Question: salamwalikum,mera 2 sawal hai pehla yeh ke mere mom ku daibetic hai aur kidney mai stone bhi hai indono ke liye kuch ilaj batayeh aur dusra sawal yeh hai ke gorai hone kya karna aur dark circles jane kya karna
Answer: 1) sugar k mareezon k lie dua : sugar k mareezon ko chahaea k surah e bani israil ki ayat # 80 ko bila nagah taqreeban dhai mahinay tak 3 martaba subah aur 3 martaba sham parh kar pani per dam kar k pitay rehain inshallah sugar normal ho jay ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 364) 2) agar kisi k masanay me stone ho to surah alam nashrah ko likh kar dhoo kar pee le to stone nikl jay gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 200) 3) Agar chahra be’ronaq ho jay ya chahray ka rang siahi mayal ho jay to har namaz k bad 111 martaba (Allaha’hul mu’sou’wi’rul maalik) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i am 40 yrs old.my hairs r falling fastly.can u give me any wazifa for it.thanks
Answer: Agar kisi k sar k baal ghir rahay hoon to surah e aal e imran ki ayat # 135 ko parhtay hwa baaloon per ingulian phairay to baal ghanay ho jayen gay. (Ref : kitab naway e sawlaheen pg # 386) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam u alykum, sir (( Dua e tawassul )) kon c dua hy
Answer: Dua tawassul nayahat jaleel ul qadar aur jald taseer qabool karnay wali dua he jis maqsad k lie parhi jay foran qabooliat k asraat zahir hotay hein. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 40)
Question: mjeh apni pasand ki larki se shadi karna hai par mere parents nahi maan rahe koi aise dua ya wazeefa batayen k woh jald se jald man jae mai bht pareshan hoon plz
Answer: 1) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah (parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega) .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).
Question: meri age 25 hay mera koi acha rishta nahi arha is silsely m ghur wale bht pareshan hay wese bht masail hein par yeh masla bht tension de raha hay
Answer: 1. book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki k liye kaheen se koe rishta na aaraha ho to Quran k Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. (REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18. ) 2 .Hazrat moosa (a.s.) ne apni shadi k lie surah qasas ki ayat # 24 (rab’bi in’ni . . . . . . faqeerun)ki tilawat ki thi k in ki shadi ho gye lihaza mard apnay lie aur aurat apnay lie parh sakhte he. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 3. sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mara masla hai ka mujay ikhtaram bhout hota hai jis ke wajay sa mein bhout perashan ho . mein namaz be nahi per sakta.
Answer: 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me muhtalim(yani sotay main mani ka nikalna) na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ehtilaam se amaan me rahe ga, Dua ye he (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BIKA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LAA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAM). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya main, mutarajjim allama akhter abbas sahib, pg # 124). 2) Surah e at’tariq k khawas me he k sote waqt is ko parh k ethilam nahi ho ga. (ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) . 3) Fuqaha fermatay hain k namaz kisi halat main bhi saqit nahi hoti.iska matlab ye hay k nah safer main saqit hoti hay or nah ghair safer main…………..gharz jahaan bhi hoon wajib hay namaz ko ber waqt baja lain.( Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah # 64). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir ..ma bhot pareshan hun m student and ma pak apny country jakey parhna chahti hun mere father ready hen bt bhai pls mje koi esa wazifa ya dua btaden k sub razi hojen mere addmission p..pls pls m waiting
Answer: Jab koi ilmi mushkil ho jay to wazu kar k 2 rakaat namaz e hajjat parhain aur khuda se mushkil k hal k lie dua karain, inshallah band darwazay khul jaien gay. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 215) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamun alaykum, mera ladka 8th standard mein study karta hai waise uska result achchha ata hai magar is saal 1st & 2nd test mein fail hua final mein kamiyabi ke liye koi guidance dijiye plz... wassalam
Answer: Emtihaan main kamiyaabi k liay ye bohat asar wala wazeefa hay.emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay.ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri shadi ko takreeban aik year hone wala hai husband ko koi interest nahi mjh men,echi married life nf buche k liye wazifa bta den
Answer: Mian biwi me mohabat k lie : 1. Riyawat me he k agar sohar aur biwik darmian ilfut o mubahat barhani ho to is Mubarak ism ko (Al wa’dood) ko 1001 bar kisi mithi cheez per parh kar donoo ko khanay ko dia jay to inshallaha zaroor bahimi ilfut wo mubahat paida ho jay gi. aur ikhtilaf khatam ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 83) Aulad k lie : 2. Agar ap ko aulad nehi hay to ap aur aap ki biwi dono aik din roza rakhain aur iftaar ka waqt gusl karain phir aik baar surah muzammil paani per dum kar k pee lain inshallaha aulaad ho jaay gi.(ref : kitab payam e shifa pg#287). 3. Agar baangh aurat 7 roz rozay rakhay aur pani se iftar karnay k bad 21 martaba (Ya baa’ri’o) parhay to inshallaha osi aulad e narina naseeb ho gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 330) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: karza boht ho ge ya ha.or boht pareshan han. or karobar me mushkelat ka samna ha.ham jo kam karna chte han wo nahe hota.
Answer: Qarz k lie : 1)Agr ap qarz dar hain aur rizq ma ziadti chata ha to surah e al adiat 110 times perhain inshallaha bohat faida ha ga.(ref : kitab payam e shifa pg # 231) 2)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur iqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo dar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he.(ref : kitab payam e shifa pg# 147) perashani k liya : 3)Surah e Ahqaaf 3 bar parhein. Musibat tal jaay gi. 4)Har qism ki perashani k liya surah e Mubarak e An’aam ki ayat no 17,18 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr say pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallaha faida ho ga. (ref : kitab payam e shifa pg # 217 , 221). Rizq k liya : 5)Moula Ali a.s. ka irshad he: “sadqa de kar rizq hasil karo”. Dosray maqam per Moula Ali a.s. ka irshad he : “jab faqir ho jao to Allaha se sadqe ke zarie tijarat karo” (ref : kitab payam e shifa pg# 236) 6)wos’at e rizq aur rozi k lie surah e qaaf 3 bar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)