Question: agr kbi wazifa padte ho or kisi din bhool gye padna to kya krna chaiye ya kbi choot jaye to kya kre
Answer: Wazife ke asar ko haasil karne ke liye us ko batae howe tariqe se pharna hoga, kunke ALLAH GAFOOR O RAHEEM ne apne tak aane ke liye raaste o asbaab muayan keye hain. (ALLAH toofeeq main izafa farmaae)
Question: Janab koi wazeefa bata dain jiss say jadoo or taveez say bach sakay,,meray khilaf koi jadoo or taveez kar raha hay mujay aisa lagta hay ,, nawazish
Answer: 1. Janab e Imam e zamana (a.s.) se mankool he ke dushmanoo ke dur karney, un ki rusvei, sahar(magic) ko be asar karney aur maqasid e deni aur dunyaei pura honay ke lie dua saba’sab bari afadiat rakhti he. ref kitab wazzif ul abrar pg no 121) 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jinab grami e mohtram meray rozgar ka lia dua kerain ALLAH ap ko is ka ajer de
Answer: 1. Moula Ali a.s. ka irshad he: “sadqa de kar rizq hasil karo”. Dosray maqam per Moula Ali a.s. ka irshad he : “jab faqir ho jao to Allaha se sadqe ke zarie tijarat karo” (ref : kitab payam e shifa pg# 236) 2. wos’at e rizq aur rozi k lie surah e qaaf 3 bar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227) 3. Jo har bad e namaz e fajar (Al wah’hab ) parhay ga inshallaha jald doulat mand ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri shadi ko 2years hogai or 6months se try krhe hai par aulad nai horahi koi wazefa batain or apne roza rakh k jo ghusl ka bataya hao wo iftar se pehle ghusal karna hai ya iftar k baad
Answer: 1. Sheikh baha’e farmatay hein jis aurat ko hamal na hota ho ye ayat haroof e mo’qat’te’aat(alag alag harf) main likh kar aurat k pehlu me baand dain hamila ho jay gi. Sheikh baha’e farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar di sab hamila ho gaeen. surah e ra’ad(sorah# 13) ayat # 31 (wa lau an’na . . . . . . . .jamee’an) (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283) 2)Iftaar k waqt rija e matlobiyat ki niyat say gusl karain.(ref : kitab payam e shifa pg#287).
Question: ek ladki hai jisse main bahot pyaar karta hun. wo v mujhse bahot karti hai lekin hamesha wo beparda ghuti rehti hai aur baat v nahi maanti hai. oonko samjhata hun to wo samajhti v nahi hai ab main kiya karun.
Answer: 1)Aisi larki se shadi karna jaiz he jo pardah ki pabandi na karti ho magar osay is ghunna se rokha jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 106, pg # 53) 2) wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mara rishty ka masla hay hum dono aek dosery ko pasend kerty hay per baat nahi bentai hay wazeefa ya dua betey jis say hum dono ki mangni ho jaey pesand
Answer: Note : Is website per fiqah e jaffari k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ans : 1)kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). Wazifay : 2)Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 3)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 4)larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
Question: me apni man pasnad shadi karna chata ho or who out of cast ha na uskay ghar wallay man rahay ha na mere to mujay kuch assi cheez btaye jiss say mera masla hal ho sakay sukhriya
Answer: 1. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 2. larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) Note: wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSLAM U ALAIKUM SIR MAIN aap sa yaaa pochna chahta hoon ka meri ami bemaar rhta hai un ko pehla falij left side per howa tha un ka liya koi dua ya surat btaye
Answer: Jab khabi kisi momin ko koi marz la’hak ho jay to marz ki jigha per hath rakh kar surah e bani israil a.s. ki ayat no 82 parhain to beemari kaisi hi q na ho inshallah door ho jay gi. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASA. Koi taweez ya wazeefa inayat farmayen keh mujhe Pakistan say bahir kisi boht koi boht achi si job mil jaye ki main apnay tamam dependants k faraiz ada kar sakoon
Answer: Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. wos’at e rizq aur rozi k liay surah e qaaf 3 baar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227)
Question: Assalaam alikum varahmatullahi vabarakatuhu moulana mujeh naukri nahi aa rahi hai aap mujah par meharbani farmakar koi aise wazifa batlade ke muheh jaldi se jaldi naukri aajaye Assalamu alikum
Answer: Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. wos’at e rizq aur rozi k liay surah e qaaf 3 baar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227)