Question: ager kisi insan se mohbbat ho jae or hamain usay hasil krne ki khuwaish ho mtlb shadi krni ho to humkaise unhe hasil karenge plz btaen.
Answer: 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: my baby boy is 6 month old he cant take my milk. he get angry when i giving him y he did this? and he cry lot. doctor said it is normal. but i m worried plz tell me dua.
Answer: Is ke rone ke waqt Sura e Kahaf (sura no 18) ki ayat no 11 o 12 ki tilawat karain. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 4 , topic # bacho ko doodh pilane or perwarish karne adaab or bacho ke haqooq , pg # 169).
Question: Mutth marne se kaise bache...
Answer: Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Ma apna hathon sa mani nikalta hou plz kou asa amal batayan ka ma ya kam chor don
Answer: Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ma apne bate mosoor ko oske lalche dost se bachana chata ho
Answer: One who recite 686 times bismillah
Question: mera baby dudh nahi peeta hai aur bahut rota hai
Answer: Rone ke liye Hazrat Ali bin Abi-Talib (a.s) se manqool is wazife per amal karain ke is ke rone ke waqt Sura e Kahaf (sura no 18) ki ayat no 11 o 12 ki tilawat karain. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 4 , topic # bacho ko doodh pilane or perwarish karne adaab or bacho ke haqooq , pg # 169). Sura e Yaseen ko likh kar is ka pani pi-laain. (Ref : payaam e Shifa , topic # fazaail e Sura e Yaseen , pg # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: aoa sair jee mera masla ye hai k meri mony bohat patli ho gai hai aur koi bhi ulti seeedhi cheez dekh loun to mera shaoot naikal jata hai aur kapre geele ho jate hain pls meri mardana kamzori k liye koi wazeefa zaroor batien
Answer: 1) Takham khaoo k khanay se seelan e mani me ifaqa hota he. (Ref : kitab makhzane amaliat pg # 60) 2) aik shaks ne Imam jaffer sadiq(a.s)ki khidmat main arz kia k main chahta hoon k jinsi lazzat se bohot ziyada luft uthaon laikin aisa nahi hota, mujahy koe aisa hal batain k jis se mairi ye tamanna pori ho jay tu Imam(a.s) ne fermaya k “ sesafaid piyaaz kaat ker ghee main tal lain, os k baad aik bertan main anda daal ker thorha sa namak daal lain or phir si anday ko surukh ki hoe piyaaz main daal dain or khuch dair pakne dain .ye ghiza khane se aap ko jinsi lazzat hasil ho jay gi.” Os shaks ka kehna hay k main ne imam(a.s) k kehne k mutabiq amal kia or is ghiza ki berkat se apni muraad ko pa alia.(Ref: tib be islami or jaded medical science , pg#54). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa mjhe mardana kamzori k liye koi wazeefa lazmi batien mjhe apni quwwat khas me izafa karna hai pls me bohat pereshan hoon
Answer: Wazifa:aik shaks ne Imam jaffer sadiq(a.s)ki khidmat main arz kia k main chahta hoon k jinsi lazzat se bohot ziyada luft uthaon laikin aisa nahi hota, mujahy koe aisa hal batain k jis se mairi ye tamanna pori ho jay tu Imam(a.s) ne fermaya k “ sesafaid piyaaz kaat ker ghee main tal lain, os k baad aik bertan main anda daal ker thorha sa namak daal lain or phir si anday ko surukh ki hoe piyaaz main daal dain or khuch dair pakne dain .ye ghiza khane se aap ko jinsi lazzat hasil ho jay gi.” Os shaks ka kehna hay k main ne imam(a.s) k kehne k mutabiq amal kia or is ghiza ki berkat se apni muraad ko pa alia.(Ref: tib be islami or jaded medical science , pg#54). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Jb hm dua krte hain to koi jwab mehsoos nhi hota.dil ki tasalli k lye kese pta chale k allah ne toba qabool kr li.wosun rha he
Answer: Dua: Khuda ne dua k qabool kerne ka wada kia he or is ki koe shara,it nahi hain.jo bhi khuda se dua kerta he woo s ko jawab daita he.or ehlay marifat liay wohi kaafi he or agar dua ki lazzat ko mehsoos karay tu os ko phir kisi cheez ki zarorat nahi hogi.Laikin kuda se jo dua ki jati he oski tehkeek kerna (faiday mand hona) dua ki shara,it main se hay jo k insane ki quwat se bahar he, Q k baaz auqaat insane kisi cheez ka talab gaar hota he jab k os main insane ki maslehat nahi hoti or mumkin he k woo s k natijay ki taraf mutawajjah nah ho k ye cheez os k liay faiday mand he, ya os cheez ki maslehat ko jaana os k liay na-mumkin ho ya o ski khahish nizaam e takwini(kaaynaat ka nizam) se takrao rakhne wali ho.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=904 ) . Tauba: Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera naam md Ibrahim hai,aur karz mein mubtila hoon.koi wazifa bataye.
Answer: 1)Agr ap maqrooz hain aur rizq ma ziadti chata ha to surah e al adiat 110 times perhain inshallaha bohat faida ha ga.(ref : kitab payam e shifa pg # 231) Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)