Question: Sir Qatro k liya koi Madison Hai to please tell me
Answer: Is hawale se hum aap ko aik wazifa dete hain jis pe aap amal karen, mazeed ye ke aap doctor se bhi ruju kar lain. Wazifa: Surah zumar (surah #39) ki ayat #67 ko qatray qatray peshab aanay ke liye likh kar mareez ki kamar main bandh lain aur zaafran se likh kar is ka paani pee lain to ifaqa hoga. (Ref: nawaay saliheen, mafhoom e pg #329). [Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamualikum, mera sawal ye hai ki allah ke 99 nam h unme se me ek nam pdhta hu jo ki al kareem hai.. to me use ya kareem padhu. Ya fir, ya kreemu padhu?
Answer: Asma husna ko parhne ka tareeqa: 1. Jab Asma ko parhnay ka iradah ho to youn shuru karen. ھواللہ الذی لا الٰہ الا ھو الرحمٰن الرحیم aakhir tak musalsal parhte jayen. har naam ke aakhir par paish parhen aur usay agay walay naam se mila kar parhen. jis naam par saans toot jaye us ko nah milaain. is se agay ka naam al ke sath shuru karen . 2. Har naam ko shuru mein al ke sath aur aakhir mein waqf kar ke alag alag bhi parh satke hain. (Ref: https://www.facebook.com/AlKhizraNashriyat/photos/a.1035936373094572/2366604976694365/?type=3 ). [Updated on 01-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mare umar 15 sal ha or mujhy roze ehtlam ho jata ha or mujhy madrisa sa chote karni parte ha plz tel me ma surah tariq b sunta ho par phir b hojata ha
Answer: Wazifa: Sonay se pehlay ba-wazu halat me surah-e-meaarij ko aik martaba parhen aur surah-e-noor likh kar takiye ke nichay rakhen to Ehtilam sei mehfooz rehen gay. (Note: Aap nichay diye gaye masail pe tawajjud den, aap jise ehtlam samajh rahe hain shayad wo ehtlam nah ho balke nichay batayei gayei rutoobaton me se koi aik ho. 1: Agar kisi shakhs ke badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo rutoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna hoga) lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat us me maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi. 2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain: 1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Naway Saleheen, pg #322. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mare umar 15 sal ha or mujhy roze ehtlam ho jata ha or mujhy madrisa sa chote karni parte ha plz tel me ma surah tariq b sunta ho par phir b hojata ha
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa purany s purany Asaib ko kaisy khtam kia jaay
Answer: Imam jaffar e Sadiq(a.s) farmatay hain ke jo surah e jin ki apni zindigi me kasrat se tilawat karta hai to wo jinnat aur in ke shar se mehfooz rehta hai. (Ref: Dunya o aakhirat ki 100 preshanion ka hal, pg #36). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa purany s purany Asaib ko kaisy khtam kia jaay
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya talaq rokne ka koi tarika hota hai Kay shohor na talaq desake
Answer: Is ke liye aap is wazaaif ko anjaam dain. 1: Miyan biwi ki aik dusre se mohabbat o ulfat ke liye har namaz ke bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se dono me bai-misaal mohabbat qaim ho jaye gi. 2: Kisi bhi jaiz muhabbat ke liye 213 martaba parhay. ya lateefo ya wadoodo. (Ref: Naeem ul amaal, pg #311. + kitab Naway saliheen, pg #404). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mje 3saal bad khuda ny khushi ki khbr di ha ma pregnant hu mgr ultrasound m abi bht weak pregmancy ha mje plzbtyn k kesy strong ho wazifa bta den
Answer: 1: Surah e Tariq ki ayat #1 se 7 tak likh kar aurat kamar main bandh lay to bacha saaqit nahin hoga aur sahi o saalim paida hoga. 2: Hazrat Rasool Khuda(s.a.w.w) Irshad Farmate hain ke jo Shakhs Surah Ahqaaf ko likh kar apne pas rakhe ya kisi doodh peete bache ko bandhe ya us ka paani piye to uska jism qawi hoga or saalim hoga or bache jin beemariyon men mubtala hote hen khuda ke hukum se un bimariyon se mehfooz rahen gay. (Ref: Nawaey Saliheen, Mafhoom e pg#344.+ Dunya w Akhirat ki 100 Pareshaniyon ka Hal, pg #26). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pet mein khilaya pilaya Gaya 1 sal Ho Gaya hamen uska ilaaj nahin Ho pa raha hai kaise kya Karen
Answer: 1: "Sadqa" un cheezon mein se ke jis ke baray mein buhut si ayaat aur mutawatar riwayaat mein tashweeq aur targheeb warid huei hai. Riwayat hai ke sadqa beemari ke liye dawa hai; is ki wajah se, aafat dafaa ho jati hai; rizq nazil hota hai; sadqa nematon ko lata hai; is ki wajah se, karz ada hota hai; sadqa karne se rizq mein izafah hota hai. Isi tarah Riwayaat mein hai ke sadqa sattar (70) qisim ki buraiyon ko door karta hai jin mein buri maut, beemari, jalna, doob jana, korh aur junoon shaamil hain. 2: Surah e Al-Hamd ka 70 Baar Parhna har Qisam ke Dard ke liye Shifa hai balkay har Bimari ke liye Shifa hai. 3: Har dard ke liye maqaam e dard par haath rakh kar surah e bani Israil ki ayat #105 ko 3 baar dam kar lain. isi tarah surah e Bani Israil ki ayat #105 ko likh kar apnay paas rakhnay say har qism ke dard say nijaat mil jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, pg #601,602. + Payam-e-Shifa، Page #189. + Nawaye Saliheen, pg #317). [Updated on 06-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum, Me apne cousin ko pasand krti hu or chahti hu k us se shadi ho jae mgr mere or us k walidein nae maane ge or usko bi nae pta k me usse pasand krti hu. Koi wazifa btae k us k walidein khud rishta le aae
Answer: Do rakat fajr ki tarah namaz parhay is ke baad tasbeeh Hazrat Zahra(s.a) parhay aur behtar hai sar ko sajday mein rakhay aur 14 martaba salawat parhay aur is ke baad 100 martaba kahe { اللہم خِرلِی و اختـَرلِی } aur is ke baad dobara 14 martaba salawat parhay. is namaz ko aur is ke baad ki duaun ko mukhtalif dinon mein anjaam diya jaye taake khudawand e mutaal is ki shadi ke maslay ko hal karay. isi tarah namaz istighasa Hazrat Zahra(s.a) parhi jaye aur is ka tareeqa jaisa ke mafatihul jinaan mein hai ke do rakat namaz parhi jaye, namaz ke baad 3 martaba takbeer kahay, tasbeeh Hazrat Zahra(s.a) parhay aur is ke baad sajday mein jaye aur 100 martaba kahay { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } is ke baad dayan rukhsaar sajdaghah par rakhay aur dobara 100 martaba { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } kahay aur is ke baad sajda kare aur 100 martaba kahay { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } is ke baad baayaan rukhsaar sajdaghah par rakhay aur 100 martaba kahay { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } is ke baad sar sajday mein rakhay aur aik 110 martaba kahay { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } aur apni haajat o talab karay. (Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01800/ ). [Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]