Question: Asslam-o-Alaikum sir mera masla ye hai ky ma bhenga hu or mery phathu ma bhi kamzori hu gay hai jis ki waja sy meri gardan hilti rehti hai plz is ka ilaj btay
Answer: Tamaam bemario sy shifa k leay agar mareez k kaan main surah e mominoon surah # 23 ayat #115 to 118 parhi jaey tou hr qisam ki bemari khtm hojaegi.(Ref : book payam-e-shifa pg # 214) Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bemari ke surat mein roza torna
Answer: Agar kise ko koi aise bemari ho k use buhat ziyada piyaas laghte ho aur wo piyaas bardaash na kar sakta ho ya piyaas ki waja se use takleef hote ho to is per roza wajib nahe hai. laikin dosere surat me (yani jab piyaas ki waja se ise takleef hote ho ) to zarori hai k har roze k awaz 750 gm faqeer ko de aur agar baad me roza rakhene k qabil ho jaay to zarori nahe hai k in ki qaza baja laay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1698). Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.o.A Mara name akbar ha Orr manna apna 10class k paper Dia han Lakin mujha tension ha k mara acha marks nahi ain ga to app koi wazifa bata Dan ka mara acha marks aa Jain.
Answer: Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249) . Update on dated 04-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa Sir mein ne abhi 12 k exams diye hain mein apni agay ki parhai k liye australia Jana chahta hun plzz aap mujhe koi aisa wazifa batye jissey parhnay se mujhe merry maqsad mein asani aur kamyabi naseed hoo
Answer: Jo koe kisi hajat k liay surah yaseen ki ayat #40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure ho jaey gi. (Ref: payaam shifa, pg: 249). Update on dated 28-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslaam Waalekum , Sir mujhe har 4-5 din par kabhi to regular Nightfall ho jata hai mai bahut pareshan hun namaz padhne bhi pareshani hoti hai kya karun.
Answer: Tamaam bemario sy shifa k leay agar mareez k kaan main surah e mominoon surah # 23 ayat #115 to 118 parhi jaey tou hr qisam ki bemari khtm hojaegi.(Ref : book payam-e-shifa pg # 214). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir meri tbeyat bht khrab rehti hai or aisa sirf rat ko hota hai aisa lgta hai jaisy jado ka asar ho es k ilawa zindgi mn hr trf tensions he tenshions hain plz meri rehnumai frmaien.
Answer: Jo koe kisi hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249). Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa! Mera sawal hai k mujhe 3 din sent kmr Mae neechae sakht drd hai or pait Mae b to kia yh hamla honae ki nishani hai??
Answer: Aap is silsilay main doctor se ruju karain. Update on dated 11-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aisa tareeka btain jis se ALLAH mere dua quboolkr le or mjhe pta chl jaye ke mere dua kubool ho gai hai
Answer: Dua e tawwsul perh ker dua karain, insha Allah aap ki dua qobool ho jaey gi. (Ref: Naemul amaal, pg#40). Update on dated 03-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AoA sir ma jo parh rhaa hun us ma bht mushkilat a raen hain bht time say, meray sath walay bht agay pohanch gaey ur ma wahen k wahen kahara hun kch log hain jo jadu etc krtay hain plzzz icka hal bata dain kia kya jaey
Answer: Aap (ya muqtadir) ka wird ziyada kia Karen. (Ref: Nawa e saliheen, pg#294). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslamo aly koom please help me I m feelung high sexual desier and marraiage is not possible in near time please give me any dua for sabar and control my desier.
Answer: Shaitani waswaso or bure khayalaat se mehfooz rehne k liay har namaz k baad or raat ko sone se pehle sorah mominoon ki ayat#97,98 ko perh lain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg#335). Update on dated 30-12-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).