Question: ma pechlay aik saal saa problem ma hu due to my wife, she have some thing like Jinnat and she was suffering from last one year, i took her too many places but not use please help me guide me according to Islam that what should i do and where i go for her
Answer: Sorah e jin ki tilawat kernay say tilawat kernay wala shaks jinnat k shar say mehfooz rehta hay.(piyaam e shifa,pg#83). Imam jafer sadiq (a.s) ka irshad hay k “ jo shaks apnay ghar main sura tun naas ki raat k waqt tilawat karay ga os ka ghar jinnat say nijaat pay ga.( piyaam e shifa,pg#113). Jinnaat k shar say bachnay k liay seedha haath sar per rakh ker baa awaaz e buland ye sorah e alay imran ki ayat # 83 perhain.( piyaam e shifa,pg#277).
Question: I am 56 years old & would like to get marry. I am worried because my salary is very little.
Answer: 1)wus’at e rizq aur rozi k liay surah e qaaf 3 bar qiblay ki janib rukh ker k parhain ajeeb asar rakhti hay.(ref kitab payam e shifa pg # 227). 2)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur aqhlaaq ko achcha banati hay. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baa’is banati hay ghum ko door karti aur aankhoon ko noor ata karti hay.(ref : kitab payam e shifa pg# 147). 3) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 4)Dua e joshan e shageer ko roozana rat mein taharat ke sath parhein inshallaha aap ka rishta ho jay ga.(ref kitab waziful abrar pg #177 )
Question: aoa sir mere mother ne kisi jaga mere rishtey k liye bat chalai hai unn anti ne abhi reply kerna hai pls aap koi aisa wazifa bta den k wo anti han ker den unka khud reply aa jae aur mera rishta wahan ho jay pls i am very thankful 2u
Answer: Dua e joshan e shageer ko roozana rat mein taharat ke sath parhein inshallaha aap ka rishta ho jay ga.(ref kitab waziful abrar pg # 177). 2) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76).
Question: sir mery ma ko sans ki bht taklif ha wo rat ko b nai so sakti abo dr hain bht ilaj karwaya lakin koi faida na hua sir please muje kuch wazifat bejo mera pta ha tando muhammad khan house number 07 near ek minar masjid
Answer: Imam Jafer Sadiq(A.S) say riwayat hay k insaan ki har bimari door (khatam) hosakti hay agar wo namaz e fajr k baad 40 mertabah sorah Al-Hamd ki tilawat karay or har Al-Hamd k baad ye perhay: (Hasbonal Laaho wa ni’mal wakeel. 0 Tabaarakal laaho ahsanol khaliqeen. walaa Haula walaa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem (Ref: Mehjud da’waat Pg#77).
Question: meri shadi me bht rukawat he. me pasand ki shadi karna chahta hn. but koi na koi rukawat aa jati he. arsa 10 saal se aisa e ho ra he. plz help me
Answer: 1) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.) 2) book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki kay liyay kaheen se koi rishta na aaraha ho to Quran kay Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18. 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam walikum mein bhot parishan hoo q k ghar main rizq ka masla hai ghar main kamane wali to hai liken barkat nahi hai plz plz jaldi bathie
Answer: 1)Her qism ki perashani ka liya surah e Mubarak e Anaam ayat no 17 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr sa pehla likh kar apna pas rakhain. Inshallaha faida ho ga. 2)khair o barkat ke liay har roz surah zaariyaat , surah e alam nashrah , surah e tallaaq , surah e muzzamil ko perhain. .(ref : kitab payam e shifa pg# 221 , 257)
Question: sister ki shadi k lia wazeefa
Answer: Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76)
Question: parents ki pasnd ki shadi ki bjaye apni pasand ki shadi jaez hai?
Answer: 1)pasand ki shadi jaiz he magar Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) Lehaza bhag kar shadi karna sahi nahi he. 2)kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).
Question: Sir mera masla hai k main shadi karna chahta hun mangni bi ho chuki hai ab mery perents koi responce nahe kar rahe plz iska koi hal bata dain plz
Answer: Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah (parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega) .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).
Question: Sallam.........meri shadi ko do sal(2 years) ho gya hain lakin abhi tek ma aulad ke namat se mahrom hoon...........plz mera liya sub duaa karain or koi wazifa batayain taka ALLAH mugh ko jaldi se jaldi aulad ke namat se nawaz de........
Answer: Agar kesi ka beta na ho to shohar biwi dono aik din roza rakhein aur iftar ke waqt gusl karien phir aik bar surah muzamil pani per dum kar ka pe lain inshAllaha aulad ho gi.(ref : kitab payam e shifa pg#287)