Question: allama sahab mera sawal ye hy k roshan pur waqar pur kashish or pur noor chehry k lye koi amal bta dyn koi a c dua k jis sy meri shakhsiyat purnoor or pur waqar ho
Answer: Agar chahra be’ronaq ho jay ya chahray ka rang siahi mayal ho jay to har namaz k bad 111 martaba (Allaha’hul mu’sou’wi’rul maalik) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslam, mai aap se pochna chahti ho mere shohar se bante nahi. do din thik rehte hae pher dono me jhagde ho jade hai mai aapni taraf se pore koshish karti aisa na ho lekin patanahi kyu aise hota.aap mere lia dua kijeye aur aayet padhne k lea dejeye.
Answer: 1. Agar mian biwi apas me naraz hoon to surah e muzzamil ko 3 bar sharbat per parh kar pila dein to aik dosray ke dost aur meharban ho jain ge. (ref : Kitab payam e shifa pg # 287) 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sallam. Mera naam shehzadi sadaf hai. Main jis larke se shadi karna chah rai hn usk papa ni maan rahe. Uski ami aur baqi ghar walay raazi hain. Please meri madad kare
Answer: 1. larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) 2. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
Question: sallam. Mera naam shehzadi sadaf hai. Main jis larke se shadi karna chah rai hn usk papa ni maan rahe. Uski ami aur baqi ghar walay raazi hain. Please meri madad kare
Answer: 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3. larki , waldain ya larka har mah ki no’chandi jumarat ko bad az namaz e eisha (ya mou’ti) ko 11000 martaba aik hi bar parhain to matloob rishta hasil ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 406) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: my son lost his job and we are very very worry, what should i do, please let me know some wazifa for job.
Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain..(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4. Moula Ali a.s. ka irshad he: “sadqa de kar rizq hasil karo”. Dosray maqam per Moula Ali a.s. ka irshad he : “jab faqir ho jao to Allaha se sadqe ke zarie tijarat karo” (ref : kitab payam e shifa pg# 236) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Question: Asslam o lakuim ashfaque ahme Mujhse meri or meri wife se meri mother jahgra karti h koi b wazeefa battao pakistan ,lahore
Answer: Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e maraij ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: please can u advise of a dua/or surat for reducing blood sugar thanks
Answer: Sugar k mareezon ko chahaea k surah e bani israeel ki ayat # 80 ko bila nagah taqreeban dhai(2.5) mahinay tak 3 martaba subah aur 3 martaba sham parh kar pani per dam kar k peetay rehain inshallah sugar normal ho jay gi. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe koi wazeefa ya amal bataye jis se chehre per khoobsurti aye zabardust
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamalakum mai yeh kehna chahti hoon kai chehray ki khubsurti kailiay konsi duwa hoti hai bata dain shukriya