Question: Asalm o alkm !! Nazar lag gayee ho or uskee waja se ankhon me sakht drd or jalan uske lie koi dua ya wazifa
Answer: Dafa e shayateen aur jadogron k lie surah aaraaf surah # 7 ki ayat # 54 parhain.(Ref : Mafatih ul jinan pg # 299). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera naam Salman hai 5 saal say koi job set nahi ho rahi jise jaga kaam per jata hu kaam samjh jata hu per kaam say nikal daytay hai ya phir us jaga Dil nay lagta Kya haal hai is ka ?
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey (pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahenay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa lay aur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mujhe shak karne ki adat hai please koi hal bata dain..
Answer: Rozana subha ki namaaz ke baad jaa e Namaaz per 1000 martaba ya Allaho ka wird karain. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 279 , 283 [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir meri cat chori ho gai hAi mjy koi dua bta dy plz k wo mil jAy JAZAkALLZH.
Answer: 1)Fawaedul quran main amirul momineen a.s ka irshad hay k gushuda k liay Sorah nor(Sorah#24) ki ayat# 40 ki tilawat kerne se gumshuda chand dino k andar mil jaey. (Ref: naawey saliheen, pg#357). 2)Koe cheez gum ho gae ho tu sorah e baqra ki ayat#156 ko kam az kam 3 baar or ziyada mertaba perhay. (Ref: naawey saliheen, pg#357). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mery sath yh masla hai k mjhe apni Nazar hi lag jati hai tu docron ko kitni lagti hn gen plz mjhe is ka Hal btye k jis SE mjhe apni Nazar na lagy aur na docron ko
Answer: Dafa e shayateen aur jadogron k lie surah aaraaf surah # 7 ki ayat # 54 parhain.(Ref : Mafatih ul jinan pg # 299). [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera ghr mai meri bhen mummy say baat nai kart har choti choti baat pay naraz rehty hai aut phrr baat karna baand kardi hai mai chati hu kya sab baat kary ek dusrey say.
Answer: Agar kisi kahandan mai kisi waja say na-ittefaqi paida hogai ho tu apas mai ittefaq paida kernay k leye surah e anfaal (surah#8) ki ayt#63 ko rozana har namaz k bad 11 bar parhain. (ref:book payame shifa,pg#366) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.mai 19 years ki hun mera pait thora phool gya hai waram aya huwa hai 8 9 months hogay hain thek nh horhaa koi wazifa batayn mai bht kamzor hun lakin mera pait itna phool jata hai please mai kb s apko email karhi hn mai zaheni bht parishan hun
Answer: 1-Nihaar moonh khajoor k saath dhoodh peenay se khoon saaf hota hay or wazan (weight) main izafa hota hay.2- Hara dhaniyah (Green Coriander) ka taza ras or lemoo (Lemon) ka ras mila ker rozana subah peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) bertha hay. 3- Raat ko bhens(buffalo) k dhoodh main sabut chanay bhigo dain or subah kha lain, is se qoowat aati hay or wazan main izafa hota hay. 4- Khajoor(dates) 10 tola or khishmish( raisin) 5 tola rozana khanay se bilkul sookhay hoay aadmi k jism main naya khoon paida hota hay or bohot faida hota hay. Pakay hoay lemoo(Lemons) k ras main shehed(honey) mila ker chaatnay se motapay se nijaat milti hay. [Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum .. Meri Walida ka purse nae milraha us mein unke paise aur currency rakhi hai .. Kafi pareshan hain woh ager kuch pata chal sakay. JazakAllah
Answer: 1)Fawaedul quran main amirul momineen a.s ka irshad hay k gushuda k liay Sorah nor(Sorah#24) ki ayat# 40 ki tilawat kerne se gumshuda chand dino k andar mil jaey. (Ref: naawey saliheen, pg#357). 2)Koe cheez gum ho gae ho tu sorah e baqra ki ayat#156 ko kam az kam 3 baar or ziyada mertaba perhay. (Ref: naawey saliheen, pg#357). [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere walis bht sakht hai us larkay ke sath kabhi nikah ki ijazat ni de ge lekin me gunah se bachna cahti hu me baligh hun r abhi shadi ni hui
Answer: 1)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) 2)Wazia batanay k sath aap ko aik fiqhi mislay ki taraf bhi mutawajah kia jata hai k Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi khas university mein admission kay liye kia parha jaye?
Answer: Kisi bhi jaiz maqsad main fatahyaabi hasil kerne k liay 141 martaba perha jaey. Yaa fattaho yaa azeezo (یا فتاح یا عزیز).(Ref: Naeemu amaal, pg#312). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]