Question: mufti sab kiya hall hy app ka?mufti sab maira prblm yay hy k may dubai jana chata hu....pu bat yay hy kam hoty hoty biger jata hy....bht upset hu.kuc btaiy mufti sab
Answer: Kisi bhi jaiz maqsad mai qamiabi k lie pehlay 11 martaba darood sharif parhain aur phir 101 martaba ﻳﺎﺍﷲ ﻳﺎﺭﺤﻣﻥ ﻳﺎﺭﺤﻳﻢ ﻳﺎﻜﺭﻳﻢ ﻳﺎﺣﻰ ﻳﺎﻗﻳﻭﻢ parhain. (Ref: Naeem ul aamaal pg # 314)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Main puchna chahta hn ke agar ap kisi shakhs ko bi kisi bure ke shar se allah ki pnah me rakhna chahte hn to kya koi khas wazifa, dua ya koi aur chez hai. Jo bi ho . Mujhe zaroor btain main nehayat pareshani ke alam me hn. Ap ka shukar guzar.
Answer: us per sura e Yaseen pharain or is ka pani pilain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 102). Note : wazife ki takraar niyat main iklaas ki ziyaati ke sath karte rehain jab tak is ke nataij saamne na aain.( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)
Question: Sir ghar main enter kay waqt kiya parnh haimaur rat kay waqt suty waqt thanks
Answer: hadees sahi main Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se manqool hai ke sone se pehle sura e qul ya yayooha al-kafiroon or sura e qul howa allaho ahad. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 8 , topic # wo aayaatain or duaain jo sone se pehle pharni chahiye , pg # 231 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: muje namaz parna ko ghee nahee chahta, whereas my all family members are punctually pray nimaz, koi wazifa batai ka namaz paro, I think muj per koi kalla jado karta ha, jis sa dil ma bad ghumania rahtee han
Answer: Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k : Jo shakhs namaz sai ghafil rehta ho wo 7 martaba surah e mominoon surah # 23 ji tilawat karay to ba-qaidgi sai namazain parhnay lagay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 05)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam o alaikum meta sawal hai k kia Rasool key sadkey sey dual mangna kaiser hai.aur iis tarah kia dual kabool horizon hai.
Answer: Nabi(s.a.w.w) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati he . (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asssalam wa alaikum mera dil nahi lagta hai, bechaini hoti hai, dil ki dhadkan tez hoti hai, dar aur khauf hone lagta hai. chakkar sa ane lagta hai maher baani karke koi wazifa/ dua batayen...
Answer: Jo shakhs surah e hood (surah no. 11) ko zafran sai likh kar 3 din tak subah wa sham piay ga to is ka dil qawi aur taqat-war ho jae ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 87)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salamualikum. Mai yeh jana chahti hon ki kya ham alag alag maksad k liye wazifa pad sakte hai mtlb muje 3 kamu k liye 3 kisem k wazefy padne hai 5 nimazu mai to kya mai har nimaz pad k pehle ek wazifa pado usk liye dua mangu, fir dusra fir tisra. Plz rpl
Answer: Jee han aik sath chand wazifay anjam dai sakti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam, Qibla mera eemaan uth raha hai kiyu k meri dua qabool nhi ho rahi icliye dil ma khyal aate hai k Naozubillah (Allah hai k nhi) mazhab ma rehna sahi hai ya nhi ma kya karo ? plz ans me
Answer: Dua ki qabooliat maslihat e khuda sai wabista hai to jaha maslihat ho gi waha dua qabool ho gi aur jaha maslihat nahi ho gi waha dua radd kar di jae gi. Aur is ki bohat sari wajoohat hain maslan khabi maslihat is lie nahi hoti hai k agar dua mangnay walay ki dua qabool kar li jae to wo is k kisi aur ahm maqsad mai rukawat paida kar dai ga, aur khabi afal e na sha’is’hta jaisay jhoot, zulm, haram khana, wajibat ka tark karna wagira dua ko qabool honay mai rukawat ka sabab bantay hain aur bilah-shuba amal k bagair dua karna aisa hai jaisay koi mareez dawa to istemal karay magar is k sath aisi cheezain bhi khata rahay jo is dawa k asr ko zail kardai. Ya aik zameen mai fasal ugaye aur sath mai is zameen par janwar bhi chor dai jo is zameen ko rond dai. Is lie koshish karain k dua k sath buray amal sai bachay bhi rahain. (Ref : Sahifa e kamla pg # 37-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam!sir mary jism se pasine ki boht smell ati hai is ka koi haal hai?
Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke
Question: salam o alaykum jnaab mera dost jiska naam rahman hai .. uska hadrosheel (undu)bada hogaya hai or wo bahut paresaan hai . isse nazat pane ka koi trika batay .bahut mherbani hogi
Answer: wssalam o alykum, allama bahaao al deen aamli ne likha hai ke ager koi kesi hi haajat rakhta ho to (apni hajat ko ALLAH TAALA ke saamne pesh karte howe) shab e jumma is duwa (laa ilaaha illallaho biawonika wa qudratika, laa ilaaha illallaho bihaqqika wa hurmatika, laa ilaaha illallaho farajan farajanii min amree farajan wa makrajan rabbana yaa arhama al rahemeena)ko 41 dane gandum lekar her ik per ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahaan tak ke sab daane parindee khaa jaain , ager haahat pori na ho to beshak muje bura bhala kehe. (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).