmanir raheem "w nonazzelo menal quraane ma how shefauw w rahmatul lil muameneen w la yazeeduz zalemeen ella khasara" (sure bani israeel ayat no. 82) padhe to kaysihi bimari kyun na ho inshaAllah dur ho jayegi. (naeemul aamal page no.358)
Question: mujhe kharza bahoot hoogaya hai to kuch wazifa di jiyea jis se is ki aadayegi hoo jaye
Answer: bismehi taala, shekhe toosi (r.a.) ne riwayat ki he k ek shakhs imam jaafar sadik alyhis salam ki khidamat me hazir huwa aur arz kiya: mere maula mujhe qarz ne ghair rakha he aur zalim ke zulm ka shikar hoo aap alyhis salam mujhe koi dua taalim farma dijiye take mira qarz door ho jaye aur me zalim k zulm se mehfooz rahoo. aap alyhis salam ne farmaya jab rat bahot ziyada ho jaye us waqt do rakaat namaz padho jis ki pehli rakaat me sure hamd ke baad aytul kursi aur dusri rakkat me sure hamd ke baad sure hashr ki ayat "law anzalna hazal quraan... se akhire sura tak padho aur namaz ko tamam kar ke quran ko sar par rakh kar yeh kaho: be-haqqe hazal quraane w be-haqqe man arsalthu behi w be-haqqe kulle momenin madhtohu fihe w be-haqqeka alyhim f-la ahad aarafo be-haqqek mink" phir das martba khe : be-k ya Allaho, phir das martba khe : ya Mohammado, phir das martba khe : Ya Alliyo, phir das martba khe : Ya Fatemato, phir das martba khe : Ya Hasano, phir das martba khe : Ya Husaino, phir das martba khe : Ya Aliyibnil Husain, phir das martba khe : Ya Mohammadibn Ali, phir das martba khe : Ya jaafarbn Mohammad, phir das martba khe : Ya Mussabn Jaafar, phir das martba khe : Ya Aliyibn Musa, phir das martba khe : Ya Mohammadbn Ali, phir das martba khe : Ya Aliybn Mohammad, phir das martba khe : Ya Hasanibn Ali, phir das martba khe : Ya Hujjatbnl Hassan, phir hajat talab kre. wo shakhs chala gaya aur ek arse ke baad aaya to us ka qarz ada ho chuka tha zalim ki islah ho chuki thi aur woh shakhs dolatmand ho gaya tha (ref:naeemul aamal page no. 309 to 313)
Question: agar ham nay apnay guzishta tamam gunahoo ki tauba karni ho to wo ham kaisay karain iska koi proper tarika bata dain detail may plz
Answer: bismehi taala, sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada phi hona chahiye, is k baad tisre marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi.
Question: A.O.A 1 sal ka bacha hai khana nahi khata itna aur rota bohat hai plz ap us k lie ko wazeefa batye.
Answer: bismehi taala, "bismillahir rahmanir rahim" padhne ke baad sure ahqaf ki ayat no. 15 "Rabbe.....muslemeen" ko padh kar bachche par phunke, yeh amal rozana 3 dafa kareain (ref: naeemul aamal page no.338-339)