Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 2573
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: AOA main kkissi ko pasand kerti hon magar mery parents os k liye nahi maan rahy hain m ne apko pehly bi Questiion kia tha jis k reply m ap ne ujhy pardhny k liye bataya tha m wo bhi pardh rahi hon per koi maan hi nahi raha hay plzz kuch help ker dain

    Answer: 1. Jo mard aurat shadi chahte hein. Wo surah e taha ayat # 131,132 (wala tamud’dannah. . . . .. . .. . .. lit taqwa) ka taweez likh kar gale me dalein. is ayat ke bad darood bhi likhein. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282) 2. Hazrat Imam e Jaffer sadiq a.s. farmatey he k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kaprey me lappet kar apne pas rakhe aur shadi k qasad se kisi k pas jey to usi na kam nahi lotna pare ga aur wo shadi ho kar rahe gi. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #18) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2587
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Duwa kiu nai qbool hoti

    Answer: Surah-e-baqra ki akhri 2 ayat ki tilawat karnay walay ki dunyavi aur ukravi ki hajat puri kardeta hai aur shaitaan bhi us kay nazdeek nahi phatak sakta (Ref: Dunya wa Aakhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 01) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 2603
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: salam...main study k liye abroad jana chahti hu plz mje koi wazifa batayen k mera kam Allah k fazlo karam se hojaye..maherbani

    Answer: Ap raat k aakri hisse main- khas to per jumme ko-wazoo ko mukamal tor per anjaam dain or 2 rakat namaaz perye or baad e namaaz 70 martaba ye duwa(bismillahi al-rahmaan al-raheem, ya absara al-naazireen, ya asr‘aaa al-hasibeen, ya-asmaaa al-samieiin, ya akrama al-alramiin, ya arhama al-raheemeen, ya ahkama al-hakeemeen)perye, INSHALLAH ALLAH ap ki duwa pori kare ga.(Ref; nawaae sualehiin, pg # 305 Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). One who recite 686 times bismillah “بسم الله الرحمن الرحیم” and recite 676 times durood “اللہم صلی علی محمد و آلمحمد” then pray, your duas/wishes will be answered. (Ref : Naemul aamaal pg # 317) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2627
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Asalam-o-Alekum! Sir meri 1 dost k pait main tumour hay mera question yeh hay k kya Tumour ya phir cancer ka ilaj Qurani Aayat k through mumkin hay? aur kya koi dosra insan kisi k liye yeh ker sakta hay, plz detail se batayen.

    Answer: Rasool e Akram (s.a.w.w) nai farmaya hai surah e Al-humd men har beemari k lie shifa hai is lie mareez ko chahiye k surah e Al-humd ko likh kr bandhe ya 70 martaba pani par parh kar piya to ose shifa naseeb ho gi.(Ref : Naway e Salaheen pg # 296) Dua e tawassul ko her waqt parh sakte hen, lekin kisi khas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz_e_fajar k baad ek 2 rakat namaz_e_hajat ada kerne k bad parh kr dua mangen.insha allah parvadigar ap k haq me jo behtar hoga wo karega.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2638
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: salam o alaicum mera sawal yeh he k mujhy dua mangny ka wo treeka maloom krna he jis me aajzi bhi ho or pora hony ki umeed b.mera mtlb he k mujhy dua mangny ka wo treeqa btaeen jis trha Allah k khas bnday mangty hon please plz jldi answer dijiye ga

    Answer: Dua ke chand adaab hen. 1- Ba_wazu ho, 2- kushbu istamaal kare , 3- chehra qibla ki tarf ho, 4- huzur e qalb ke sath dua kare, 5- Pehle ALLAH ki hamd_o_sana kare, 6- Shuru o aakhir men 3 martaba darud shareef pahre, 7- Dua ka ikhtatam is jumle (maa_sha_Allah_ho laa_hola_wala_quwwata illa_billahi) pr kre, 8- dono hath utha kar dua mange, 9- hram kam ki dua na kare, 10- Apni dua men dusre momineen ko bhi shamil kare, 11- ALLAH ke samne apni aajzi ka sacche dil se itaraaf kare, 12- Halat_e_dua men apni tawajoh ALLAH BUZURG_O_BARTER se na hataye.(Ref : Naway_e_saliheen, pg # 20) (ALLAH ap ki toufeeqat men izafa farmaye)

    Id: 2644
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Salam Alekum, mujhe koi naksha (tabeez) chahia meri khushhali/taraqqi aur rizq ki Barqat ke lia. pls. naksha ya tabeez batiaga.Sure Muzzammil /Sure Rahmam, Ayatalkursi padhta hun.Khuda Hafiz

    Answer: 1. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 2. jo shakhs surah e muzamil ko perashani k k door honay ki niyat se namaz e isha k baad 11 bar parhay to ose khush hali naseeb ho gi. (ref : wazaif ul abrar pg # 49) 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2669
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: mera gussa bhot barta jaraha he me hr kisi ko glt or apne apko sai kheta hon or be waja gussa krta hon mjhe please haal btaen iska please

    Answer: Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur peain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2705
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Saalam meray 2 Q hain pehla ye ky may larko ki taraf attract hta hn plz iss sy bachnay ka wazeefa bta dain 2nd ye ky jb mera parhnay ka dil nae krta plz iss ka bhi wazeefa bta dain Thankx

    Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)merd ka merd ko shehwat or lazzat ki nigaah se daikhna jaiz nahi hay.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 460) WAZIFA: 2)Ghunahoon se bachnay k bohat se tariqay hain jin me se chand ye he k I)mout ki yaad ko dil main bassa’en II) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. III)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. IV)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2) Agar dil ilm k hasool may na lagta ho to surah e alaq ki ayat # 1 ta 5 likh kar is k galay may dalain aur pani par parh k pelain to zehen aur aqal ki tezi k liay bhi mujarrab hay. (Ref : Kitab naway salaheen pg no 346 )

    Id: 2715
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: May ladki say pyar karta hu. Wo b karti he lekin shadi k liye ha nahi kar rahi. Help me

    Answer: Hazrat Imam e Jaffer sadiq a.s. farmatey he k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kaprey me lappet kar apne pas rakhe aur shadi k qasad se kisi k pas jey to usi na kam nahi lotna pare ga aur wo shadi ho kar rahe gi. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #18) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 2717
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: chehra ki ronaq ma izafa aur noor k liye dua aur amaal

    Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!