Question: SIR ROZ RAT KO EHTLAIM HOTA HA
Answer: Jab aap raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se aman me rahe gay, Dua ye he ïºï»Ÿï»Ÿï»¬ï»¢ ïºï»¨ï»° ïºï»‹ï»ïº¬ïº‘ﻚ ﻣﻦ ïºï»»ïº£ïº˜ï»¼ï»¢ ï»® ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ïºï»»ïº£ï»¼ï»¢ ï»® ﻣﻦ ïºï»¦ ï»´ïº˜ï»¼ï»‹ïº ïº’ï»° ïºï» ﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ïºï» ﻴﻘﻇۃ ï»® ïºï» ﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN,NEE A,OO,ZO BIKA MI,NAL EHTILAAMI WA MIN SOO,EIL IH,LA,MI WA MIN AN YA,TA,LAA,ABA BI,YASH, SHAI,TAANO FIL YAQ,ZA,TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alaikum g Umeed kart hun ap kheriyat se hongy ... Sir mene 3 time paper diye hen achy paper diye hen pher b 3 bar fail ho geya hun ab mere pas last chance he barye meharbani hogi koi wazifa batye
Answer: 1)Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal Mafhoom e pg# 352-55) . Perhae main dil lagne k liay: 2) Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agha Kafi arsa ho gaya ha job ma taraqi nai ho rahi? aur mera beta ha har waqt chot laga laita ha? koi amal bta dein
Answer: 1-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’neeâ€ÛŒØ§ رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 2-Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Allah tala ke bare mai zeehn mai kuch galt aa Jay too Kya Karna chahiye
Answer: 1-Imam jaffer sadiq a.s irshad farmate hain keh: Jo shaks sorah e juma ko raat, din ya asr k waqt tilawat kare gat u wo shaitani waswasae se amaan main hoga. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#51). 2- Ayatullah behjat shaitani waswaso ko door karne k liay “Laa haula walaa qoowata illaa billaahil aliyil azeem†۔(لا Øول ولا قوۃ الا Ø¨Ø§Ù„Ù„Û Ø§Ù„Ø¹Ù„ÛŒ العظیم) perhne ki bohot takeeed farmate thay. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#52). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamwalium, Mein 4 5 din se bohat pareshan hn, meri ammi ko pata nhi kia hota hy itna gusa krti hain, aur jb gussa hoti hain to 4 5 din tk mein zehni be sukoon hojati hn, mein bht pareshan hn
Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 36). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hello sir, mri age 21 hy.lkn kch ghltiyon ki wja se timing kam ho geyii hy.. Please kch btayen... Dheela pan b hy.
Answer: Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain. [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم.. Mutaram sir Main shadi krna chahta hn lakin mamu agree ni o ry... Bht dfa rishta bhaija h lkn inkr kr dty hn... Koi wazefa bta dn ta k wo maan jayn.. Baki sary raazi hn..10 saal o gaiy hn unko mnaty hoy
Answer: 1-Rasool(saww) nay famaya: Ay Ali a.s surae yaseen ki tilawat kia kro,is mai 10 brkatain hain(in mai sy aik ye hai k)gair shadi shuda,shadi shuda hojaega.(Ref:book dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal pg#18) Misbaah kafhami main hay k agar kisi lerki k liay kaheen se rishta nah aa raha ho tu sorah Taha ki ayat #131-132 ko kaghaz per likh ker bataur e taweez lerki k bazo per bandh dain .. insah Allah in ayaat k tofail oski jald shadi hogi. (Ref: Naeemul abraar, pg#328-330). 2- (1)-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’neeâ€ÛŒØ§ رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). (2)-Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: دعاوں کی قبولیت کے لئے کوئی دعاء اور نماز بتائے۔
Answer: Jo koe kisi hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure hogi.( Ref: payaam shifa, pg: 249) [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: My nmaz pabandi k sath parhte hun,astaghfar or wazaif b krte hun lakin my aksar bechain rehte hun, kuch be sakoon si rehte hun,kuch kami si mehsoos hote hy.mjy koi wazifa ya amal btay plz
Answer: Apko chahiye k har namaz k bad QURAN ko apni zuban men tarjume ke sath phariye INSHALLAH apke dil ko ALLAH itminan ata farmaye, jese ALLAH ne surah_e_ra`ad ki ayat no 28 men frmaya h ke “dilon ko itminan faqt ALLAH ke zikar se hi hasil hota hai “. Rozana zawal k bad Ya Qudooso ka wird kasrat se kijye. (Ref : Nawaye_e_saliheen, pg # 276, [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum, Dr. Diagnosed me Parkinson disease, but i am required any wazeefa/ qurani amal for eliminate to this disease. wassalam o alaikum.
Answer: Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]