Question: muje arabic likhna nhi aata to me surah e ahzaab hindi me likh sakti hu?
Answer: Photo copy kerwa lain ya kisi say arbic mai likhwa lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.O.A mera sawal yeh hay K aap jo wazaif logon ko batatay hain . kya koi dosra bhi jis ka masala wohi ho . kya wo bhi wohi wazifay ker sakta hay . jazz Allah
Answer: Gee haan ye tamam afraad k leye hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mry muh pe bht baal hain plz koi dua ya wazifa btain mri age20 yearz hai
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke
Question: ASSALAMO ALEKUM MERA MASLA YE HAI MUJHE PISHAB KARNE K BAD PHIR DUBARA 5 MINT BADPISHAB ATA HAI AP KUCH HAL BATAIYE MUJHE
Answer: Wssalam o alykum, Aik khoraak main 6 masha haldi pani k sath phankain. Or cheeni se perhaiz karain. (Ref : apna dawa khana , topic # ilaaj ba-zaryaae haldi pishaab ki ziyaatti , pg # 22 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Aslam walikum sir mera ek purana dost he jis se mene frindship tor de wo mera boht axa dost tha lekin ab wo nhe he ab mjhe boht pareshan kr rha he is k lye mje koi acha sa hal btao ta k m us se door reh sakon or wo mje yad b nhe kre.
Answer: Wssalam o alykum, rozana 100 martaba her namaaz ke baad ya Raheemo pharye. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 276).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Meray muh pe bht baal hain mri age 20 yearz hai plz koi wazifa bta dein jis se ye kam ho jain.plz help me
Answer: Market main chehre se baloo ko saaf karne wali bohat ache achi creams aa rahi hain, pehle un main se koi ik achi cream le kar un baloo ko saaf karian, phir is wazife per amal karain, Allama Bahaao al Deen aamli ne likha hai ke ager koi kesi hi haajat rakhta ho to (apni hajat ko ALLAH TAALA ke saamne pesh karte howe) shab e jumma is duwa (laa ilaaha illallaho bi awonika wa qudratika, laa ilaaha illallaho bi haqqika wa hurmatika, laa ilaaha illallaho farajan farajanii min amree farajan wa makrajan rabbana yaa arhama al rahemeena)ko 41 dane gandum lekar her ik per ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahaan tak ke sab daane parindee khaa jaain , ager haajat pori na ho to beshak muje bura bhala kehe. (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: apni ankhon ki hifazat kesi ki jay means kis tarah say gunah say bachaya jay ????????????
Answer: Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba
Question: Mujhe wazifa batain zalim mard k liy,jis ne Mujhe Mara ho bht logon k Samne.
Answer: 3 martaba raat dakhil hone ke waqt or 3 martaba subha dakhil hone ke waqt kehiye ke subhana allahi mila al-mizaan wa muntaha al-hilm wa mablaga al-rizaa wa zinata al-arsh to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ko us per gaalib kare ga. (Ref : mafaati ul jinaan , fehrist e baqiyaat e salihaat , topic # dushman per fatha pane ki dua , pg # 467). Note Hazrat syed ul abedeen Ali ibn e Husain ibn e Ali ibn e Abi Talib (a.s) ne farmaya ke takleef ponhchane wale ka haq ye hai ke tum us ko muaaf kar do or us ko aziyat ponhchane se baaz raho. (Ref: Man la yaahzuro ho al-faqeeh, pg # 406 , baab # al-huqooq , riwayat # 3214 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: plz mujhe apne office ki boss ke tabdli ka wazifa bataen
Answer: sura e malik ki aayat no 3-4 ko likh kar taweez bana kar pehan to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ke liye behter kare gaa.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 125 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: parents ki lambi umar ke liye koi dua batayen????
Answer: IMAAM SADIQ(a.s) se ik riwayat mansoob hai, jis main se ye hai ke ager tum apne azeez o aaqaarib or apne doostoo ki lambi umar chate ho to her naamaaz ke baad is duwa ko pharoo or ager chahoo to apne ik ik doost ka naam lena. Duwa ye hai, allahuma salli ala Muhammad wa aale Muhammad, allahuma inna rasoolaka alsadiq almusaddiq salawato ka alyhi wa aalehi qaala innaka qulta maa taraddadtu fii shyin ana faailoho ka taraddudii fi qabzi rohi abdii al momin yakraho al mota wa akraho masaataho, allahumma fasalli ala Muhammad wa aale Muhammad wa ajjil liwaliyeka al faraja wa al aafiyata wa al nusra wa la tasuh nii fi nafsii wa la fi waliday.(Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaniyoo ka hal , pareshani # 12 , pg 13 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).