Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 17207
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Salam alaikum aagha..........Aapsey guzarish hai ki koi aisa wazifa ya dua bataa dijiye ki jis ladki ko hum chaahtey hain wo kabhi bhi Feyl e haraam (Zina) mey mubtila na ho.

    Answer: Na-mehram se muhabbat ke hawale se sharaei maslah aap ko pehle bejh diya gaya hai. Ghunah se bachne ka wazifa: Hazrat Imam Ali(a.s) irshad farmate hain ke jo shakhs namaz e subah ke baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat kare to us din wo koi ghunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref: Dunya o Aakhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #42). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17266
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Aslamoalaikum agr dimagh me islam ke bare shaitani soche ati ho or insan na chata ho ke aisi soche aye kia insan is se gunah ka murtkb ho jata ha? kindly rehnmai frma de JazakAllah

    Answer: 1: Is se insaan ghunah ka murtakib nahin hota aur ye sirf shaitani waswase hain aur shaitani waswason aur bure khayalaat se mehfooz rehne ke liye har namaz ke baad aur raat ko sone se pehle surah e mominoon ki ayat #97,98 ko parh liya karen. 2: Hazrat Imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hai or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hai. aur kasrat se "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg #335. + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. + Mafatih ul jinan, pg #208). [Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 17272
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Asalamualaikum mery zehn main galiyan ati rehti hain main bhut control krny ki koshis krti hon astaghfar b parti lekin phir b hota hai aisy

    Answer: 1: Is se insaan ghunah ka murtakib nahin hota aur ye sirf shaitani waswase hain aur shaitani waswason aur bure khayalaat se mehfooz rehne ke liye har namaz ke baad aur raat ko sone se pehle surah e mominoon ki ayat #97,98 ko parh liya karen. 2: Hazrat Imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hai or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hai. aur kasrat se "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg #335. + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. + Mafatih ul jinan, pg #208). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17291
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: How to download dua e mujeera

    Answer: Is link pe click kar ke daaen taraf download ka option aye ga us pe click kar ke Dua Mujeer download kar sakte hain. file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Telegram%20Desktop/%D8%AF%D8%B9%D8%A7%D8%A6%DB%92%20%D9%85%D8%AC%DB%8C%D8%B1.pdf [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17374
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: As per Sheikh bahai Amal for pregnancy, Please provide surah Rad ayat 31 full alphabet which needs to write on tabiz. There is confusion and i am not able to write. Please help and provide full alphabets.

    Answer: و، ل، و، ا، ن، ن، ق، ر، آ، ن، س، ی، ی، ر، ت، ب، ہ، ا، ل، ج، ب، ا، ل، ا، و، ق، ط، ط، ع، ت، ب، ہ، ا، ل، ا، ر، ض، ا، و، ک، ک، ل، م، ب، ہ، ا، ل، م، و، ت، یٰ، ب، ل، ل، ل، ل، ہ، ا، ل، ا، م، ر، ج، م، ی، ع۔ [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17394
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: sir mera sawal ye he ke pichle 2 saal se muje apni amdani men kami mehsos ho rahi hen salry bachti nai jis ki wajah se pareshan hojata yhu koi esa wazeefa jis se karaz bhi khatam ho aur ghar men barakat aajae

    Answer: 1: Surah e zariyaat (surah #51) aur surah e alam nashrah (surah #94) ke parhnay walay ke liye Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziyadti hoti hai aur is ke ahl o ayal ki rozi wasee (ziyada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. 2: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ka farman hai ke “Namaz e shab chehray ko zeba(khoob surat) aur aqhlaaq ko acha banati hai. Aur insan ko khushbo daar karti hai. Rizq ki ziyadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai, gham ko door karti aur aankhoo ko noor ata karti hai”. 3: Kitab sirrul mustatir sheikh bihaei(r.h) main hazrat Imam e Riza(a.s) se riwayat hai ke agar koi maqrooz ho or qarz ki adaaigi ki koi surat nazar nah aati ho to surah e ambiya (sorah #21) ki ayat #87 or 88 ko 442 martaba parhay to inshAllah us ke qarze ki adaaigi ki surat paida ho jaye gi. 4: Agar koi qarz daar ho jaye to surah feel (sorah #105) ko likh kar baazu par baandh lay to is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Kitab payam e shifa, pg #147,236. + Naway e saliheen, pg #347). [Updated on 27-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17494
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Quran Mein Se Mujhe ye janna hai shia jo 3 Waqt namaz padhte hai jama karke wo quran ki surah aur kis ayat se sabit zara mujhe bataye please

    Answer: Rsool e Akram s.w ne irshad farmaya "Sallu Kama Raitumooni Usalli" vese Namaz parho jese k tm mjhe Namaz prte hue daikhte ho.. Ehle sunnat or Ehkle Tashaiyyu k nazdeq yh baat musallam hai k Nabi e kareem s.w ne Baaz namazein baghair kisi uzr k Namaz mila k prhi hai.. is se yh bat sabit hoti hai k mila k Namaz prhna jaiz hai q k nabi khud shariyat btane wale hai or nabi k kam bhi shariyat k mutabiq hua krta hai.. Shio k han Zohrain or Maghribain mila k prhna jaiz hai albatta Zyada sawab in dono Namazo k juda kr k prhna hi hai.. [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17535
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Sir Mai ek aisi bimari mei mubtla hu jiska dawa asar NAHI karati koi Amal batawe

    Answer: Aayat e shifa: Tibe Aima(a.s) me Hazrat Imam Jafar Sadiq(a.s) se aik hadees bayan ki gayei hai jis me Aap(a.s) ne farmaya: Jab kabhi kisi momin ko koi marz laahiq ho jaye to marz ki jagh hath rakh kar surah bani israil ki ayat #82 parhay to kesi hi bimari q na ho InshAllah door ho jaye gi. Wo ayat ye hai: وَ نُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ ما هُوَ شِفاءٌ وَ رَحْمَةٌ لِلْمُؤْمِنِینَ وَ لایَزِیدُ الظّالِمِینَ إِلاّ خَساراً (Ref: Naeem ul Aamaal, pg #354,355). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17544
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Aoa Meri age 28 year h mery sary bhen bhaion ki shadi ho gae h mgh sy chuti bheno ki bhe ho gae h Meri shadi k ly koi rishta nae mil ra SB bohtttt preshan han agr koi ata bhe h Tou mgy pasnd e nae karta or chla jata plz bta daen koi wazifa

    Answer: 1: Misbah e kafami me hai ke agar kisi larki k liye rishta na aa raha ho to surah e taha ki ayat #131 or 132 ko kaghaz par likh kar bator e taweez apne bazu par baandh lay inshallah jald us ki shadi hogi. 2: Rasool e Akram(s.a.w.w) ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain (us me se aik ye hai ke) jin ki shadi nahin huei hai wo shadi shuda ho jaaye gi. (Ref: Naeem ul amaal, pg #325. + Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshaniyon ka hal, pg #18). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 17613
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Assalam o Alaikum sir mera rishta nhi ho rha 3/4 jaga baat huwi lekin baat nhi ban pa rhi or mujhy ab eik larki pasand ayi jo k ghr walon ne dikhayi ab to wahan b baat nhi ban rhi to mujhy kia krna chahiye jo larki mujhy pasnd hy us se mera rishta ho jaye

    Answer: Surah aale Imran ki ayat #73,74 ko larkay ke baazo(arm) par baandh diya jaaye aur nikah ka paighaam bhaijain to Inshallah paighaam qabool ho jaaye ga. (Ref: Naeem ul aamaal, pg #323,324). [Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!