Question: kia orat chalees din ka wasifa kr sakti hai aur agr wasify k doran periods hogaye to kia wazifa toot jaye ga.is bare me kia karna chahiye??
Answer: Ager wazife se mutaalliq cheezain haiz per haraam cheezoo main se na ho to 40 din ka wazifa kar sakti hai matlb k agr ap k wazeefe ka amal aysa hai jis men wo kaam anjam dene parte hen jo k haiz k dinon men jaiz nahi hen to to phir wazeefa anjam nahi de sakti jese agr wazeefa kisi namaz pr mushtamil hai to chonke namaz haiz k dinon men jaiz nahi hai is liye wazeefa jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 448 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Sallam o Alikum sir mai ny inter k paper diye howy hain or mainy ap sy sawal karna hai k mai bhr k liyee try kar rha houn mera visa lag jaye koi mushkil na ho visa mai sir ap ke meharbani ho gi k mera visa asani sy lag jaye .
Answer: Allama bahaao al deen aamli ne likha hai ke ager koi kesi hi haajat rakhta ho to (apni hajat ko ALLAH TAALA ke saamne pesh karte howe) shab e jumma is duwa (laa ilaaha illallaho biawonika wa qudratika, laa ilaaha illallaho bihaqqika wa hurmatika, laa ilaaha illallaho farajan farajanii min amree farajan wa makrajan rabbana yaa arhama al rahemeena)ko 41 dane gandum lekar her ik per ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahaan tak ke sab daane parindee khaa jaain , ager haahat pori na ho to beshak muje bura bhala kehe. (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: agr koi chez gum ho jay to kiya karna chaiy islam main ?koi qemati chez wagra ?voilet ya sona wagra ? kiya ISTAKHARA is k liay sehi wazifa hai ?
Answer: Fawaaid-ul-quran men Ameer-ul-Moimneen a.s ka irshad hai k gumshuda k liye Quran majeed ki surah Noor ki ayat#40 ki tilawt krne se gumshuda cheez chand dino k andar mil jaye (Ref : Naway_e_salaheen,pg#357). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aasalm o alikum mera sawal ye hai meri magni ho gayi hai 2 saal ho gaye hai .ladke wale jaldi kar rahe hai .lakin humere ghar me intazam nahi ho pa raha hai .pls aap kuch wazeefa muj bta dijiye jo me padlo aur humeri muskil asan ho jaye.
Answer: One who recite 686 times bismillah
Question: Assalam alekum mere .Bhai ko jaban ke niche cencer he koi ilaj batayen
Answer: Tamaam bemario sy shifa k leay agar mareez k kaan main surah e mominoon surah # 23 ayat #115 to 118 parhi jaey tou hr qisam ki bemari khtm hojaegi.(Ref : book payam-e-shifa pg # 214) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meri sister ko safed daag h abhi starting kaafi km h abhi 5-6 hi h kuch face pr h kuch body pr h plz kuch tips de jisse daag chle jaaye
Answer: Aik piyalay mai pani le kr 40 baar surae al-hamd parhain aur usy apny face par chirak lain roz thora thora 7 din tak.(ref:book payame shifa,pg#208). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: meri amme ko khareb2saal se taklif hai ynhe khana khai nahi jaara aur un ke pat me dard hora is waja se un ko kamzori hogai hai aur unka pet phol gaya hai aap ki badi maherbani hogi is ka ilag bate
Answer: sorah e yaseen ki ayat#58 ko 319 mertaba tilawat karain, insha Allah bemaar ki shifa hasil hogi.(Ref: Naeemul amaal, pg#313)
Question: Doodh me azafay ki dua bata dain please . Shukria
Answer: Agar surah e nahal(surah#16) ki ayat#66 ko pani par parh ker aurat pani pi lay tou uska doodh ziada hojaey ga.(ref:book payame shifa,pg#284).
Question: Salaam, janab me bhut parexhan hon mjhe bhut hi ghatiya gande khayal aate hen in se kaise bacho me namaz me kam k waqt har jaga me thak chuka hon is cheez se plz help me.
Answer: Wssalam o alykum, Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, har raat ko sone se pehle Sura Yaaseen ki tilawat karye. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Aoa mujhy hr waqt mout ka khoof rehta hy....mein buht darh jatihn lkin ab yeh khoof km hi geya hy...btab mere kaan sy awazein ati hn...plz meri help krein...mein buht pareshaan hn is masly ki wajah sy
Answer: Wssalam o alykum, rozana raat ko sone se pehle Sura e Yaseen ki tilawat karain.(Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).