Question: ghar par buri nazar lagi ho to kase jaane or uske upay bataye
Answer: Agar koi ye ayatain fajar ki namaz k baad 11 martaba pani par dum ker k pee lay tu buri nazar say mehfooz rahay ga. Surah e furqan ayat#45 Surah e hajj ayat#5 Surah e fatah ayat#29 Surah e qalam ayat#51,52. (Ref:book nawaey saleheen,pg#327). Update on dated 30-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mein ne menses k related pochna tha k mere menses late ho jate hain r aksr to aik month miss ho jata hai bheech main...mein 17 years ki hun r mjse ghlti b hui h jske bad meri cycle disturb hona shuru hui...plz help me as soon as possible
Answer: Khawas e qurani me warid hua he jab aurat ka khoon e haiz band ho aur is k ba’is aurat taqleef me ho to sorah alhaaqa ki ayaat no 13 sy 16 (wa eiza nu’fi’kha fis soori naf’khatan wa’hi da tan wa humi la til arzu . . . .. . . . . wa’hieatan)aik tambe ki takhti per mangal (Tuesday ) jab qamar ( moon) bruj e aqrab me ho naqsh karein us aurat aur us ki maa ka naam kunda kara kar us takhti ko pani me dal dein aisi nadi k pani me jo rawan ho phir khabi haiz ki shakiat nahi ho gi (Ref : kitab makhzan e amaliat, Mafhoom e pg # 111) Update on dated 13-02-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam.Mirchi sai nazar utarna Kia Sahi Amal Hai???Kia iski koi Islamic value Hai???
Answer: Jaiz hay lekin us ki koi Islamic haisiyat (value) nahi hay ,magar nazar utarny kay liay sorah falaq or sorah naas parh ker dam kia jaey. (Ref: Nawa saliheen pg#17). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir kindly mujai Naaf ka nichy kharish hai mtlb rashes hai or un py kharish bht hti hai so kindly mujai Koi Ayat bta dye jo dum kr ka pee lia krun yan koi medicine Answer jaldi dye da plz
Answer: Khaarish k liay ghandak k powder ko sarso k tail mai hal kar k maalish karna mufeed hai.(Ref: Naway e saliheen pg#305). Update on dated 03-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Many kuch time pehly kuch galat kam kiya thy or fr un sab kamo sy toba b kar li magar mujy akser yahi dar laga rehta hai k mai kisi masla mai na phas jao. is k liye mujy kya karna chahye
Answer: Jo shaks sorah e dehar(sorah #76) ki baqaidgi se tilawat akare ga os ka zareeb nafs qawi ho jaey ga.(Ref: Dunya o aakhirat ki 100 pareshaniyo ka hal,pg#9). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mje wazefe K bare Mai jana hai krne chye ya NH qk suna hai uske muakil tng krte hai bd mai mje ye jana hai jayz maqsad K lie jo wazfa kare to uske mukil tng tu NH krenge
Answer: Qurani ayaat or riwayaat se kiay janay walay wazifay main kisi mokil ka amal dakhal nahi hota lehaza bila khoof o khatar ye wazafy anjam diay jaa sakte hain. Haan jadu tonay kalay shaitani wazifa kerna bhi haram hay or or os k anjam bhi kharab hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#2, maslah #23). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meri wife ki ridd ki haddi tedhi ho gai hai (Internal Os closed. Cervical length is 49mm) maine delhi me doctor ko dikya but doctor bol rha h iska koi ilaaj nhi hai kya aap koi suggestion de skte hain mujhe iske lie kya krna hoga.
Answer: Hazrat Imam jaffer Sadiq a.s. ka irshad hai k Jo shaks “ لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم ” parhay to khuda is sai 70 qism ki beemarian door kar deta hai. (Ref : Kitab payam e shifa pg # 210) Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mn nafs parsti mn mubtila hn Kya ap koi wazifa bta sktey hai is se mehfooz rhny k lye
Answer: Jo shaks sorah e dahar(sorah #76) ki baqaidgi se tilawat kare ga os ka zaeef nafs qawi ho jaey ga.(Ref: Dunya o aakhirat ki 100 pareshaniyo ka hal,pg#9). Update on dated 28-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dua e tawassal kion perhi jati he
Answer: Allama majlisi ne farmaya he k baaz moaatabar kitabo me mohammad bin babwiya se naqal kiya gaya he k unhone is dua-e-tawssul ko aemma a.s se riwayat ki he aur unhone kaha k is ko mene kisi maamale me nahin padha magar us ki qabooliyyat ka asar bahot jald paya.( Ref: https://urdu.duas.org/imammahdi/dua-tawasal.htm) [Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha sahib,ya Ali A.S madad.kuch log Meri jaan ke darpae Hain,mujay jaan see Mar daina chahaty Hain aur Mera peecha kartay hain.plz koi amal bà tain k un is jaan choot jaey.
Answer: Dushman ki halakat pane k liay dua e jishan e sagheer ki talawat kia karain.(Ref: Kuliyaat e joshan e sagheer, pg#190) [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]