Question: People suppress me so much just on the basis of doubts! They talk so negatively about my weight n my body, I am so worried what should I do
Answer: 1: Wazan kam karne ke liye: Pakay hue lemoo(Lemons) ke ras main shehed(honey) mila kar chaatnay se motapay se nijaat milti hay. Tareeqa: Pakay hue lemoo(Lemons) ka ras 2 1/2 tolay aur shehed(honey) 20 tola lay kar thorhay se garam pani main milain. Khana khanay ke fauran baad ye pani peenay se 1, 2 maah(month) main motapay(fatness) se nijaat mil jati hay. 2: Tulsi ke patay aisay hi chaba lain ya inhain chaach main mila kar khanay se wazan(weight) kam hota hay, jism main charbi(fats) kam hoti hay aur jism mutanasib hota hay. 3: Neem garam pani(half boiled) main shehed(honey) mila kar subah nihaar monh peenay se charbi(fats) main kami hoti hay. Haathi jaisa aadmi bhi is ilaaj se dubla ho jaata hay. [Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak ka bohla howa para kesa yad kara
Answer: Motabar riwayat ke mutabiq surah e taha ki ayat #25 se 28 ko har roz 3 martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qala qama karti hai aur hafizay ko qawi se qawi tar banati hai. (Ref: Naway e Salaheen, pg #326). [Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, main India se hu. Maine islam kabool kiya hai, agar main gher pe namaz padhu to kon se waqt pe namaz ada kerni chiye?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Subah ki namaz ka waqt: Subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai, us waqt parhni hogi aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. 2: Zuhar aur asar ki namaz ka waqt: Namaz e zuhar or asar ka waqt zawal e aftab se ghuroob e aftab tak hai. aur ghuroob e aaftaab (yani maghrib) se pehle zuhar or asar dono parhi jaa sakti hain. 3: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt: Suraj ghuroob hone ke baad mashriq ki taraf se jo surkhi namoodaar hoti hai jab wo surkhi insaan ke sar ke upar se guzar jaaye to wo maghrib or isha ki namaz parhi jaa sakti hai. Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs ke liye aadhi raat tak rehta hai. lekin jin logon ko koi uzr ho maslan bhool jaane ki wajah se ya neend ya haiz ya in jaise dusre umoor ki wajah se aadhi raat se pehle namaaz nah parh sake hon to un ke liay maghrib aur isha ka waqt fajar tuloo hone tak baaqi rehta hai. 4: Ghar me bhi namaz parhi jaa sakti hai magar Islam ki muqadas shariat me buhat taqeed ki gayei hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid mai jana mustahab hai jahan log kam aatay hon aur agar koi shakhs masjid ke paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi nah ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718,723,724,729,880,883). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Waqt e wiladat imam e zamana ki dayn bazoo PR konsi ayat likhi hoi thi
Answer: Surah bani israil jis dusra naam surah isra hai is ki ayat #81, Imam e Zamana(a.j.t.f) ke dahine bazoo par maktoob thi. (Ref: https://risalaat.com/?p=4762 ). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir muje 2 saal se jiryan ka masla hai timing bhi bohut kam hai aur sakhti bhi plz koyi medicine prescribe kare bohut elaj kiya lekin fayda nahi howa
Answer: Is ke liye "Damiana Q Mother Tincture" medicine istimaal karen buhut mufeed hai. tafseel ke liye diye gaye link par click karen. (Ref: https://www.masoodstore.com.pk/products/damiana-q?_pos=2&_sid=afc97a76e&_ss=r&variant=43391722422510 ). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek hi waqat me konsi surat nazil hui
Answer: Surah kausar, surah ikhlaas, surah falaq o naas waghera mukammal naazil hue aur pehla mukammal nazil honay wala surah, surah fatiha aur aakhri surah, surah nasr hai. (Ref: https://www.facebook.com/1458805284359296/photos/a.1459614837611674/1667788550127634/?type=3 ). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir me out off country Jana chahte hu par Mera Kam ni ho raha koi kehta Jadu or bandash ki Gai hai AP Kuch btain kis Tara ye bandash khatam kijay
Answer: Dua e sabasab ko jadu batil karne ki niyat se aadhi raat k baad parhna munasib hay. Ye dua buhut jaldi asar karti hay. jin afard par jadu kiya gaya hai wo agar is Dua ko parhen to Inshallah un par se jadu ka asar batil ho jaye ga. (Ref: Tohfat-ul-Awaam, pg #414). [Updated on 18-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhy piles hai main rozey bhi Rakh raha hn or namaz bhi parh raha hn or ye bhi yaqeen rakh raha hn k piles shayad 30 rozey tk thek hojaye to Kya piles main Meri tbiat main rozey se behtri aayegi Kya main thk ho skta hn
Answer: Tabiyat me behteri aana ya tabiyat ka theek ho jana ye to ilaaj o mualijah, dua aur Allah taala ki jaanib se shifa (yaqeenan shifa dene waali zaat Allah taala ki hai) dene par munhasir hai, Albatta namaz aur rozay ki panbandi karna, isi tarah ke doosre amaal baja lana ye to un wajibaat me se hai ke jin ka Allah taala ne hukum diya hai aur jaan bhooj kar in amaal ko tark karne se mana farmaya hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30). [Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dua e iftetah main imam e zamana s.a k 4 lawab kia hain
Answer: "lawab" se aap ki kya muraad hai ? [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir mujhy tqrebn 10 saal sy pus cell ka msla h. Hr trah (homeo-harbal-elopathic)mdecne ly chuka hun theek hoty hain pr phr khush ursy bd dobara ho jaty hain iski waja sy jinsi kamzori bi bht zyada ho chuki koi hal nikal dy iska
Answer: (Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aap is sisilay me kisi achay doctor ki jaanib ruju karen aur saath saath mandaja zail wazifay pe bhi amal karen INSHALLAH faaida hoga. Tamaam bimariyon se shifa ke liye agar mareez ke kaan main surah e mominoon (surah #23) ayat #115 to 118 parhi jaye to har qisam ki beemari khatam ho jaye gi. (Ref: book payam-e-shifa, pg #214). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]